Rohan Anubhav reached home and surprisingly Nanu was also at home...
Anubhav worriedly asked : Nanu aap factory nahi gaye... aapki tabiyat to theek hai.. par subah to aap mere saamne nikle the jaane ke liye..
Rohan reveal the surprise : Nanu aur maine tujhe surprise dene ke liye sab plan kiya tha... actually Nanu mujhe pick karne airport aaye the aur unhone hi mujhe tere college drop kar diya tha aur mera luggage ghar le aaye... ab samjha...
Anubhav smiled: not bad... good planning.. aur mujhe zara bhi shak nahi hone diya..
Rohan (raising his collars) : aakhir idea kiska tha... They all laugh on his tricks...
Anubhav: Rohan tune ek aur surprise ki baat ki thi... voh kya hai ab to bata de bhai..
Nanu: Voh yeh hai ki ab se Rohan bhi tere saath tere college mein hi padega.. uska admission bhi VJN mein hi ho chuka hai.....
Anubhav (surprisingly): what.. yeh to sach mein bahut bada surprise hai... main bahut khush hun.. tujhe bahut miss bhi kar raha tha... he hugged him tightly..
Rohan (teasingly): haan college mein tujhe dekh kar lag raha tha kitna miss kar raha hai.... dramebaaz...
Anubhav: are yeh sab chhod chal main tujhe hamara room dikhata hun... ab se tu mere saath hi rahega...jaise Delhi mein rehte the... dono bhai saath saath......
Nanu thinking: dono ko saath aise khush dekh kar kitna sukoon mil raha hai... dono bachchon ka akelapan bhi khatm ho gaya aur iss ghar mein toh jaise raunak aa gayi ho..... chalo koi toh hai jo mere baad Anubhav ka saath kabhi nahi chhodega.....
Before leaving to factory her said, "achchha theek hai tum donon baatein karo main factory jaake aata hun... shaam ko kahi baahar chalenge ghumane... un Rahu ketu ko bhi bula lena.. khoob masti karenge aaj hum sab...
Anubhav & Rohan settle his luggage in room.. Anubhav went to call Cheetah to inform him for evening plan... He came back and see Rohan standing near the window looking outside bit serious..
Anubhav: Rohan kya hua... kya soch raha hai...ghar ki yaad aa rahi hai kya...
Rohan : Nahi Anubhav... voh ... if you don't mind... Haseena aur tu.. tune mujhe aisa kuchh bataya nahi.. I was quite surprised seeing her... vaise I must say she is very beautiful and pretty.. tabhi tu uske liye itna paagal hai...
Anubhav smile.. chal baith tujhe kuchh batana hai par promise abhi tu kisi ko nahi batayega... Nanu ko bhi nahi...
Then Anubhav narrates him all what happened in last few days and why till date he has not proposed to her...
Rohan eyes got wet : Anubhav, I really feel very bad for her... she is so cute..innocent but bearing so much pain.. but.. are you sure about to spend your complete life with her...mujhe teri intention par shaq nahi hai par phir bhi.. yeh bahut bada faisla hai...puri zindagi...
Anubhav: Rohan...main ek baar saanse lena bhool sakta hun par Haseena ko nahi... ab toh jitna jyada usse janne laga hun utna hi pyaar bad raha hai mere dil mein uske liye aur respect bhi... main shaayad nahi bata sakta ki voh mere liye kya maayne rakhti hai...
Rohan smiled: aur jarurat bhi nahi hai... I can see in your eyes that how much you love her... par ab jaldi se use bata bhi de... main to aaj hi use Bhabhi bolne wala tha...
Anubhav (smilingly): Tu chinta mat kar... thoda waqt jarur lagega par main jald hi use apne dil ki baat bata dunga... chal tu thoda rest karle... phir Vyom Cheetah aa jayenge toh ek minute bhi aaraam se baithne nahi denge....
After some time... Anubhav picked up the cordless and went out from his room to call Haseena as he didn't wasn't to disturb Rohan's sleep..
Anubhav/Haseena: Hello..
Haseena instantly speak: main theek hoon aur ab dard bhi nahi hai.. sachchi.......
Anubhav surprisingly : tumhe kaise pata maine yahi puchhne ke liye phone kiya tha... lagta hai mere dil ki baat samjhane lagi ho.....
Haseena laughed: Voh kya hai na.. dost hun.. dost ke dil ki baat nahi samjhungi to aur kisko samjhungi... vaise kehna to nahi chahiye par phir bhi thanks... meri itni care karne ke liye..
Anubhav: Madam...hum ne bhi dosti ki hai... nibhayenge poore dil se...
Haseena: achchha vaise Rohan kaisa hai... Preeti ki taraf se I am sorry.. voh actually mujhe lekar thodi tensed thi aur usi gusse mein Rohan se lad padi... varna voh to har kisi se pyar se hi milti hai.. hamesha sabko hasati rahti hai.. too much caring...
Anubhav: Preeti ko bhi sorry bol dena... Rohan mujhse milne ke liye itna excited tha ki wait hi nahi kar paya aur late hone ki wajah se chid kar Preeti se lad pada... varna uska nature to bilkul shaant hai... ghar mein to uski awaaj bhi sunaai nahi deti thi...
Haseena: vaise jab dono hi itane achchhe aur sachche hai to lagta hai jald hi dost bhi ban jayenge... hamari tarah...
Anubhav : Haan nahi to hume paagal kar denge... dekha tha aaj kaise ghoor rahe the ek dusre ko..... vaise ek khushkhabri bhi hai ki ab se voh yahaa mere paas hi rahega aur Nanu ne uska bhi admission hamare college mein hi karwa diya hai...
Haseena : yeh toh bahut achchhi baat hai.. tum khush ho na.. bahut pyaar karte ho na apne bhai se (saying this she gets bit upset remembering Arjun)
Anubhav: haan bahut jyada... Nanu ke baad ek voh hi toh hai jise main apna pariwaar kah sakta hun... vaise yeh sab chhodo..mujhe toh darr lag raha hai jab kal dono aamne saamne honge... college mein to bhukamp hi aa jayega...
They both laugh on thinking about their behavior in canteen...
Anubhav: ek baat kahu Haseena.. tumhari hansi bahut pyari hai... hamesha aise hi hasti raha karo....
Haseena after a pause : Anubhav main rakhti hun... kal milenge... Bye..
Anubhav (smilingly): Bye ... kal milte hai...
The both disconnect the call and smile remembering their talks...
In evening Nanu came back from factory early and went out with 4 of them to enjoy..
Nanu: Rohan tu kal se hi college jana shuru karega na... vaise bhi kaafi padai nikal chuki hogi teri.... Par tune bataya nahi tujhe college kaisa laga.. aaj gaya tha na...
Rohan : Nanu college toh bahut achchha tha aur saare dost bhi.. bas kuchh ek ko chhod kar...
Vyom (teasing him): haan haan Nanu.. Rohan ko college bahut achchha laga... iske aane se toh raunak hi aa gayi hamare group mein...
Cheetah added : aur toh aur aaj to aatishbaaji bhi dekhne ko mili... bada maja aa raha tha... kaash aap dekh paate.... Jaise shola aur Shabnam...
Nanu surprisingly asked, "kyun aaj tumhare college mein Diwali thi kya jo patakhe chhode ja rahe the..
Anubhav laughed and said, "thi toh nahi par lagta hai ab roj hi patakhe bajenge.. aur kabhi kabhi toh rockets bhi chhutenge...kyun Rohan hai na...
Rohan looked all of then frustrated... Nanu aap in logon ko chhodo..... Aap dinner karo... he muttered to them, "tum logon ko bada majaa aa raha hai.. tumhe toh main baad mein dekh lunga aur us mendki ko bhi.. chhodunga nahi...
Anubhav whispers : yaar aaj tak kisi ne bhi ek hi din mein kisi ke itne naam nahi rakhe honge jitney tune rakhe hai Preeti ke... lagta hai kuchh jyada hi yaad aa rahi hai tujhe uski....
Rohan : ab bas bhi karoge ya maar khaoge mujhse.... they all keep teasing him and had good fun time.….......
Preeti was keep pacing in room from one corner to another fisting her palm in anger and Haseena was sitting on bed looking her roaming around...
Haseena: bas kar meri maa... aur kitna gussa karegi us par... chhod bhi de na... vaise bhi tune apna badla le toh liya use kamre mein bandh karke...
Preeti : dekh tu uski tarafdaari mat kar... man kar raha hai us mendak ki dono aankhen phod dun.. mujhe.. kya bol raha tha haan.... Paagal.. nakchadi.. aur haan idiot bhi bola tha.... gussa nahi aayega kya... agar dobara dikh bhi gaya na toh dekh main uska kya haal karti hun...
Haseena thinking: hey bhagwan bacha lo hum sabko... ek din mil kar yeh haal hai jab dobara milenge toh hum sab ko paagal hi kar denge... abhi ise nahi bata sakti usne hamare college mein hi admission liya hai.... bhagwan jaane kal kaun sa toofan aayega...
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Ankahi Baatein
FanfictionAnother story of our beloved AnuSeena, their relation starts from School with lots of twists and turns. Hope you all will like it. Do give your comments for betterment The credit of the story goes to @KRV2020 (thought to recreate the idea with the c...