Himmat

324 53 42
                                    

Delhi -

Anubhav reached Delhi with Nanu and all straight move to Hospital where a complete team of doctors were ready for the surgery...

Anubhav: Nanu.. aap mujhse vada karo aap mujhe chhod kar kahin nahi jaaoge...

Nanu: tu.. tu ghabra mat... mera sher beta hai na... main jaldi theek ho kar aaunga... phir teri Dulhan ko bhi to dekhna hai......

Anubhav smiled a bit and doctors took Nanu into Operation theatre... it lasts for 2 hours...

Doctor : Mr Somani.. operation is successful.. but it will take months to gets recover being his past medical history and age.... Patient must stay back in hospital to recover for at least 2 weeks and post that 2-3 months... he must come for regular check-up... he must visit weekly...

Vivek: Thanks Doctor... It's okay that we can manage easily.......Vishakha went to Anubhav who was in temple since operation starts and praying for Nanu...

Vishakha: Anubhav... operation khatam ho gaya aur Papa ab theek hai.. chalo unhe dekh lo.. unhe ward mein shft kar denge thodi der mein.....

Anubhav gets happy and wipe out his tears and thanks to God for saving his Nanu's life...

Next day in room.. Nanu was still unconscious and Anubhav was sitting next to him holding his hand...

Anubhav: Nanu please aap uthiye na... mujhe to kehte ho par aaj aap itna so rahe ho... dekho aapka Anubhav kab se aapka intazaar kar raha hai...

Nanu open his eyes slowly and look towards him and smiles... he was about to say something but ..

Anubhav: sshh.. kuchh nahi bolna abhi... aap sirf rest karo.. humsab aapke paas hai...

Nanu slept again due to heavy drugs effects... whole week passed like this... Anubhav stays with Nanu in hospital and take care of him day and night...... Rohan also visits frequently with Deepika to meet Nanu and trio had spent good time with each other...... (Dadi was in London at her sister's place for 3 months).. so... no tensions from her side for time being.......

Here Haseena was worried for Anubhav as didn't get his missed call even for the whole week.. which was also a silent love signal for them.…........

Preeti keep teasing her and scold even that they both are equally stupid : Ram milayi Jodi hai tum dono ki... dono duffer... poore ek saal mein ek baar bhi baat nahi kar paye ek dusre se... na phone number share kiya.. na ghar ka pata... koi ek saal sirf aankhen dekhne mein kaise busy rah sakta hai...

Haseena glare her angrily, "dekh Preeti mera theek hai par Anubhav ko duffer mat bol....... (saying with proud) uske paas to mera number bhi hai.. usne pure do baar mujhe phone bhi kiya tha ....She smiled shyly

Preeti clapped and laughed, "wah wah.. kya kehne majnu sahab ke.. Do Baar phone.. kah to aise rahi hai jaise kitna bada pahaad toda ho usne... sirf phone hi kiya na... baat to nahi ki na... (mimicking) badi aayi uski tarafdaari karne wali .......

Haseena : haw.. Preeti aise kaise bol rahi hai...... galat baat.... ab dheere dheere hi to baat badti hai na.. aise thode hi na koi rocket hai jo chhoda aur seedha aasmaan mein chala gayaa... pyar hai aahista aahista hi to parwaan chadega....

Preeti: Behen.. mujhe to voh dikhne mein charming.. cute.. Salman khan jaisa lagta tha par kya pata tha purane zamane ke Bharat Bhushan jaisa nikalega.. dooooooor doooooooor se aahein bharna types......... while teasing her more..she starts singing and dancing like old heroines of 80's......

Too ganga ki mauj, mai jamuna kaa dhara... Too ganga ki mauj, mai jamuna kaa dhara Ho rahega milan yeh hamara ho humara Tumhara rahega milan, Yeh hamara tumhara

Haseena runs after her and they both fall on bed after their favorite chase game and pillow fight......

Preeti : Aise hi hasti raha kar... kal se school open hone wala hai.. Anubhav dekhega to kya sochega.. aisi roti shakal lekar jayegi to darr ke bhaag hi na jaaye....

They both chat for some time and drift into sleep ... Haseena with a dream to meet him tomorrow....Here Nanu is still in hospital on his recovery period ... Anubhav is also with him forgetting everything except her.... he was missing her terribly but has no option to talk with her..

After Nanu's sudden health issue..he become very scared in losing his loved ones...

Anubhav POV

Thank you Bhagwan ji..thank you so much mere Nanu ko mere paas vaapas bhejne ke liye... Papa Mummy ke baad mujh mein himmat nahi thi ki main Nanu se dur rah pata... iss ek saal mein maine apni poori zindagi jee hai unke saath... nahi rah sakta ab main unke bina... aaj Haseena ki bhi bahut yaad aa rahi hai... kya soch rahi hogi vo mere baaare mein ki kaise bina bataye achanak gaayab ho gaya... kitna pareshaan ho rahi hogi... Sorry Haseena... but promise jald hi tumse milunga bhi aur apne dil ki baat bhi kahunga... voh saari adhuri baatein jo ab tak nahi kah paaya... Miss toh tum bhi kar rahi hogi mujhko... pata hai uss din jab Nanu ko attack aaya toh mujhe kuchh hosh nahi tha.. par dil chah raha tha kaash tum hoti mere paas.. mujhe hosla dene ke liye.. kaash main ek baar tumse baat kar paata... par koi baat nahi.. tum na sahi tumhari yaadein.. tumhari pyari si Muskaan.. tumhari jheel si gehri aankhen mujhe himmat deti rahi ki sab theek ho jayega... aur dekho sab ho bhi gaya... jald hi main tumhaare paas aaunga.. hamesha hamesha ke liye... kabhi na juda hone ke liye... mera intazaar karna....

Anubhav keeps in continuous touch with Vyom-Cheetah and keep them update about Nanu's health and ensure that they will not disclose the reason of his sudden missing to anyone...

Vivek Vishakha daily visits to hospital and take good care of Nanu and Anubhav too.....

Anubhav went to take some medicine.. Nanu, Vivek And Vishakha were alone in room...

Vivek: Papaji.. ab aapki tabiyat kaisi hai... Doctor kah rahe the recovery kaaafi fast hai.. ho sakta hai jaldi hi discharge bhi kar de.....

Nanu: Yeh sab to Anubhav ki mehnat ka fal hai... ek hafte se mere sirhane baitha hai... hila tak nahi hai... na sota hai.. na theek se khaata hai... mujhe to uski chinta ho rahi hai ab... kaisa murjha sa gaya hai mera beta.......

Vishakha : Haan Papa..lagta hai Anubhav bahut darr gaya hai... Par mujhe pata hai aap hi use samjha sakte hai... aapki baat kabhi nahi taalta.....

Nanu : Beta yeh baat dil ki hai... dimaag hota to samjha bhi deta... par tum chinta mat karo.. main sambhal lunga apane beta ko......

Vivek: Papa aapse ek aur baat karni hai... Kal Anubhav ka result bhi aa jayega... Vishakha bata rahi thi ki usne bahut mehanat ki hai toh phir marks bhi achchhe hi aayenge..... par abhi doctor ne aapko vaapas jaane ki permission nahi di hai.. shayad 2- 3 mahine aap ko yahi rehna padega... to main soch raha tha ki kya is saal ke liye hum Anubhav ka admission yahi Delhi mein.. Rohan ke School mein hi karwa de... agar aapko theek lage.. uski 12th class hai.. padai ka nuksaan nahi hona chahiye bilkul bhi.......

Nanu (after a thought): Haan..shayad yahi theek rahega.. main use akele Ahmedabad nahi bhejna chahta...... aur mujhe pata hai voh jayega bhi nahi.. mujhe yahaan chhod kar...... par uska saal bhi kharaab nahi hone de sakte.. theek hai mauka dekh kar main khud usse baat karunga... tum log kuchh mat kehna...

Kuch Ankahi Baateinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें