Poorva

320 67 16
                                    

Next day being Sunday.. girls were sleeping till late morning....

Pooja : Mummy.. yeh Haseena Preeti abhi tak uthi kyun nahi... main bore ho rahi hun...

Bela: Beta tujhe pata toh hai Preeti ka.. aur Haseena raat ko bahut der se soyi hai.. shayad tabiyat bhi theek nahi hai uski... pata nahi kal kaise koi bura sapna dekha hoga toh darr gayi thi aur chilla kar uth gayi...

Pooja: jab se accident hua hai tab se aise hi kuch kuch dino mein yeh sapne dekh kar darr jaati hai...

Then only Haseena enters with a smile... Good morning Pooja didi.. Chachiji...

Bela: Uth gayi tu... aur voh kahan hai kumbhkaran... abhi tak so rahi hogi...

Preeti enters: lagta hai meri hi taarifon ke pul baandhe ja rahe hai... aap logon ka bhi mere bina dil nahi lagta... hai na...

Bela serves breakfast to all... Preeti feels relax seeing Haseena smiling and happy after talking to Anubhav in night. Rohan wake up late and saw Anubhav back from jogging...

Rohan: Yaar raat ko itni lambi pad yatra ke baad bhi jogging ki jarurat bachi thi...

Anubhav: Bakwaas mat kar... main to kahunga tu bhi mere saath chala kar... sehat ke liye achcha hota hai aur discipline bhi banta hai...

Rohan (irritatingly): Rehne de... already bahut discipline mein rah chuka hun... ab aur nahi...

Nanu enters in their room... are uth gaye mere dono sher... chalo jaldi karo... aaj Ramdhari ne phir kuch nayi recipe try ki hai... badi der se intzaar kar raha hai tum dono ka... they all laugh together and went for breakfast...

Nanu: achcha suno agle hafte mujhe do-teen din ke liye Mumbai jaana hai.. kuch legal formalities poori karni hai.. toh tum dono akele hoge ghar par... dhyan se rehna aur apna khyal bhi rakhna...

Ramdhari: Bade sahab.. agle hafte to hum bhi do din ke liye gaon jaa rahe hai.. bataaya tha na aapko.. voh mere bhai ki shaadi hai...

Nanu: arey to phir yeh dono akele kaise rahenge...

Rohan: Koi baat nahi Nanu... hum dono manage kar lenge...

Anubhav: Haan kuch dino ki hi to baat hai.. vaise bhi Vyom Cheetah toh din bhar hamare saath hi hote hai... aap chinta mat karo..

Till then Vyom Cheetah also enter...

Nanu: Lo shaitano ka naam liya aur shaitan haazir... chalo aao tum bhi try karo iski nayi recipe...

After breakfast Nanu left to meet his friend...

Vyom: Anubhav Haseena se kuch baat hui... kal voh bahut pareshaan thi.. Karishma ka phone aaya tha.. isiliye unhone apni raat ki party bhi cancel kar di thi..

Cheetah: Haan yaar.. kuch to karna padega.. iss accident se darr gayi hai...

Rohan (dramatically): arey Bhaiyon.. chinta kyun karte ho... Hamare Shree Shree Anubhav Singh Ji ne aadhi raat tak pad yatra karke.. phir phone parvartalaap karke.. phir aadhi raat ko guitar baja kar.. apni madhur awaaz mein sangeet suna kar apni premika ka mood theek kar diya hai.... aur in sab mein apne priye chhote bhai ki neend ki band bhi baja di...

Anubhav throw a pillow to him and they all laugh on his mimicking...

Anubhav: par yaar agar ek baar use dekh leta toh theek rehta..... pata nahi ab kaisi hogi...

Rohan: vaise aap log chaho toh mujhe dhanyavaad kah sakte ho kyunki maine subah hi aapke milne ka program set kar diya hai...

Anubhav happily hugged him back: Bhai kya baat hai... padai ke saath tera dimaag in sab mein bhi chalta hai...

Kuch Ankahi Baateinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें