They all settled back on their seats.. Kareena & Preeti together and Anubhav,Vyom & Cheetah sits in adjacent row...
Preeti was happy seeing her sister coming out from the shell which she had created around her after that accident...
Preeti POV
Aaj pehli baar laga ki mere and mummy papa ke baad agar koi Haseena ko sambhal sakta hai to voh hai Anubhav.. sach kahu usse jalan bhi hui ki meri behen meri baat na maan kar uski baat maan rahi thi.. par phir bhi main is jalan ke saath bahut khush thi.. khush thi ki shayad ab voh vaapas apni zindagi jeena seekh jayegi.. khush rehna jo voh bhool chuki thi.. ghar mein sabke saamne hasna muskurana sab dikhawa tha... kai raaton ko akele usse rote huye dekha hai.. pehle Anubhav ko yaad karke roti thi aur accident ke baad to uska dard emotional ke saath physical bhi tha... par aadat se majboor kabhi kisi se kuchh nahi kehna.. shayad ab apna dard voh Anubhav ke saath baant le... dil se muskuraye.. khul ke jiye..
After Class gets over they all sit together and chatting...
Preeti : Yaar main voh washroom ho kar aati hun... she sees towards Anubhav and indicate him to meet outside.. after a moment Anubhav also went outside making some excuse..
Anubhav: Kya hua Preeti tumne mujhe achanak aise baahar kyun bula liya... kuchh baat hai kya..
Preeti (smiled with tears): Thanks Anubhav... kal tak mujhe laga tha shayad main galat kar rahi hun tumhara saath dekar.. kahi anjane mein..main Haseena ko aur dard na de doon..... par aaj tumne saabit kar diya ki tumse jyada use koi nahi samajh sakta... tumse jyada use koi khush nahi rakh sakta... thanks Anubhav once again...
Anubhav wipe her tears and smile: Preeti.. Haseena meri zindagi hai... uske bina main kuchh nahi.. aur apni zindagi ke liye kuchh karne ke liye mujhe thanks nahi chahiye... bas tumhara saath chahiye...
Preeti (smiling): Of course.. aaj se main poori tarah se aapke saath hun...
Anubhav: Vaise Preeti ek baat puchhni thi tumse.... Yeh Haseena ka accident.. yeh sab kab hua.. kaise hua... maine Vyom se bhi puchchha tha par use bhi jyada kuchh nahi pata...
Preeti : sach kahun Anubhav to pata to hume bhi nahi exactly hua kya tha...
Anubhav (shocked): Matlab... aise kaise.. voh tog tumhare saath hi ghar mein rehti hai na...
Preeti (sadly lower her eyes) : Anubhav actually jab uska accident hua tha tab main mummy aur papa meri ek cousin ki shaadi attend karne ke liye Surat gaye huye the... hume teen din baad pata chala ki uska accident ho gaya hai..to hum foran vaapas aa gaye....jab vaapas aaye to pata chala Haseena hospital mein admit thi teen din se... hum sab jab vahaan pahunche tab voh vahaan akeli thi... use kaun vahaan lekar aaya.. kisne uska ilaaj karaya kuchh nahi pata….....
Anubhav: tumne kabhi baad mein bhi use nahi puchha..
Preeti: Koshish ki thi par voh kuchh boli hi nahi... Doctor ne bataya ki voh mentally bahut disturbed hai.. use kaafi sadma laga tha..... isiliye kisi ko bhi use force karne se mana kar diya tha... maine baad mein kai baar koshish ki par jab bhi puchha voh bahut disturb ho jaati thi to Papa ne bhi mujhe mana kar diya... par pata nahi mujhe lagta hai ki kuchh hai jo voh sab se chhupa rahi hai.... kai baar maine dekha hai use saari saari raat rote huye... pehle mujhe laga shayad dard ki wajah se par uski aankhen dekh kar laga ki voh dil se bahut dukhi hai.. koi baat hai jo usse andar hi andar tod rahi hai..... isi wajah se usne hasna, bolna, baat karna sab chhod diya hai sabse.....
Anubhav: Tum chinta mat karo... main poori koshish karunga ki jald hi uske dil se voh dard..uska darr mita sakun aur pehle vali Haseena vaapas la sakun......
She smiles and Anubhav give a side hug ... achchha tum ab jaao.. main thodi der baad aata hun.. varna tumhari jasoos behen ko shaq ho jayega hum par...
Preeti laughed and left for the class.... Anubhav remain stand there only with another shock given by Preeti..
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Ankahi Baatein
FanfictionAnother story of our beloved AnuSeena, their relation starts from School with lots of twists and turns. Hope you all will like it. Do give your comments for betterment The credit of the story goes to @KRV2020 (thought to recreate the idea with the c...