Alien

321 57 65
                                    

In Delhi.. post exams Anubhav wants to come back Ahmadabad immediately but Nanu was in Mumbai for one month to close some business deal.. so he must stay back in Delhi... Rohan brings Crash course form of Computer... He insists Anubhav to join with him in course so that they can spend some quality time together...Vivek and Nanu also agreed on this proposal.. Later post their good results.. Nanu filled his College admission Form in Ahmedabad - VJN University..

Anubhav wants to keep it as a surprise for Vyom Cheetah... His computer course was for one week more so it was decided that he will be back only a day prior joining the college..

Rohan: Anubhav tum sach mein vaapas ja rahe ho... kya aisa nahi so sakta ki tum apna college yahaan Delhi mein mere saath hi kar lo..

Anubhav: Rohan.. sach kahu aaj pehli baar vaapas jaane ki bata se dil bhaari ho raha hai.. tumhari aur Deepika ki itni aadat ho gayi hai ki kya kahu... par mujhe ab vaapas chale hi jaana chahiye... kuchh rishte shayad duri se hi panapte hai...

Rohan gets sad "Par kyun yaar... kyun hum dono bhai ek saath nahi rah sakte.. mujhe teri bahut yaad aayegi.. tere saath ki aadat ho gayi hai... pehli baar koi dost bana hai mera varna tujhe to pata hai Dadi kisi se baat bhi nahi karne deti.. dosti to dur ki baat hai"

Anubhav tried to convince him more.. "Rohan dekh ek to mujhe hamesha Nanu ki chinta rahti hai.. voh vahaan akele hai aur sach kahun to unke bina main bhi adhura hun.. voh mere liye vo sahara hai jinhone mujhe hamesha doobne se bachaya hai.. pehle bachpan mein jab mere papa..... (after a pause) aur phir do saal pehle hostel se mujhe vaapas laakar.. vaise iska credit to tujhe bhi milna chahiye... Nanu ne bataya tha mujhe...

Rohan : Anubhav maine hamesha tumhe apna bhai maana hai.. bhale hi hamare ghar wale is rishte ko na samjhe par hum hamesha saath rahenge... pakka waada... they both hug each other and smile...

Rohan smiled: Vaise Anubhav bahut dino se ek baat puchchhne ka man tha... if you don't mind.. may I?

Anubhav : Tu kab se mujhse kuchh permission lene laga.. bol kya baat hai..

Rohan (teasing): Voh.....actually mujhe puchchhna tha.. kya sach mein sirf Nanu hi wajah hein tere vaapas jaane ki ya kuchh aur bhiiiiii....

Anubhav looked at him surprisingly and stammered : k.. k.. kya matlab tera?? Kehna kya chahta hai..

Rohan (smilingly): I mean koi special ? jisse tu bahut misssssssss karta ho....

Anubhav (shyly): nahi nahi yaar... aisa kuchh nahi hai... tu bhi na kuchh bhi soch raha hai.. aur haan.. Vyom Cheetah bhi to hai.. mere dost.. aur kise miss karunga mein...

Rohan : Sirf Vyom Cheetah... ya phir (loudly) Hasee..... Anubhav put his hand on his mouth to stop taking her name...

Anubhav: Dheere bol... baahar Mummy baithi hai aur hamari BBC deepika bhi hai.. saare mohalle ko bata degi...

Rohan (laughing): Iska matlab mera shaq sahi hai... Hain na Haseena Bhabhi ke Saiyaan ji...

Anubhav turned red listening this... Paagal hai tu... aisa kuchh nahi hai abhi.... Voh sirf mere school mein padti thi.. par ek minute tujhe kaise pata chala Haseena ke baare mein...

Rohan (mocking tone): Haye haye.. naam sunke dekho chehre pe kaisi chamak aayi hai... kahi najar na lage hamare hero ko....

Anubhav: Ab batayega ki maar khayega...

Rohan : Are yaar.. hum ek hi room share karte hai... ab tu raat bhar Haseena Haseena ki maala japega to pata to chal hi jayega na....... sach bata roj sapne mein aati hai kya voh tere... pata hai kabhi kabhi to tu itna muskura raha hota hai jaise koi khajana mil gaya ho...

Anubhav (in dreams): Haan yaar...sapne mein to roj aati hai... pata nahi sach mein kab saamne aayegi...

Rohan : kya baat hai mere majnu... chal ab jaldi se mujhe saari story bata nahi to Deepika ko Haseena ka naam bata dunga..... phir tujhe pata hai na kya hoga....... Ahmadabad tak khabar pahunch jayegi.... Aur kal hi uski doli hamare ghar mein hogi....

Anubhav: Okay okay batata hun.. par promise kar ki tu kisi se kuchh nahi kahega... sahi waqt aane par main khud sabko bata dunga.. yahaan tak ki abhi to Vyom Cheetah aur Nanu ko bhi kuchh nahi pata...

Rohan : Kya... nanu ko bhi nahi.. mujhe laga unhe sab pata hoga tere baare mein..

Anubhav : bata toh deta par mauka hi nahi mila.. aur phir mujhe yahaan aana pada....

Then he narrates the whole story...

Rohan poked his forehead with palm hardly: Seriously... are you nuts guys........ matlab ek saal or na Hi na Hello... matlab tum dono kaun si duniya ke aliens ho... tumhare to pair  dho kar peene chahiye... a new world record in Guinness book...

Anubhav amazingly asked innocently " Yaar tu meri taarif kar raha hai ya majaak uda raha hai... aur haan mera theek hai par Haseena ke baare mein kuchh mat kehna... Samjha... Bhabhi hai vo teri"

Rohan (chuckling): Bhai sahi hai... Bilkul Ram Milayi Jodi Hai... dono duffer... Vaise yeh bata last time baat kab hui thi teri... sorry sorry baat nahi sirf phone kab kiya tha.. baat to tum vaise bhi nahi karte..

Anubhav (Shyly): voh voh mere birthday par... sirf kuchh mahine pehle...

Rohan dramatically : Bhai use sirf kuchh nahi paanch mahine kehte hai... Hey bhagwan utha lo mujhe.. life mein pehli baar ek real love story suni aur voh bhi itni bhayanak.. mujhe to ab pyar naam se hi darr lag raha hai.….....

Anubhav (in sad tone): Kya yaar... tu pehla insaan hai jise maine Haseena ke baare mein baat ki.. chand ke alawa.. aur tu majaak uda raha hai..

Rohan surprisingly asked: Chand kaun? hamari class mein to koi is naam ka ladka nahi tha... tera koi aur dost bhi hai kya yahaan jo mujhe nahi pata....

Anubhav cutely replied: Are nahi nahi.. chand matlab MOON... voh jo raat ko dikhata hai.. voh wala....

Rohan give a hard hit on his arm.... Inka Kuchh Nahi Ho sakta.... he starts leaving the room laughing loudly and clutching his stomach.... Kam se kam mere majnu Delhi se koi gift to le jaana uske liye.. (in teasing) vaise nahi bhi le jaoge to chalega.. tumhare saare kaam hi anokhe hai.... anokhe pyar ki anokhi kahaani... vaise bhi tum donon ko ek dusre ko dekhne se hi furasat nahi milti aur kisi cheez ki kya jarurat hai.... vaise ek idea dun..tu na use sirf baat karle... itne mein hi behosh ho jayegi gift ki jarurat hi nahin padegi..... he laughed uncontrollable seeing Anubhav's cute grumpy face.....

Anubhav : chup rah... useless .... Vaise gift toh banta hai.... yeh to maine socha hi nahi... aaj hi shopping par jaaunga..... with a cute smile and excitement ..... chal Anubhav beta ab laga apna dimaag ki gift kya lun... aakhir meri Haseena hai bhi to sabse special.. Pehla gift hai sabse best hona chahiye na …....

Rohan (in teasing) : Yaar tu Chand se hi idea le lena.. vohi bata dega Bhabhi se puchh kar.....

Anubhav in instance : Haan yeh theek rahega... abhi puchchhta hun... suddenly he realized his teasing.. instantly a flying pillow hit on Rohan's face....

Next full day Anubhav roam around in market to find out a best suitable gift for her ... bilkul uske jaisa khubsoorat..masoom aur pyara....

Kuch Ankahi Baateinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें