* CHAPTER 4 *

314 7 0
                                    

Waseem ne tisri baar darwaze pe dastak di,is baar kamre se imama ki awaaz aai!

"Kaun hai"?

"imama! Mai hu......darwaza kholo" Waseem ne darwaze pe se hath hatate hue kaha, andar khamoshi thi

Kuch der baad darwaze ka lock khulne ki awaaz sunai di, Waseem ne darwaze ka handle ghuma kar darwaza khol diya

Kuch der baad darwaze ka lock khulne ki awaaz sunai di, Waseem ne darwaze ka handle ghuma kar darwaza khol diya, imama uski taraf kamar krke apne bed pe leti hui thi

"Tumhe is waqt kya kaam aan pada mujhe se"?

"Aakhir tumne itni jaldi darwaza kyu band kr liya, abhi toh bs das baje hai......" Waseem ne kamre me aate hue bola!

"Bas nind aarhi thi mujhe" wo uthkar baith gayi, Waseem uska chehra dekh kar chonk Gaya!

"Tum roo Rahi thi"? Wo be ikhteyaar bola! Imama ki aankhe surkh aur suji Hui thi aur wo us se nazre jamane ki koshish kar rahi thi !

"Nahi roo nahi rahi thi bs sir me dard ho rha tha" imama ne muskurane ki koshish ki !

Waseem ne uska hath pakad kar uska temperature check karne ki koshish ki

"Kahi bukhar toh nahi hai" usne kuch tashwish bhare andaaz me kaha aur hath chod diya "nahi bukhar toh nahi hai....."phir tum koi tablet le leti"

"Me le chuki hu"

"Acha tum soo jao........me baatein karne aaya tha magar ab is halat me kya baatein karunga tumse" Waseem ne qadam bahar ki taraf badhate hue kaha, imama ne usey rokne ki koshish nahi ki,wo khud bhi uthkar uske piche gayi aur Waseem ke bahir nikalte hi darwaza lock kar liya! Bed par aundhe muh let kar usne takiye me muh chupa liya, wo ek baar phir hichkiyo ke sath roo rahi thi..

{Save, share n add in ur library Comment mistakes }
{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }

PEER E KAMIL ( umera ahmed)Where stories live. Discover now