Haseena Preeti reached home with Karishma as her parents were not ah home to attend some function and will not be back by overnight so she decided to stay back with her besties..
Karishma: Yaar aaj kitna maja aaya na college mein.. ab bas jaldi se dance ki practice shuru ho jaaye... (lost in dreams) main aur vyom ek saath... baahon mein baahen...
Preeti : oh Rajkumari..sapno ki duniya se baahar aaja... abhi bahut planning karni baaki hai..
Haseena while teasing her: Haan..aur sabse pehle..tere liye partner bhi to dhundhna hai .….... jo tujhe jhel sake...
Preeti irritatingly : Haseena, pit jayegi mujhse.. pehle hi us samose ne dimaag kharaab kar diya ab tu mat shuru ho jana..
Then they three sits for lunch and informed Bela about their planning for Freshers...
Bela : Haseena beta tu kuchh nahi karegi... kuchh to kar le.. dekh tu to itni hoshiyaar hai har cheej mein...
Taiji from back: Haan haan dekhi hai iski hoshiyari... bahut ghamand kar rahi thi na tu Bela jab isne voh school mein dance competition jeeta tha... bata ab kya hua... maine to pehle hi kaha tha jyada sar par mat chadao...
Bela : Bhabhiji..kya bol rahe ho aap... Haseena dance kaise kar sakti hai... par iska matlab yeh to nahi ki uski baaki saari khubiyaan bhi khatm ho gayi..... voh to bachpan se hi har chij mein hoshiyaar hai...
Taiji: bahut dekhe hai iske jaise hoshiyaar.... Chalne ke liye to sahare ki jarurat padti hai dance kya khaak karegi..... maine toh pehle hi mana kiya tha ki ise ghar par rakho... saari biradari aur mohalle mein naak katwa di iss ladki ne... pata nahi ab iski wajah se Preeti ke liye bhi Rishta kaise milega.. aur tum logon ko shok chada hai isse stage par bhejne ka.. puri izzat mitti mein mila do.... zindagi bhar ke liye bhoj ban gayi hai sab par... uthao shauk se tum log.. hume kya...
She left after spilling all venom for Haseena and leaving her in cry...
Bela came and hug her tightly to relax her... beta chup hoja... inki to jubaan hi kaali hai... kabhi kisi ka achchha nahi bol sakti... pata nahi kyun jab dekho munh utha kar hamari khushiyon mein aag lagane aa jaati hai.....
Preeti and Karishma tried best to cheer her up with their non-sense talks but all failed... she was back in her same upset and quiet mood as earlier..she hardly eats anything and left to her room......
Preeti sadly: aaj Anubhav ne kitni mehnat se iska mood theek kiya tha.. kitne din baad khul kar muskura rahi thi par dekho Taiji ne sab kharaab kar diya....
Karishma : Haan yaar.. Anubhav ki saari mehnat par paani daal diya..... inhe toh na tumhein ghar mein hi ghusne nahi dena chahiye..
Preeti : mera bas chale na toh inhe Haseena ke aas paas bhi na fatakane dun...
Then only phone bell ring... Tring tring... Preeti picked up the phone irritatingly...
Preeti: Hello... kaun hai...
Anubhav: Hello Preeti..main Anubhav... baat kar sakte hai... Haseena aas paas to nahi hai na...
Preeti (sadly): Anubhav tum.. haan ... bolo ...
Anubhav: Kya hua tum itni upset kyun lag rahi ho... mujhe laga aaj Haseena ka mood kaafi dino baad theek hai..aur Karishma bhi tumhare saath hai toh tum log kuchh enjoy kar rahe hoge ghar par...
Preeti : Plan to kuchh aisa hi tha.. aaj itne dinon baad voh khush thi par ghar aate hi sab kharaab ho gaya... then she narrates the whole story ...
Anubhav (in anger) : Yaar.. unka dil hai ki patthar.. aise kaise voh Haseena ko itna suna sakti hai...
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Ankahi Baatein
FanfictionAnother story of our beloved AnuSeena, their relation starts from School with lots of twists and turns. Hope you all will like it. Do give your comments for betterment The credit of the story goes to @KRV2020 (thought to recreate the idea with the c...