The Sabbarwaals and the Bhallas had fun all evening.
Rama- Abhi hum chale.
Shaurya- Haan. Aap logon ko bahar chodke aata hoon.
All of them go till the gate. Anokhi was going to sit in the car.
Shaurya- Oye! Tum kahan? Yahan ruk nhi rhi?
Anokhi- Aaj kaise. I mean obviously I would come for night overs at your home but aaj nhi ruk sakte. Matlab rasm hui hai.
Shaurya- Aunty ji abhi jana zaroori hai. Ruk jaiye naa. Please. Aap rukengi toh achaa lagega. Arre mein soch rha tha ice cream mangwaloon. Aap sab bhi rukiye. Ice cream khake jaiye.
Rama- Achaa mere liye yaa Nikki ke liye.
Shaurya- Arre aapko double scoop dunga. Rukiye naa.
Rama- Arre ice cream ka utna shauk nhi hai.
Shaurya- Arre toh kya mangwa doon aapke liye. Jo aapko pasand ho aapke pyaare damad ke taraf se. Please. Aapka damad aapko pyaar se de rha hai kuch khane. Aap nhi khayengi?
Rama- Aastha madam aapke bete se koi makhan lagana seekhe.
Aastha- Arre Shaurya kya zid laga kar rakhi hai.
Shaurya- Maa aap nhi samjhoge.
Aastha- Arre humare waqt aur strict hota tha sab. Agar humare Zamane mein hote toh Anokhi ko dekh hi nhi paate.
Shaurya- Maa tariki hui hai. Aapko encourage karna chahiye. Jab mere bache honge I will make sure ki woh suffer naa kare.
Aastha- Haan yeh sab cheeze tab karna. Abhi humari suno aur jaane do.
Shaurya- Arre ek baar baat toh karne do usse. Akele mein.
Aastha- Mooh toh public mein bhi band nhi rehta tumhara. Kuch bhi bakh dete ho. Toh privacy ki kya zaroorat.
Kanchan- Maa unka mooh usse kafi zyada chalta hoga private mein.
Shaurya- Kanchan. Everything is not about the kiss. Which is great too. But just uske paas bethna. Achaa atleast drop karke aaoon Anokhi ko. Please. Apni gadi mein.
Rama- Aa jao but chai nashta ki umeed mat karna.
Babli- Mummy aap bhi seekh gyi Shaurya Sabbarwaal se kaise baat karni chahiye. Good!
Rama- Aur nhi toh kya. Damad toh kisi baat ka bura nhi manta. Kuch bhi ho Jaye, kitne bhi hint de do Anokhi ka hath nhi chodega.
Shaurya- Mujhe koi seriously nhi leta.
Tej- Arre tu aisa kar ki koi seriously le.
Shaurya- OK.
He runs to the roof top. He was standing on the edge.
Tej- Pagal ho gya hai? Uttar. Mein soch rha tha grill lagwa doon Kanchan ka bacha hone wala hai but isse bache ke liye bhi grill lagana padega.
Shaan- Uttar!!!!
Shaurya- I love you Anokhi!!!!!! He shouts from the roof top. I really love you!!!!. Thanks meri hone ke liye!!!! Today I am on the top of the world!!!
Few cars on road stop.
Police- Kya yeh insaan piya hua hai? Kya yeh aapki beti ko ched rha hai?
Tej- Sorry. Yeh pagal beta hai. Apni biwi ko I love you bol rha hai.
Police- Kya zamana hai? Khair chalta hoon.
Aastha- Rukiye inspector mithai khake jaiye.
Aastha hurriedly gives him sweets. In fact she gives sweets to all by standers. All of them get shocked, they laugh and cheer for Shaurya. One lady tells her husband aap toh room mein nhi bolte yeh toh building ke chat se bol dia. The husband says do saal baad yehi aakar dekhenge. Do saal baad kya hota hai.
Shaurya- Anokhi mat jao!!!!
Shaurya starts to sing Aankhon mein teri.
Anokhi- Arre ab neeche utro. Mein toh jaungi. But ek din ke liye humare ghar pe ruk jao.
Shaurya comes running downstairs with some stuff for the night. He hugs her.
Shaurya- Bye sab Sabbarwaal!!!!!
He goes and sits in the car before anyone else can sit and holds Anokhi's hand and makes her sit.
Shaurya- Haan toh kahan the hum.
Babli- Gadi mein. Romance ghar mein karna. Hum gadi se kud bhi nhi payenge agar garmi badh gyi. Isliye control.
Shaurya- Hmm. Bolo Anokhi.
Babli- Ignore karna bhari padega Shaurya.
Shaurya- Hmmm. I thought mehnga padega. Isliye tumhare liye gift order place kar dia. Some classic jhumke order kiye. Pohonch jayenge. Mummy ji aapke liye salwar kar dia. Woh bhi aa jayega. Ab Anokhi bolo.
Babli- Pehle se prepared.
Shaurya- Hmm. Shaurya hoon. Kuch standard hai apna. Chalo. Chodo. Anokhi bolo.
Anokhi places her head on Shaurya's arm but her other hand is in her mother's hand.
Anokhi- Kuch bolne ki zaroorat hai? Aise nhi reh sakte. I am tired.
Shaurya- OK. Koi baat nhi jaan.
He kisses her on the forehead. They start towards the Bhalla house.
Aastha- Arre Shaurya. Pucha bhi nhi ek baar bado se.
Devi- Arre thank god gaya. Wanna pure ghar ko sar pe utha leta.
Just then they see Shaurya shouting from the window. Imagine him with his head outside the car screaming.
Shaurya- Kanchan dhyaan rakhna apna. Mere aane tak Yash dhyaan rakh. Aur haan Baby ko mere hath ke cookies hi khilana. Badi maa ke hath ke mat dena. Mein aake dekhunga kitne cookies khatam hue hai uss box se. Per day only three cookies allowed. Calorific value ke hisab se teen set kia hai.
Yash- Biwi hai meri dekh lunga.
Shaurya- Tu pati hoga. Bhai hoon mein. Toh dekh lena usko warna maar khayega.
Devi- Pagal hai apna beta.
An update. I said I won't post for one week but I was trying to write something and this suddenly came in my head. I hope you laughed through this one. But I have anything written yet so updates might be delayed. Can't say. Also working on something really risky....
YOU ARE READING
Dooriyan diaries
RomanceShaurya and Anokhi navigating through the long term relationship phase where Anokhi is pursuing her master's in IIM Ahmedabad and Shaurya is teaching in Siac.