Anubhav Rohan reached home after dropping Haseena and Preeti safely at nearby their home. They entered and saw Nanu was sitting on sofa closing his eyes and resting his head on back...
Anubhav went near to him and sit beside holding his hand...
Rohan: arey Nanu aap itni jaldi kaise aa gaye... humein toh laga aap shaam ko aayenge...
Nanu opened his eyes and saw Anubhav who looks very much tensed and stressed. He understood his dilemma and just hug him tightly... tears start rolling from their eyes.. Rohan was confused seeing all this...
After some time, Anubhav parted himself from Nanu and wiped his tears, "Nanu aapne bataaya kyun nahi.... itna sab ho gaya aur hum sabko kuch pata hi nahi chala... aap aise kaise kar sakte ho, agar aapko kuch ho jaata toh"... Nanu smiled and patted on his cheeks, "tere pyar ne aur teri Haseena ne kuch hone toh nahi diya na"
Rohan was still standing their confused and listening all this... "koi mujhe bhi batayega kya hua... Nanu aap theek ho na"
Then Anubhav narrates him about the accident and how Haseena saved Nanu's life on stake of her own, but he kept his promise of not revealing the hospital and her family truth to Nanu and Rohan...
Rohan: itna sab ho gaya aur Haseena ne kisi ko nahi bataya, sirf isliye ki voh kisi dikhawe mein believe nahi karti, usse jyada rishton ki kadr karte maine kisi ko nahi dekha....... she is really great yaar.... maine apni zindagi mein itna selfless aur kind-hearted insaan kabhi nahi dekha... she is a real Gem....
Nanu: par mere dil par yeh bojh hamesha rahega ki meri wajah se us bechari ki zindagi kitni mushkilon mein pad gayi... maine dekha tha use hospital mein, buri tarah se chotein lagi hui thi, aur phir operation ke baad jab doctor ne kaha... main toh maano toot hi gaya tha, par jab maine use bataya toh usne ek baar bhi kuch nahi bola, na koi shikayat, na naraazgi... na mujhe koi dosh diya jiski wajah se yeh sab hua.. ulta mujhe himmat de rahi thi ki Nanu aap ghabrao mat, main theek hun..... maine use ek aansun bhi bahate nahi dekha apne saamne ki kahi mujhe bura na lage.... pata nahi kaise saara dard apne andar samet leti hai, jaise kuch hua hi nahi ho aur badle mein hamesha muskurati rehti hai....
Anubhav held his hand and assured, "Nanu aap chinta mat kijiye aur koi bojh apne man mein mat rakhiyega... main hoon uske saath... aaj se uski saari jimmedari meri, main sambhalunga use, kuch nahi hone dunga, ek pal ke liye bhi usko akela nahi chodunga..... par ek baat aaj mujhe bhi aapko batani hai, par please aap gussa mat hona..."
Nanu looked at him surprisingly, "kya hua, aisa kya hai ki tu mujhse darr raha hai, bata kya baat hai"
Anubhav looked at Rohan and then they narrate about their car accident, "Nanu voh us din Haseena bhi thi mere saath car mein... ya yun kahiye uski wajah se hi main bach gaya tha... na uske liye paani lene hum car se niche utarte aur na hi bach paate... voh mujhe laga aap us waqt Haseena ko janate nahi toh isiliye maine aapko kuch nahi bataya... sorry"
Nanu, take him in a tight hug, "bhagwan ka laakh laakh shukra hai tum dono sahi Salamat ho.... ek baar phir usne tujhe bacha kar meri hi jaan bachayi hai... pata nahi uska yeh ehsaan main kaise utarunga"
Rohan said lowering his eyes: agar aap log gussa na karo toh mujhe bhi kuch batana hai... Anubhav please mujhe maaf kar dena, main chup tha toh sirf Haseena ki wajah se... usi ne mujhe tujhe batane se roka tha... par shayad ab main aur nahi chup rah sakta...
Anubhav looked at him confusingly, "kya matlab... ab kaun si baat hai jo mujhe nahi pata, aur tujhe batani hai.."
Rohan: voh us din fresher party wale din jo bhi Haseena ke saath hua, actually uska target tu tha...... Sunaina, Kartik ne tujhe chot dene ke liye sab plan kiya tha par Haseena tere badle mein chali gayi aur usko chot lag gayi... yeh sab usey aur mujhe kai din baad pata chala aur phir main tujhe batane aa raha tha jab Haseena ne mujhe rok diya... tu pehle hi uski haalat dekh kar bahut pareshaan tha, darr gaya tha aur agar yeh pata chalta toh tu guilty feel karta, bas isiliye usne mana kiya... voh tujhe aur pareshaan nahi dekh sakti thi... I am really sorry bhai...
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Ankahi Baatein
FanfikceAnother story of our beloved AnuSeena, their relation starts from School with lots of twists and turns. Hope you all will like it. Do give your comments for betterment The credit of the story goes to @KRV2020 (thought to recreate the idea with the c...