Haseena Preeti reached home with Karishma and Santosh so that they can do some practice and all boys gang join Anubhav for their practice...
Bela : ek baat batao.. tum log sachchi vo jo filmo jaise dance karte hai vaise hi karoge ... ladko ke saath..
Haseena : Haan Chachiji... bilkul vaisa hi.. kitna maja aata agar hum aapko dikha pate...
Bela(in her mind) : mujhe jyada Khushi hoti agar tu bhi kar paati... kaash aisa ho pata
Preeti: voh to theek hai mummy, par kya bataye ladke itna bura dance karte hai puchchho mat...
Karishma: aur kya Chachiji... bandaro ki tarah uchhal rahe the... do baar to mere pair par hi chad gaya vyom
Santosh: Aur cheetah toh itna Sharma raha tha jaise nai naveli Dulhan ho...
Haseena: arey Preeti.. Rohan kaisa dance kar raha tha... tune bataya nahi (teasingly)
Preeti : Haseena... dekh tere kehne par main maan to gayi hun par us gadhe se mujhko koi ummid nahi hai.. pakka harayega... nakchada...
Bela turned to Haseena, "Haseena beta tune kuchh socha karne ke liye.. kuchh to kar na beta"
Haseena wrap her hands around Chachiji and keep her head on her shoulder: aap please itna mat socho... main theek hun aur phir yeh koi debate competition to hai nahi.. varna main pakka hissa leti..... aur vaise bhi koi toh chahiye na in sab ko manage karne ke liye..........
Boys also tried a lot to practice but all seems a big blunder...
Anubhav got irritated, "Yaar aise karoge to joote padenge stage par... jara sa bhi co-ordination nahi hai tum logon mein .... Ladkiyan kuchh aur kar rahi hai aur tum log kuchh aur...
Rohan : Bhai.. moi debate kara le to theek hai par yeh dance mere bas ka nahi hai.. aur voh bhi us nakchadi billi ke saath...
Vyom shyly : Yaar main to jaise hi Karishma ko haath lagata hun aisa lagta hai jaise 1000 watt ka current lag gaya ho..
Cheetah : aur main to Santu ko dekhte hi ... sachchi bahut sharam aati hai... he hides his face in his palms shyly...
Anubhav: kaise fuddu dost hai yaar mere.. agar main hota na tumhari jagah Haseena ke saath to dikhata kya dance hota hai... (in low voice) jaise sapne mein tha...
Rohan put his hand on Anubhav's shoulder and asked: Anubhav, ek baat bata...sab kuchh na kuchh kar rahe hai.. tune Haseena Bhabhi ko kyun nahi kuchh karne ko kaha... tujhe nahi lagta unhe dukh ho raha hoga aise akele rah jane ka..
Anubhav smiled and said : Yaar mujhe pata hai par abhi shayad voh taiyar nahi hai in sab ke liye.. par tu chinta mat kar main hun na uske saath... he slightly hit on his head ... aur haan yeh kya Bhabhi Bhabhi laga rakha hai... uske saamne mat bol dena..
Rohan: nahi yaar, mujhe pata hai par kya karun control hi nahi hota..... don't worry main dhyan rakhunga but promise me ki meri Bhabhi voh hi banegi.. she is very sweet...
Anubhav (dreamingly) : Haan yaar sweet to bahut hai... cuties si, pyaari si, masoom si.....
All 3 giggled - Lo yeh toh gaya phir sapno ki duniya mein... chalo hum apni practice karte hai.....
Girls were practicing when phone rings... Preeti & Haseena both understood it must be Anubhav but didn't show.....
Preeti : Haseena... please phone attend kar le aur haan..andar kamre mein chali ja..yahaan music bahut loud hai...
Haseena: Theek hai main dekhti hoon... she picked up the cordless and go inside her room..
Haseena / Anubhav: Hello... (they both laugh)
Anubhav: Hum hamesha ek saath hello bolte hai... isn't it funny...
Haseena : Haan voh to hai par agar kabhi meri jagah kisi aur ne phone utha liya to... aur agar Taiji ne utha liya to band baj jayega...
Anubhav: hmmm... pata nahi par jab tum phone uthati ho to pehle se hi ehsaas ho jata hai.. shayad tumko bhi... correct?
Haseena (nervously): pata nahin..... (in her mind: yeh ehsaas toh mujhe school ke dino se hi ho jata tha jab bhi tum phone karte the aur kuchh nahi bolte the... tumhari khamoshi bhi pehchan leti hun) ... khair chhodo yeh batao vaha practice kaisi chal rahi hai... yaha to pura hungama macha hua hai...
Anubhav : Yaha toh haal hi behaal hai... pata nahi kya karenge.. kuchh sochna padega inke liye... tum batao kya kar rahi ho.....
Haseena : kuchh nahi bas sabke saath masti kar rahi hun... ek baat kahun Anubhav.. bahut dino baad itna maza aa raha hai ki puchho mat..... sab tumhaari vajah se... (teasingly) lagta hai tumse dosti karna mere liye kaafi faydemand raha.........
Anubhav: aur voh kaise?
Haseena : itna caring, dil ka saaf aur sachcha dost jo mil gaya...
Anubhav : par tumse jyada lucky main hun... kyunki meri dost sabse best hai.....
Haseena : par mere dost se thoda kam.....
Anubhav: chalo theek hai na kam na jyada... bilkul ek jaise... ok... they laugh and keep talking for some time and disconnect line.....
Being Sunday next day.. they all were at home with regular routine... But our love birds missing each other too much...
In Night after dinner.. Haseena and Preeti went to sleep..
Preeti : Haseena kal mujhe jaldi jana hoga... volleyball team ka selection hai....
Haseena: Preeti main soch rahi hun kal college na jaau.. tum sab selection ke baad dance practice karoge... main kya karungi... kal shayad hi koi class hogi...
Preeti : Par ghar mein bhi kya karegi... bore hi to hogi..... kal Mummy Papa ko bhi kahi jaana hai.. Papa kah rahe the ki subah hume college bhi nahi chhod payenge......
Haseena: koi baat nahi main akele ghar mein rah lungi....
Preeti : Nahi yaar.. saare din Taiji ke saath akele rehne se to achchha hai tu college chal.. Phir Karishma.. Rohan aur Priya bhi to hai... unko kisi selection ke liye test nahi dena... ab jyaada mat soch aur chupchap kal college chalna... samjhi ... aur vaise bhi aaj kal koi hai jiska tujhe dekhe bina nahi chalta...
Haseena: paagal hai kya, aisa kuchh nahi hai.... chal tu so ja tujhe jaldi jaana hai kal....... main mandir hokar aa jaaungi.. kal somvaar bhi hai....
Preeti : theek hai ... par main swati ko bol dungi tujhe mandir se pick kar legi... tum dono saath mein aa jaana... akele mat aana....
Haseena (in her mind) : pata nahi kab mere liye sochna chhod kar yeh apne baare mein sochna shuru karegi... kabhi kabhi lagta hai jaise main nahi yeh meri badi behen hai... par sochu toh kuchh hi dino mein zindagi kitni badal gayi hai... pehle main college bhi nahi jaana chahti thi.. ghar se baahar nikalane ke naam se hi darr lagta tha.... par ab lagta hai shayad kuchh sapne abhi bhi baaki hai jo mein jee sakti hun... aur Anubhav.. kabse chahti thi usse dosti karna aur ab ho bhi gayi... kitni parwah karta hai meri.. mujhe jara bhi takleef mein nahi dekh sakta.. par kya main kabhi uske liye kuchh kar paaungi... pata nahi yeh dosti hamare Jeevan mein kya mod laayegi.. par phir bhi main khush hun.. kal kya hoga yeh sochna bhi nahi chahti.. sirf aaj mein jeena chahti hun... thanks Allah mere zindagi mein itni pyari behen aur pyar karne wale doston ko dene ke liye.. aur haan Anubhav ke liye bhi..
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Ankahi Baatein
FanfictionAnother story of our beloved AnuSeena, their relation starts from School with lots of twists and turns. Hope you all will like it. Do give your comments for betterment The credit of the story goes to @KRV2020 (thought to recreate the idea with the c...