Anubhav flight landed at Ahmadabad airport... He came out with luggage and found Nanu standing there waiting for him... He rushes towards him.. touch his feet to take blessing and he hugged him back..
Nanu: Per nahi tu to mere gale laga kar... kitne dino baad dekh raha hun tujhe...
Anubhav: Mujhe bhi aapki bahut yaad aa rahi thi.. aapke Bombay wale project ke kaaran kai mahino se aapse milna nahi ho paya....
Nanu : Chal ghar chale…... tujhse bahut saari baatein karni hai...
Anubhav settle his luggage in car dickey and headed to home..
They reached home and Ramdhari greet him.. Bhaiya kaise hai aap.. poore ek saal baad aapse milna ho raha hai.. humne aapko bahut yaad kiya..
Nanu : Ramdhari use ghar mein to aane de.. saari baatein darwaje par hi kar lega kya
They laugh and go inside... Anubhav left for his room to freshen up...
Anubhav POV
Aaj finally vaapas ek saal baad apane ghar aakar jo Khushi ho rahi hai voh bata nahi sakta... lag raha hai jaise ab sab pehle jaisa hi ho jayega.. phir se Nanu ke saath voh masti.. Vyom Cheetah ke saath ghumna.. aur Haseena....... (his smile faint) par ab Haseena se kaise milunga... pata nahi voh ab kahan hai.. kaun se college mein admission liya hai... mujhe pehchanegi bhi ki nahi.. agar haan to kitne sawaal honge uske man mein.. mein achanak kaise gaayab ho gaya.. kahaan chala gaya..kyun chala gaya... kisi se bhi contact kyun nahi kiya....Par is baar mera vaada hai ki tumhare saare sawalon ka jawaab dunga.. tumhe apne baare mein sab bata dunga.. aur aur apne dil ki har voh baat jo aaj tak maine apne aap ko bhi nahi batayi... tumse koi parda nahin hoga.. aakhir tumse itna pyar jo karta hun... yeh ek saal kaise kata hai yeh main hi jaanta hun..roj tadpa hun tumhe dekhne ke liye... tumse baat karne ke liye.. magar kismat ke haathon majboor tha ya yun kahun darr gaya tha... pata nahi tha ki kabhi vaapas aa bhi paunga ki nahi.. tumhari masoom aankhon mein sapne saja kar unme aansun nahi de sakta tha..
Ho sakta hai tum mujhse naraaz ho par koi baat nahi... ab meri baari hai humare beech ki har deewar ko hatane ki jo maine khud khadi ki thi..tumhe agar manana bhi pada to koi nahi.. ab yeh Anubhav Singh pichchhe nahi Hatega... pyar kiya hai tumse to use nibhana bhi to padega.. chaahe kuchh bhi ho jaaye par ab tumhein apne se dur nahin jaane dunga... I Love You Too Much..
Here.. Preeti was very excited for the first day of college... she keeps on choosing the best dress to wear on first day..
Preeti gets confused with in choosing from so many options available : Haseena please behen help kar na... kal kaun sa dress pehnenge.. mujhe to kuchh bhi samajh nahi aa raha...
Haseena looked at her and smiled: Kuchh bhi pehen le... tu itni pyari hai har dress mein cute lagti hai..
Preeti : oh Madam..Jyada makkhan mat lagao... chup chap se aao aur meri madad karo.. aur haan apne liye bhi koi best si dress chose karle..
Haseena: Preeti dekh tu janti hai mera in sab mein koi interest nahi hai.. main college sirf teri Khushi ke liye ja rahi hun.. tujhe jo pasand ho nikaal de.. main pehen lungi... vaise bhi tu sabse best hi chose karegi mere liye....
Preeti turned toward her and said with misty eyes: Haseena.. tu aisi baatein kyun karti hai.. aise koi jeena to nahi chhod deta.. aur tu toh hum sab se jyada strong hai..hume hausla deti hai phir yeh sab kyun.... tune vaada bhi kiya tha ki sab bhool kar aage badegi par...
Haseena wiped her tears.. "Sorry yaar.. I didn't mean that.. achchha chal dress decide karte hai...(in mind) I should not spoil her mood.. vaise bhi vo hamesha meri wajah se upset ho jaati hai"
Later they both decided their dresses for each other and Preeti slept early as she wants to look fresh tomorrow... Preeti chose a blue dress for Haseena co-incidentally...
Haseena POV
Sorry Preeti.. meri wajah se tera mood bhi kharaab ho jaata hai.. tu mere liye kitna sab karti hai.. pata nahi kabhi kabhi lagta hai jaise sach mein mera bura saaya teri khushiyan bhi kam kar deta hai.. par main poori koshish karungi ki meri wajah se tujhe koi takleef na ho.. tu hamesha khush rahe...
Anubhav ko gaye bhi ek saal ho gaya aur us... us din ke baad uska koi phone bhi nahi aaya.. main aaj bhagwan se yahi dua mangungi ke ab kabhi hamara saamna na ho... kuchh mulaqatein adhuri hi achchhi hai... uski yaadein hi mere liye kaafi hai baaki zindagi gujarane ke liye... par ab usse milne ki ummid..chahat sab khatm ho gayi ... achchha hi hua jo usse koi contact nahi raha... achchha hua jo dil ki baat dil mein hi rah gayi.. aur ab hamesha ke liye vahi dafan ho chuki hai... dil ki saari becheniyaanjaise dhahar si gayi ho..
Ek alag hi ehsaas hai yeh bhi... Ek Pyar bina kisi ummid ke.. bina kisi se milne ki chahat ke.. sapne hai par unke pure hone ki chahat nahin.. aur ab bas is pyar mein..main akeli hun aur isi mein meri Khushi hai.. aur uski bhi... I Love You
आप पढ़ रहे हैं
Kuch Ankahi Baatein
FanfictionAnother story of our beloved AnuSeena, their relation starts from School with lots of twists and turns. Hope you all will like it. Do give your comments for betterment The credit of the story goes to @KRV2020 (thought to recreate the idea with the c...