Meri zindagi ki Sabse badi khwaish"? Wo soch me parh gyi phir ek lambi saans lete hue qadre bebasi se muskurai"Bohot mushkil hai is sawal ka jawab dena"
"Kyu mushkil hai"? Javeria ne us se pucha
"Kyuki meri bohot saari khwahishat hai ,aur har khwahish mere liye bohot ehem hai " usne sar jhatakte hue kha!
FSC classes me Aaj unka aathwa(8) din tha aur is waqt wo dono free period me bahar baithi thi
"Tumhari zindagi ki Sabse badi khwahish kya hai imama"? Imama ne hairaani se usey dekha aur soch me padh gyi !
" Pehle tum btao! Tumhari zindagi ki Sabse badi khwahish kya hai?" Imama ne jawab Dene ki bajayee ulta sawal kar diya a! !
"Phele mene pucha hai, tumhe pehle jawab Dena chahiye" javeria ne gardan hilaii!
Acha... Thik hai......... Mujhe aur sochne do!" Imama ne fauran haar mante hue kaha!
"Meri zindagi ki sabse badi khwahish?" Wo bad-badayii!" Ek khwahish toh ye hai ke meri zindagi bohot lambi ho!" Usne kaha
"Kyun?" Javeria hansi!
"Bas pachaas,saath saal ki zindgi mujhe bohot choti lagti hai....... Kam se Kam soo(100) saal toh Milne chahiye insaan ko duniya me....aur phir me itna sab kuch krna chahti hu............ Agar jaldi mar jaungi toh phir mer zindagi ki Saari khwaahishat adhuri reh jayengi!" Usne moongphali ( peanuts) khate hue kaha !
"Acha aur ............?" Javeria ne kaha
" Aur ye ke me mulk ki sabse badi doctor banna chahti h....... Sabse achi eye specialist! Me chahti hu jab Pakistan me eye surgery ki taareekh likhi Jaye toh mera naam top of list hoo" usne muskurate hue aasmaan ko dekha
"Acha aur agar tum doctor na ban saki toh....." Javeria ne kaha ." Aakhirkar ye merit or kismat ki baat hai
" Aisa mumkin hi nahi hai. Me itni mehnat kar rhi hu merit list par har Surat aaungi, phir mere walidain (parents)ke paas itna Paisa hai ke me agar yaha kisi medical College me na jaa saki toh wo mujhe kisi aur mulk bhejwa denge."
"Phir bhi agar Aisa ho ke tum doctor na ban sako toh.....?"
" Ho hi nahi sakta! Meri zindagi ki sabse badi khwahish hai me apne profesion ke liye sab kuch chod sakti hu. Ye meri khwaab hai aur khwaabo ko bhala kese choda aur bhula ja sakta hai! Impossible"! Imama ne pur azm me sar hilate hue apne hath pe rakhi moong phali ke daano ko muh me dala!
" Zindagi me kuch bhi na-mumkin nahi ho sakta..... Kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai, farz Karo ke tum doctor nahi ban paati toh? Phir tum kya krogi? Kese react krogi ?" Imama ab soch me parh gyi!
"Pehle toh me bohot roungi! Bohot hi zayda..... Kaafi din....... Aur phir me mar jaungi !
Javeria be-ikhtiyar hasi! "Aur abhi kuch der pehle toh tum keh Rahi thi ke tum lambi zindagi chahti hoo.....aur abhi tum keh rahi ho tum mar jaogi"
" Haa toh phir Zinda reh kar kya krungi! Saare plans hi mere medical ke hawale se hai.... Aur ye cheez zindagi se nikal gayi toh phir baaki rahega kya?"
"Yaani tumhari ek badi khwahish dusri badi khwahish ko khatam kar degi"
" Tum yehi samajh lo......"
"Toh phir iska matlab toh yehi hua ke tumhari sab se badi khwahish doctor banna hai, lambi zindagi paana nahi!"
" Tum keh sakti hoo...."
" Acha Agr tum doctor na ban saki toh phir marogi kese..... Khudkushi ya qudrati maut?" Javeria ne badi dilchaspi se pucha!
Qudrati maut hi marungi.... Khudkushi toh kar hi nahi sakti !" Imama ne laparwahi se kaha !
" Aur agar tumhe qudrati maut nhi aayi toh....... mera matlab hai jald na aa pai toh phir toh tum doctor na banne ke bawajood bhi lambi zindagi guzaarogi"
" Nahi mujhe pata hai ke agar me doctor na bani toh bohot jald mar jaungi! Mujhe itna dukh hoga ke me toh Zinda reh hi nahi sakungi " wo yakeen ke sath boli !
" Tum jis qadr khush mijaaz ho, me kabhi yakeen nahi kar sakti me tum kabhi itni dukhi ho sakti ho ke ro ro kar marjaogi wo bhi sirf is liye ke tum doctor nahi ban saki " very funny" javeria ne mazak udaane Wale andaaz me kaha !
" Tum ab meri baat chodo, tumhari zindagi ki sabse badi khwahish kya hai?"imama ne baat palat te hue kha!
"Rehne do....."
"Kyu rehne duu.... ? Btao naa??
" Tumhe bura lagega"! Javeria ne hich-kichate hue kha
Imama ne hairaani se palat kar usey dekha " Mujhe kyu bura lagega?"
Javeria khamosh Rahi !
"Aisi kya baat hai jo mujhe buri lagegi" imama ne apna sawal dohraya !
"Bohot lagegi!" Javeria ne maddham awaaz me kaha !
"Aakhir tumhari zindagi ki sabse badi khwahish ka meri zindagi se kya talluk hai ke mai is par bura man jaungi!" Imama ne is baar qadre uljhe hue andaaz me pucha"? Kahi tumhari ye khwaish toh nhi ke me doctor na bani" imama ko achanak yaad aaya !
Javeria has di! "nahi ....zindagi sirf ek doctor ban jaane se kahi zayda ehmiyat rakhti haii!" Usne kuch alag andaaz me bola !
" Paheliyaa bujhana chodo aur mujhe btao" imama ne kaha
"Me waada Karti hu! Me bura nahi manungi.! Imama ne apna hath uski taraf badhate hue kaha !
"Waade karne ke bawajud meri baat sunkar tum bura Maan jaogi! Isliye behtar hai hum kuch aur baat krein" javeria ne kaha
"Acha me andaaza lagati hu, tumhari is khwahish ka talluk mere liye kisi bohot ehem chiz se hai.......right?" imama ne kuch sochte hue kaha aur javeria ne Sar hilaya!
" Ab sawal ye paida hota hai ke mere liye konsi cheez itni ehem ho sakti hai ke me" wo ab baat karte karte ruk gayi
" Magar jab Tak me tumhari khwahish nahi jaan leti me kuch bhi andaaza nahi kar sakti ! Batao javeria...... Please....... Ab toh mujhe bohot hi zyada tajassus ho Raha hai!" Usne minnat ki !
Wo kuch der sochti rahi! Imama gaur se uska chehra dekhti rahi kuch der ki khamoshi ke baad javeria ne sir utha kar imama ko dekha !
"Mere profession ke alawa meri zindagi me filhaal Jin chizo ki ehmiyat hai wo sirf ek hi hai aur agr tum us ke hawale se kuch kehna chahti ho toh kaho me bura nahi manungi " imama ne sanjeedgi se kaha
Javeria ne heraan hoke usey dekha, wo apne hath me mojud ek anguthi ko dekh Rahi thi! Javeria muskurai!
" Meri zindagi ki sabse badi khwahish hai ke tum ........." Javeria ne usey apni khwahish batai! Imama ka chehra ek dum safaid padh Gaya ! Wo shocked thi ya hairat-zada...... Javeria andaaza nahi kar saki! Magar uske chehre ke taasiraat ye zarur bata rahe the ke javeria ke muh se nikalne wale jumle uske har andaaze ke bar-aks the!
"Mene tumse kaha tha na tum bura manogi!" Javeria ne jese safai pesh karne ki koshish ki par imama kuch kahe bagair usey dekhte rahi !
*****
{Save and share guys keep support Comment mistakes}
{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }
YOU ARE READING
PEER E KAMIL ( umera ahmed)
FanfictionA person who is never afraid of anything. He loves to play with his life. He thinks his life as experiments who loves to do suicide attempt and accidents to know the end. He has a Iq 150+ and is also known as dare devil. ~ salaar sikandar. He who is...