Moiz dard se chillata hua dohra ho gaya tha! Uske dono hath pet pe the ! uske saamne khade barah saal ke ladke ne apni phati hui t-shirt ki aastin se apni naak se behta hua khoon saaf kia aur hath m pakde hue tennis racquet ko puri quwwat se moiz ki taang par de mara! Moiz ke halak se ek baar phir cheekh nikli aur wo sidha ho gya! Be yakeeni se usne apne chote Bhai ko dekha jo ab bagair kisi lihaaz se usey racquet se pit raha tha Jo moiz kuch der pehle usey pitne aaya tha Is hafte me un dono ke darmiyaan hone wala teesra jhagda tha aur teeno baar jhagda shuru karne wala chota Bhai tha! Moiz aur uske talluqaat shuru se hi ache nahi the!
Unka jhagda bachpan se lekar ab se kuch pehle Tak zabaani kalami baato aur dhamkiyo tak hi hota tha magar ab kuch arse se dono maar pit karne Lage the !
Aaj bhi yehi hua tha wo dono school se sath wapas aaye the aur car se utarte hue chote Bhai ne badi durusti ke sath piche bonnet se apna bag nikala jab moiz nikal raha tha bag nikalte hue moiz ko buri tarah ragad aayi moiz buri tarah talmalaya!
"Tum andhe ho chuke ho"?
Wo bade itmenan se apna bag uthate hue be-niyazi se andar jaarha tha,moiz ke tan-badan me jese aag lag gayi, wo tez qadmo se uske piche jese andar chala aya
"Agar dubara tumne aisi harkat ki toh me tumhara hath Todh dunga" uske qareeb pahochte hue moiz ek baar phir dahaada! Usne bag kandhe se utar kar niche rakh diya aur dono hath kamar par rakh kar khada ho gya ! "Nikalunga..... Tum kya kroge?hath todoge?itni himmat hai?"
"Ye me tumhe us waqt btaunga jab tum ye harkat kroge!" Moiz apne kamre ki taraf badha!"
Magar uske bhai ne puri taqat se uska bag pakad ke usey rukne par majboor kardiya !
"Nahi tum mujhe abhi btao!" Usne moiz ka bag utha kar dur pheenk diya! Moiz ka chehra surkh ho gaya usne zameen par padha hua apne bhai ka bag utha kar dur uchaal diya ! Ek lamhe ke intezaar ke bagair uske bhai ne moiz ki taang par Puri taqat ke sath thokar maari! Jawaban moiz ne apne chote Bhai ke muh pe bht zor se mukka maara jo uski naak par laga! Agle hi lamhe uski naak se khoon nikalne laga! Itne shadid hamle ke baad bhi uske muh se koi aawaz nahi nikli thi! Usne moiz ki tie kheechte hue uska gala dabane ki koshish ki !! Moiz ne badle me uski shirt ko collar se khicha usey shirt me phatne ki awaaz aai ! Usne Puri quwwat se apne chote Bhai ke pet me mukka maara uske bhai ke hath se uski tie nikal aai!!
"Thehro me ab tumhe tumhara hath Todh ke dikhata hu" moiz ne usey gaaliyan dete hue lounge me padhe hue tennis racquet uthaya aur apne chote Bhai ko maarne ki koshish ki lekin agle hi lamhe racquet uske chote bhai ke hath me tha! Usne Puri quwwat se ghuma kar itni barq raftari me racquet ko ghuma kar moiz ke pet me maara ke wo sambhal ya khudko bacha bhi nahi saka usne yake baad deegare uski taang pe racquet barsa diya!
Andar se un dono ka bada bhai ghusse se lounge me aaya! "Kya takleef hai tum dono ki ..........gharme aate hi hungama shuru kardete ho.." uske aate hi chote bhai ne uthaya hua racquet niche kar liya "Aur tum.....tumhe sharam nhi aati apne se bade Bhai ko maarne me?" Uski Nazar ab uske hath me pakde racquet pe thi "Nahi aati..."usne bade dhattayi se kehte hue racquet ek taraf uchaal diya aur badi be-khaufi se apne bag ek hath se utha kr andar jaane laga moiz ne buland awaz me seediyan chadte hue chote bhai se kaha "tumhe iski keemat Ada karni padegi" wo abhi tk apni taange sehla raha tha
"Sure why not"
Ek ajeeb si muskurahat ke sath seediyon ke aakhir me usne moiz se kaha "abki baar tum bet leke aana....... Tennis racquet se kuch maza nahi
Ek ajeeb si muskurahat ke sath seediyon ke aakhir me usne moiz se kaha "abki baar tum bet leke aana....... Tennis racquet se kuch maza nahi aaya.......tumhari koi haddi nahi tuti" moiz ko ghussa aagaya"Tum apni naak sambhal lo yaqeenan Tut gayi hogi" Moiz ghusse me un seedhiyon ko dekhta raha jha kuch der pehle wo khada tha !!
{Save and share guys, ignore mistakes}
{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }
YOU ARE READING
PEER E KAMIL ( umera ahmed)
FanfictionA person who is never afraid of anything. He loves to play with his life. He thinks his life as experiments who loves to do suicide attempt and accidents to know the end. He has a Iq 150+ and is also known as dare devil. ~ salaar sikandar. He who is...