Wo Dono ladke stage pe ek dusre ke samne rostrum ke piche khade the Magar hall mein mojud students ki nazre hamesha ki tarah unme se ek pe thì, woh dono head boy ke intekhab ke liye confessing kar rahe the aur wo program bhi us hi ka hissa tha! Dono ke rostrum pe ek ek poster laga tha jinme se aik par vote for salar aur dusre par vote for faizan likha tha !!
Us wagt faizan headboy banne ke baad ke baad apni speech ka soch raha tha, jabke salar Puri sanjeedgi ke sath usey dekhne me masroof tha. faizan school ka sabse acha students tha aur apni speech ka soch raha tha, jabke salar Puri sanjeedgi ke sath usey dekhne me masroof tha. faizan school ka sabse acha students tha aur us waqt bhi wo apne khush khatabiyat ke Kamal dikhane me masroof tha aur us hi ki awaaz aur andaaz dono khaase mutasir kun the. hall me khamoshi thì aur ye khamoshi tabhi tuti thi jab faizan ke supporters uske kisi ache jumle par daad dena shuru hote hi hall ekdum taali yo se gunjh utha!
Aath ghante ke baad jab apne liye vote ki apeel karne ke baad Khamosh hua to hall mein agle kayi mint taali ya aur siti yaan bajti Rahi! Un taali yo me khud salar sikandar bhi Shamil tha. Faizan ne ek fatihana nazre hall par aur salar par daali aur usey taaliyan bajate dekh kar usne gardan ke halke ishaare se usey sar hilaya, salar sikandar aam insaan nahi tha, ye wo achi tarah jaanta tha!
Stage secretary ab salar ke liye investment kar raha tha, taali yo ki gunj me salar ne bolna shuru kar diya!
"Good morning friends". Wo thehra. "faizan akbar ek mukarar ke taur par yaqeenan school ka asasa hai, me ya dusra koi bhi unke mukabale kisi stage per khada nahi ho sakta wo ek lamha ke liye fir ruka usne faizan ke chehre ko dekha, jis par ek fakhari ya muskurahat ubhri thi magar salar ke baaki jumle ke baaki hisse ne agle lamhe uski muskurahat ko gayab kardiya! "Agr mamla sirf baatein banane ka ho toh" hall me halki si khilkhilahat ubhri, salar ke lehje ki sanjeedgi bekarar thi!
Magar ek head boy aur muqarrar mein kafi fark hai, mukarrar ko batein karni hoti hai aur head boy ko kaam. Dono ke darmiyaan talker aur doer ka fark hota hai aur great talkers are not great doers" hall taaliyon se gunj utha!
"Mere paas faizan Akbar Jaise khubsurat Lafz ki ravani nahin hai usne apni baat jaari rakhi "mere pass sirf Mera naam hai aur mera mutasir kun record aur mujhe confession ke liye lafzon ke koi dari ya nahin bahane mujhe sirf alfaz kehne hai" wo aik bar phir ruka "trust me and vote for me" usne shukri ya ada karte hue jis waqt Mike ko off Kiya us waqt hall tali yon se gunj raha tha I mint 40 seconds me wo isi nape tule aur calculated andaaz me bola tha jo us ka khasasa tha aurus hi dedh mint me faizaan ka khasasa kardiya tha !!
Us ibtadai tarruf ke dono main dono ummed waaro se sawal jawab ka. Silsila shuru hua tha, salar Sikandar itna hi sanjeeda tha, uska sabse Lamba jawab bhi 4 jumlon mein hota, jab ke Faizan ka sabse Mukhtarair jawab bhi !salar ke saamne faizan ki baatein zyda khas nahi lag nhì thi kisi ko aur uska ehsas khud faizan ko bhi ho raha tha jiz sawal ke jawab salar ek jumle ya lafz me m
Kehta uske liye aadatan faizaan ko lambi taqreer baandhi padhti thi! Salar ka Apni taqreer me us ke baare me Kiya hua tabseera wahan mojud students ko kuch aur sahi mehsus hota hai ek mukarrar sirf baatein achi karta hai!
"Salar sikandar ko head boy kyu hona chahiye" sawal hua
Kyunki aap behtarin shaks ka intekhab chahte hai" jawab aaya
"Kya ye jumala Self-congratulatory hai" jawab par aitraz kiya gaya
Nahi ye jumla Introspection hai" aitraz ko radd kardiya Gaya
"Self-congratulatory aur Introspection me kya fark hai" aik baar phir chubte hue lehje me pucha Gaya "Wahi jo faizan Akbar aur salar sikandar me hai" sanjeedgi se kaha gaya
Agr aapko head boy nahin banaya Gaya to aapko kya fark padega"?
" Fark mujhe nahi aapko padega"
"Kaise"?
Agar behtareen aadami ko mulk ka leader na banaya jaye toh qoum ko fark padhta hai us behtar aadmi ko nahi"
"Aap apne aap ko behtarin aadami keh rahe hain" aik baar phir aitraaz kiya gaya
Kya is hall mein koi aisa hai jo apne aap ko Bura aadami ke sath aquate kare"?
"Ho sakta hai hoo"
"Phir me usse Milana chahunga" hall me hasi ki awaze ubhri
Head boy banne ke baad jo tabdili yaan la yega uske baare me batae"
"Tabdili batai nahi dikhai jaati hai aur ye kaam me head boy banne se pehle nahi kar sakta
Kuch aur sawal kiye gaye phir phir stage ke secretary ne haazrin me se ek aakhri sawal liya, wo ek shrilankan ladka tha jo ek shararti andaaz me muskurate hue khada hua
"Agr aap mere aik sawal ka jawab de toh me aur mera pura group aapko Vote dega
Salar muskuraya "jawab Dene se pahle me Janna chahunga ke aapke group me kitne log hai" usne pucha
"6" usne kaha
"Okk, sawal karein" salar ne haami.me sar hilaya
"Aapko kuchh hisab kitab karte hue mujhe ye batana hoga ke agr hum 267895 me 952852 ko jama karein aur phir usme se 399999 minus Kiya Jaye aur 929292 add Kara Jaye use y......... Wo shrilankan ladke theher thehr ke pags pe likha hua ek sawal puch raha tha six se multiply aur two se divide kiya jaaye final figure mein 492359 joda jaaye, toh uska uska one-fourth kya hoga? Ladka mushkil se apne lafzon ko page mein dekhte hue bol raha tha lekin salar ka bijali ki raftar se jawab aaya "2035618.2"
Ladke ne Apne hath mein pakde hue paper par najar Dalai aur be yakini se salar Ko dekha aur tali yan bajane Laga, faizan akbar is waqt khud ko ek actor mehsus kar raha tha, hall taali yo se gunj utha, Faizan Akbar is sare program Ko sirf ek majak samajh raha tha, ek ghante baad salar se stage se aage utarte hue faizan ko pata chal gaya tha ke usne mukabla shuru hone se pehli hì haar maanli thì, usne kabhi bhi 150IQ level Wale salar se kabhi itni hasad mehsus nahi ki thi jitni ke ab!
{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }
YOU ARE READING
PEER E KAMIL ( umera ahmed)
FanfictionA person who is never afraid of anything. He loves to play with his life. He thinks his life as experiments who loves to do suicide attempt and accidents to know the end. He has a Iq 150+ and is also known as dare devil. ~ salaar sikandar. He who is...