*Ignore mistakes*
Subha ki 7 baj rhi thi aur vo roz ki tarah college jaane ke liye tayyar ho rahi thi Aaj iska college me ek important practical hona tha isliye iska college Jana laazmi tha iss ki umr 20 saal thi,iski 2 behne aur ek bhai tha dono behno ki shadi ho chuki thi aur bhai engaged tha.. isne light colour ka Abaya pehn rakha tha..chehre pe black mask lagaya hua tha
Sanaaa Sanaa... beta nashta to krte jaao... sana ki ammi (Rafiya) ne sana se kaha..Areee nahi ammi agar nashta karne bethi to ye khatara aaj bhi late krwa degi mujhe..use kareeban 8 baje college ke liye nikalna tha pr vo 1st floor se ground floor pe 7:40 pe hi aajati hai kyu k ushe pata tha k uski scooty hamesha ki tarah aaj bhi ushe dhoka degi aur Start nhi hogi...
Vo neeche aakar apni scooty start krne me lag jaati hai par uski scooty har roz ki tarah aaj bhi Start nahi hoti..
Sana boht koshish kr Rahi hoti hai, itne me ishe ek avaaz aati hai ruko me aata hu...
Vo avaaz iske abbu ki thi...Jii abbu aajaein ye khatara mujhse aaj bhi Start nhi hogi.. sana ne gusse me apne abbu se kaha...
Uske abbu ushe dekh kar muskurane lage unhone scooty me pata nahi kiya kia..
Chalo beta sana ab start kro.. sana ke abbu ne sana se kaha... Sana ne scooty start ki vo ek hi baar me chalu ho gai...
Thankyou abuuuu you are the bestttt....
usne apne abbu ko khuda hafiz kiya aur vo college k liye nikal gai,ye college akeli nhi jaati thi iske saath iski ek dost Fatima jisko ise raaste se pick Krna hota tha.. pr aaj Fatima iske saath college nhi jaati hai, shyd uski tabiyat kharab thi.....Sana ghr se ye keh kr aai thi k Fatima bhi uske saath college jaaegi.. kyu ke sana ke ghar ka mahol thoda sakht tha.. agr vo ghar se ye kehkr aati ke aaj Fatima ne college nhi Jana hai.. to iske ghr vaale ishe kabhi akele college nhi jaane dete.. isne jhoot bola kyu ke iska aaj college me important practical tha sana ka college jaana zaruri tha..Sana college pohchkr roz ki tarah classes attend kr ke vapas ghar aa hi rahi hoti hai tabhi ishe iski ek class fellow(Maheen) mil jaati hai..
Yarr sana mera ghar tumhare ghar ke raste me hi aata hai kiya tum mujhe drop kar dogi?? Maheen sana se puchti hai..
Aree nahi nahi me drop nhi kr sakungi actually mujhe Aaj college se sidha apni phupho ke ghar jana hai.. To sorry me drop nhi kr sakti... Sana Maheen ko ye kehkar college se nikal jaati hai
Maheen ko mana kr ke sana ko boht guilt hota hai.. vo sirf scooty chalate chalate maheeen ke baare me hi soch Rahi hoti hai..
Yrrrr mujhe kr dena tha ushe drop...Prr jb mujhe uss din uski help chahiye thi to usne saaf inkaar kar Diya tha aur to aur mere messages ka reply bhi nhi Kiya tha to me kyu kru uski madad shyd mene ishe drop naa krke sahi kiyaa.. Yahi sochti hui vo apni hi dhunn me apni scooty chala rhi thi aur uske aage aage ek black colour ki car chl rhi thi vo car chalte chalte thodi slow ho gai aur apni dhunn me peeche se aarahi sana uss car me apni scooty de maarti hai...
YOU ARE READING
Ishq di Marzi
RomanceThis story is related to rom-Com and heart touching love story.. Sana and amaan meet as an strengers..and how they both are fall in love with each other... read the story if you ito know..