Asjad darwaza khol kar apni ammi ke kamre me dakhil hua
"Ammi aapse aik zaruri baat karni hai"
"Haa kaho....kya baat karni hai"
Asjad sofe pe baith gaya. "aap Hashim uncle ke Ghar nahi gayi?"
"Nahi kyu koi khaas baat hai"
"Haa imama is weekend par aai Hui hai"
"Acha.........aaj shaam ko chalenge..........tum gaye the waha?" Shakeela ne muskurate hue kaha
Haa, me gaya tha"
"Kaisi hai wo....is baar toh kaafi arse baad aayi hai" Shakeela ne muskurate hue kaha
"Haa, do mahine baad." ' shakeela ko asjad kuch uljha hua laga
"Koi masla hai?"
"Ammi mujhe imama pichle arse se kaafi Badli Badli lag rahi hai" usne aik gehra saans lete hue kaha
"Badli Badli..kya matlab"
"Matlab to Shayad main aapko nahin samjha Sakta bas uska rawaiyya mere sath kuchh Ajeeb sa hai" asjad ne kandhe uchakate hue kaha
Aaj to ek mamuli se baat par naraz hogayi, pahle Jaisi koi baat hi nahin Rahi us me.....me usey kuch samajh nahi paa raha usey hua kya hai "
"Tumhen waham Ho Gaya hoga asjad.....uska rawaii ya kyu badlega....... tum kuch zyada jazbaati hokar soch rahe ho" shakeela ne hairaani se use y dekha
Nahi ammi! Pehle me bhi yahi samajh raha tha ke shayad mujhe waham hoga lekin ab khaas karke aaj mujhe ye ehsasat waham nahi Lage wo bohot ukhre se andaaz me baat kar rhì thì mujhse"
"Tumhara kya khayal?... hai uska rawai ya kyu badal gaya... .." Shakeela ne purse table par rakhte hue kaha
"Ye toh mujhe nahi pata"
"Tumne pucha us se"
"Ek baar nahi kayi baar"
"Phir"
"Har baar wo bhi aapki tarah yehi kehti hai ke mujhe galat fehmi Hui hai" usne kandhe uchkate hue kaha! "Kabhi kehti hai Studies ki wajah se Aisa hua hai...... Kabhi kehti hai kì woh mature ho gai hai isliye....."
"Ye Aisi koi galat baat toh nahin hai, ho sakta hai waqai ye baat Ho" Shakeela ne kuch sochte hue kaha
"Ammi baat sanjeedgi ki nahi hai, mujhe lagta hai woh mujhse katrane Lagi" asjad ne kaha
"Tum fizool baatein kar rahe hoo asjad! Me nahi samajhti aisi koi baat hogi, waise bhi tum dono bachpan se ek dusre ko jaante ho,ek dusre ki aadat se wagif ho"
Shakeela ko bete ke khadshaat bilkul be mayene lage" Zahir hai Umar ke sath kuch tabdili yaan aa hi jaati hai, ab bache toh rahe nahi tum log.....tum mamuli mamuli baaton pe pareshaan hona chod do.........." Unhone bete ko smjhate hue kaha! "Wese bhi Hashim bhai agle saal uski shaadi kar dena chahte hai wo keh rahe the ke wo baad me hi apni taalim mukammal kar legi Kam se kam wo toh apne farz se faarig ho jae" Shakeela ne bataya
"Uncle ne aisa kaha"? Wo chaunk gaya
"Kayi baar kaha hai.....mera khayal hai wo log tayyariya bhi kar rahe hai" asjad ne ek itmenan bhara saans li ya
"Ho sakta hai imama isliye hi pareshan ho"
"Haa ho sakta hai Baherhaal ye hi sahi hai,agle saal shadi honi chahiye! Asjad ne kuch mutamain hote hue kaha ......
{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }
YOU ARE READING
PEER E KAMIL ( umera ahmed)
FanfictionA person who is never afraid of anything. He loves to play with his life. He thinks his life as experiments who loves to do suicide attempt and accidents to know the end. He has a Iq 150+ and is also known as dare devil. ~ salaar sikandar. He who is...