Five months passed.….....
Time flies and result for 12th grade also declares... All their hard work pays well..and they all scored good and Haseena topped with 96% in complete state..
Anand returned home in evening: Haseena.. Preeti kahaan ho... dekho main tumhare admission forms le aaya hun.... Bela kahaan hai dono....
Bela : Ji voh apne kamre mein hai... aap vahi chale jaiye main chai lekar aati hun...
Anand: Kya hua.. kuchh baat hui hai kya...
Bela (in sad voice): Aap khud hi dekh lijiye... subah se Preeti naaraz hai.. baat hi nahi kar rahi aur Haseena ka to aapko pata hi hai... kuchh bolti hi nahi...
Anand: koi baat nahi... main dekhta hun.. chalo tum mere saath..
They entered in girls' room and see both are sitting in either side of bed sadly...
Anand: Preeti.. Haseena dekho main tumhare college ke admission form le aaya hun... VJN University ke.. Ahmadabad ka top ka college hai..
Preeti (in anger tone) : To kya karun... mujhe koi admission nahi chachiye.. aap form phaad do..
Haseena (in pleasing tone) : dekh Preeti..tu samajh nahi rahi hai... meri wajah se tu bhi college na jaaye to mujhe achchha nahi lagega... Please maan ja na...
She turned to Chachaji and ask for support : please aap hi ise samjhao na... meri to sun hi nahi rahi hai...
Preeti gets more annoyed: Haan haan... main to paagal hun na.. mujhe to kuchh samajh hi nahi hai.. har kisi ko apne man ki karni hai par main kya chahti hun usse kisi ko matlab nahi...
Chachaji finally spoke : Haseena.. pata nahi kya galat hai kya sahi... par mujhe lagta hai is baar Preeti sahi kah rahi hai.....
Preeti gets happy seeing her father supporting her: Dekha..papa bhi yahi chahte hai... sun le Haseena...agar tune admission nahi liya na to main bhi nahi lungi......
Haseena: Arey par maine admission lene se mana kab kiya... main bhi to B.Com karna chahti hun... mein sirf itna kah rahi hun ki main aage ki padai correspondence karna chahti hun... tu meri itni si baat nahi maan sakti....
Preeti : Dekh Haseena.. agar college jayenge to dono varna koi bhi nahi... aur tu jaanti hai main to phir correspondence ka form bhi nahi bharungi... saari zindagi 12th pass hi kahalwaungi... sab teri wajah se..
Anand Bela keep on listening their nok jhonk.. finally.. Anand interferes..
Anand: Haseena.. idhar dekho aur meri baat dhyan se suno.. par aakhiri faisla tumhara hi hoga.. pakka.. he took a deep breath and continued..... Haseena jis din tum paida hui thi aur Rama Bhabhi ne tumhe mujhe saupa tha..us din maine khud se ek vada kiya tha ki zindagi mein kitni bhi badi mushkil aaye main tumhara saath kabhi nahi chhodunga.. tumhe kabhi kamjor nahi padne dunga.. na hi kabhi tumhe haarne dunga.. aur sach kahu maine puri imaandari se yeh vada nibhane ki koshish bhi ki hai..
Par aaj na jaane mujhe aisa kyun lagta hai ki shayad main kahi chook gaya.. kuchh to kami rah gai hai jo main tumhe vo himmat nahi de paaya jiske bharose tum zindagi ki har jung lad sako... aaj tumhein yun tootate huye dekhta hun to lagta hai ki ek baap kahi haar gaya... saying this.. tears rolled down on his cheeks..
Haseena wiped out his tears and said: Nahi Chachaji.. aap kabhi nahi haar sakte.. main aapko kabhi haarne nahi dungi... aap to meri himmat ho.. mere guru ho jo mujhe har mod par sahi galat ki raah dikhate ho... please mujhe maaf kar dijiye.. aaj meri wajah se aapki aankhon mein aansu hai..
Anand took her in his embrace and caressed on her head lovingly... Nahi beta.. tu to mera guroor hai.. mere jigar ka tukda hai..... bas mein teri aankhon mein aansun nahin dekh sakta.. teri Khushi mere liye sabse jyada mayane rakhti hai...
Bela hugged Preeti and cried......
Preeti (to cheer up all): aur meri Khushi uska kya... socha tha college jaaungi..masti karungi.. khoob saare naye naye kapde milenge.. aazadi hi aazadi hogi..... par nahi is Meena kumari ne to saare plan hi flop kar diye.......
Haseena (with smile) : Oh nautanki... jyada baatein mat bana...... chal form bharate hai......Preeti runs and hug her tightly... sachchi... aaj main bahut khush hun.. thank you thank you behna.. Isi baat par aaj main sabke liye chai banaungi... aap log bhi kya yaad rakhoge......
Anand, Bela, Haseena: Noooooo.. itna torture.. aaj hum sab ka vrat hai... they all laugh and had family hug.. After Anand, Bela left from the room, Haseena calls Preeti and said:
Haseena: Preeti..idhar aa.. mujhe tujhse kuchh baat karni hai.. par promise kar tu sach mein gussa nahi hogi aur meri baat dhyan se sunegi..
Preeti smilingly: bol ab kya hua... tere liye to jaan bhi haajir hai.. aaj tune mera dil khush kar diya...
Haseena tingling her both hands and said in calm tone: Dekh Preeti.. maine form sirf teri Khushi ke liye bhara hai aur tu yeh achchhe se janati hai... par wada kar tu meri wajah se kabhi bhi apni khushiyon ko nazar andaj nahi karegi aur apni life khul kar jiyegi...... meri wajah se kabhi bhi kisi bhi baat par compromise nahin karegi....... main tujhe hamesha aise hi haste..muskurate dekhna chahti hun....... Promise kar.........
Haseena forward her hand towards Preeti and Preeti too hold it tightly and said: Promise.. par tu bhi wada karki hamesha khush rahegi..... Meri Haseena jaise... and they both spent some emotional moments...
Mallik House - Taiji was sitting on the swing in center of the hall.. Bela, Preeti, Haseena are in kitchen and Anand, Rakesh & Tauji sitting on Sofa...
Taiji: Anand babu.. jab yeh decide ho gaya tha ki 12th ke baad yeh ladki ghar se baahar nahi jayegi to phir ab yeh naya naatak kya hai......
Anand in pleading tone : Bhabhiji yeh kaisi baat kar rahe ho aap.. ek bachchi padegi aur dusri ghar mein baithegi ye kya baat hui...
Rakesh angrily: Anand mat bhulo aaj jo kuchh bhi galat ho raha hai usaki jimmedar bhi ye ladki khud hi hai...vaise bhi mera to pehle hi isase koi vasta nahi tha aur ab to bilkul bhi nahi.…..... meri bala se jo karna hai voh karo.... Meri koi jimmedari nahi hai
Anand: Bhai sahab.. jo bhi hua usme Haseena ki koi galti nahi thi.. phir har baat ke liye aap usse hi kyun dosh de rahe ho...
Taiji fumed in anger: Dosh uska nahi... usaki phooti kismat ka hai.. par aap ye sab kahaan manoge...
Anand replied firmly : Haan nahi maanunga.. na aaj na kal aur na kabhi bhavishya mein.. aur mera aakhirifaisla hai ki Haseena bhi Preeti ke saath college jayegi...
Tauji : Theek hai Anand.. jaisi tumhari marji... ab jo hoga use tum khud hi sambhalna ... sari jimmedari tumhari hi hai..
Anand replied calmly : Ji Bhai sahab.. mein dekh lunga.. aap chinta mat kijiye...
Taiji, Tauji, Rakesh left in anger... Preeti comes and hug Anand... Papa aap to Super Man ho... sabko bhagaa diya... Ab bada maja aayega... do din baad hamara college shuru... Hurray...
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Ankahi Baatein
FanfictionAnother story of our beloved AnuSeena, their relation starts from School with lots of twists and turns. Hope you all will like it. Do give your comments for betterment The credit of the story goes to @KRV2020 (thought to recreate the idea with the c...