* CHAPTER 12 *

204 0 0
                                    

Golf club mein inam ki takreer jari thi. 16 saal ka salal Sikandar under-sixteen ki category me first number Par tha. Usman Sikandar ne Salar sikandar ka naam pukare jaane par tali yan bajate hue us trophy cabinet ke bare mein socha. Jismein unhen is sal kuchh Mazeed karvani padengi. Salar ko milane wali shields aur trophy ki tadad is saal bhi pichle saalo jesi thi. Unke tamam bacche hi padhai me bahut acche the. Magar salar sikandar baki se bohot mukhtalif tha, trophies, sheilds aur certificate ke mamle me wo Sikandar Usman ke baki baccho me bohot mukhtalif tha. 150 IQ level ke haamil ya bacche ka mukabla un kisi ke liye Mumkin nahin tha!

Fakhriya Andaaz se tali yan bajate hue Sikandar Usman ne right side baithi Hui apni biwi se halke se kaha "golf me iski Tehrwi aur is saal ki chauthi trophy hai"

"Har cheez ka hisab rakhte ho tum" unki biwi ne muskurate hue Kadre shaistgi se apne shohar se kha kisi nazre apne bete pe thi jo trophy lene me masruf tha.

"Sirf golf aur kyun, woh Tum acchi tarah se janti ho sikandar Usman ne apni biwi ko dekha jiski nazre salar ko stage ki taraf jate hue dekhne me masroof thi.

"I bet ke ye is waqt is muqabla me shirkat karne Wale professional khiladi yon ke saath khel raha hota to bhi is waqt iske hath mein yehi trophy hoti"! Sikandar Usman ne dur se baithe fakhriya Andaaz mein Apne bete ko dekhte hue da' wa Kiya. Salar ab apni seat per baithe side wale seat per baithe logon jinhen inam Mila hai unse hath milane mein masroof tha. Unki biwi ko sikandar Usman ke da' we par koi hairani nahi Hui kyunki wo jaanti thì ke salar ke mamle me ye aik baap ka jazbati jumla nahi hai. Wo wagai itna gair mamuli tha !!

Usey do hafte pehle apne bhai zubair ke sath isi golf course par athara hole par khela jaane wala golf ka match yaad aaya. rough Me ittefaqan gir jane wali ball ko wo jis safai aur maharat ke sath wapas grain par laya tha us hi din usne zubair ko hairaan kardiya tha wo pehli baar salar ke sath golf khel raha tha. "Mujhe yakeen nahi aaraha" athara hole ke khatime tak kisi ko bhi ye yaad nahi tha ke usne ye Jumla kitni baar bola tha!!

Rough se khele jaane wali us shot ne agar usey hairaan Kiya tha toh salar sikandar ke putters ne use y dum bakhud kar diya tha.gend ko hole me jate dekh kar usne club ke sahare khade khade sirf gardan mod kar aankhon hi aankhon me salar sikandar aur us hole ke darmi yaan mojud faasle ko naapa tha aur jese be yakeeni se salar ko dekha !!

"Aaj salar sahib acha nahi khel rahe" zubair ne mudkar be yaqeeni se apne piche khade kd ko dekha jo salar ko dekhe kuch badbada rahe the

"Abhi ye acha nahi khel raha?" Zubair ne club ke Id ko dekha!!

"Han Sahi warna ball kabhi roigh me nahi jaati kd ne bade mamul ke andaaz me unhe bataya. Aap aaj yaha pehli baar khel rhe hai aur salar sahab pichle saat saal se yaha khel rahe hai mein isliye ye keh raha hu

Kd ne unse kaha aur zubair ne apne baheen ko dekha jo fakhari ya andaaz me apni bahen ko dekh ke muskura rahi thi.

"Agli baar mein Puri taiyari ke sath aaunga aur agali bar Khel ki jagah ka intekhaab me karunga zubair ne kuch khafat ke aalam me apne bhen ki taraf salar ko jaate hue dekha!

"Any time any place" unhone salar ki taraf se apne bhai ko pur aitmaad Andaaz me challenge karte hue kaha!

Me is weekend par tumhe TA aur DA ke sath Karachi bulwana chahta hu.

"Unhone salar ke qareeb pahoch kar halke phulke andaaz me kaha aur muskuraya

"Kis liye"?

"Mere behalf par tumhe Karachi. Chamber of commerce ke sadar ke sath ek match khelna hai mein is baar elections me is se Hara hu, mgr wo kisi se golf ka match haar gaya toh usey heart attack ho jaega aur woh bhi ek bacche ke hathon so let's settle the scores" wo apne bhai ki baat per Hansi thi, magar salar ke Mathe per Chand Bal aaye the!!

"Bacha"?? Usne unke jumle mein maujud Wahid qabile aitraz lafz par zor dete hue usey dohraya

Mera khayal hai uncle, mujhe aapke sath athara holes ka ek aur games karna padhega"

{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }

PEER E KAMIL ( umera ahmed)Where stories live. Discover now