Akelapan

291 53 42
                                    

Next day morning Haseena woke up early and went to mandir.. aaj ka din bahut important hai.. ek to aaj result aana hai aur dusra itne dino baad Anubhav se bhi milna hai.......

She came back from mandir and help Chachiji in Kitchen.. after some time..they both left for school...

Preeti : tujhe to jaldi hogi hi na.. ek to result aa raha hai aur doosra ... kisi se mulaqat bhi to honi hai...

Haseena : Tu na maar khayegi.. main pehle hi itani nervous hun aur tu hai ki bakwaas hi band nahi karti.. ab jaldi chal.. voh aa gaya hoga ab tak...

Preeti : achchha ab samajh aaya... isiliye daily voh Vyom Cheetah ke saath parking stand mein hi khada hota tha.... Madam ji ke didaar ke khaatir.... Kya baat hai...

Haseena: Preeti... tu chup karegi... aur meri Maa.. vaada yaad hai na.. kisi ko bhi nahi shaq hona chahiye... samjhi...

They both reached school but got disappointed that no one was there at Parking today...

Preeti seeing her sad face tried to console her "Tu dukhi mat ho... shayad andar hoga... chal jaldi se Assembly hall mein chalte hai... result declare hone wala hai"

Haseena with heavy heart.. moved to hall with Preeti... Vyom was sitting with Cheetah and was quite sad as compare to other days...

Preeti (in his mind): Yaar ye to Mr India hi ho gaya... yahaan bhi nahi hai... ab kya karen... meri Meena Kumari to mar hi jayegi ro ro kar.......

Shanti Madam: Students.. lets announce the result for class XI... and first position is from section "A" - Haseena Mallik... everyone claps for her... but she was not even feeling like to smile.. then she announces all other achievements and like last year Student of the Year award also goes to Haseena Mallik...

Everyone cheered up being promoted to next class and congratulate each other..

In Delhi hospital...

Anubhav: Nanu aapki dawai ka time ho gaya hai... aur phir aapko rest bhi karna hai...

Nanu after taking medicine: Anubhav... idhar aa.. mere paas baith...

Anubhav: Kya hua Nanu.. are you okay... doctor ko bullaun..

Nanu: arey nahi baba.. mujhe tujhse kuchh baat karni hai... idhar aa mere paas...

Anubhav sits beside him... Nanu caressed his head with love and said: ab tu bata tu kaisa hai... kitne dino se itni bhaag daud kar raha hai... apne shakal dekh.. kaisa bimaar lag raha hai.. aur Aankhen dekhi hai.. kale gaddhe padane lage hai abhi se... aisa raha to meri bahu ko main kya jawaab dunga...

Anubhav smiled a bit and hug him back.. tears rolled out from his eyes which he was holding for so many days... Nanu.. main bahut darr gaya tha... laga phir se duniya mein akela ho jaunga...

Nanu lovingly hit on his head: Paagal main kabhi tujhe chhod kar kahin ja sakta hun.... tujhe pata hai na tu hi to meri taakat hai... aise kamjor padega tu toh mujhe kaun sambhalega.. chal ab hans ke dikha... itne din ho gaye tujhe khul ke hansate huye dekhe... aur haan aaj to tera result bhi aane wala tha.. kya hua

Anubhav: Haan.. voh maine Vyom ko phone kiya tha.. mere 78% marks aaye hai...

Nanu: arey wah... phir to party honi chahiye... ek baar hospital.. dawaion ki badbu se nikal jaaye phir tujhe Delhi ke best restaurant mein lekar jaunga...

Anubhav concernedly : Nanu.. nahi jab taka ap poori tarah se theek nahi ho jaate hum kahi nahi jayenge..

Nanu: Achchha baba... Tu jeeta main haara... ab sun mujher tujhse ek baat karni hai... abhi doctor ne mujhe kuchh mahine yahin rehne ko bola hai... to main soch raha tha ki tera admission is saal ke liye yahaan Delhi mein hi karwa doon.. nahi to tera saal kharaab ho jayega aur main akele tujhe vahana nahi bhej sakta......

Anubhav (hiding his emotions) : Koi baat nahi Nanu.. jahaan aap vahin main..meri khushi sirf aapke saath hai... mujhe koi dikkat nahi ... chalo ab aap so jaao..bahut baatein kar li ... aaj ka quota khatm...

After Nanu drift into sleep...he went towards window and looking outside...........

Anubhav POV...

Aaj ek baar phir main apni kismat ke haathon haar gaya... jab chhota tha to papa ke saath kitni masti kitna enjoy karta tha.. phir voh mujhe chhod kar chale gaye... mummy bhi mujhe chhod kar Delhi aa gayi aur apni nayi duniya mein kho gayi... maine kabhi unse koi shikayat nahi ki par hamesha dil ke kisi kone mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha... phir Nanu ne mujhe apne paas bulakar mere dil ke har kone mein pyar bhar diya.. Vyom Cheetah jaise dost mile jo har dukh sukh mein hamesha mere saath khade rahe..... aur phir meri zindagi mein aayi Haseena --- ek ankahe.. anjane se ehsaas ke saath.. meri zindagi ko rangeen karne.. usne mujhe khwab dekhna sikhaya.. laga uski aankhon mein doob kar manjil par kar lunga.. aaj phir ek baar apni khushiyon se dur ho gaya hun.. lag raha hi jaise sab kuchh ret ki tarah mere haath se phisal raha hai...... aaj phir ek baar mein sabse dur akela ho gaya hun....pata nahi mera yeh imtihaan kab khatam hoga... aur kitna mujhe iss akelepan ka bojh uthaana hai.......

Phir se sab chhut gaya.. mera shehar.. mera ghar.. mere dost.. meri Khushiyaan aur aur meri Haseena... shayad kismat ko yahi manjoor tha isiliye hum paas aakar bhi kabhi paas nahi ho paaye... shayad meri kismat mein hi uska saath nahi tha..... pata nahi ab kabhi use dekh bhi paunga ya nahi.. shayad uske liye yehi sahi hoga.. kuchh dino mein voh mujhe bhool jayegi aur apni duniya mein kho jayegi... par mere dil mein.. dhadkan mein.. zindagi mein uske siwa na koi aaya hai aur na koi aayega... shayad tumse yeh kabhi na kah paaun par tumhare siwa kabhi kisi aur ko bhi yeh nahi kahunga.. I Love You Haseena...

Wafa Ka Rang Jo Gahera Dikhayi Deta Hai,

Lahoo Usme Kuchh Humara Dikhayi Deta Hai,

Humara Gham Se Talluk Bahut Purana Hai,

Humara Dard Se Rishta Dikhayi Deta Hai...

Kuch Ankahi Baateinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें