* CHAPTER 10 *

239 2 0
                                    

Wo dono ek baar phir khamosh the, asjad ko
uljhan hone lagi! Imama itne kam bolne wali nahi thì jitni wo ho gayi thi! Pichle aadhe ghante me usne ginti ke lafz bole the! Wo usey bachpan se janta tha, wo bohot khush mijaaz thi! Un dono ki engagement ke baad bhi pichle saalo me koi change nahi aaya tha! Asjad ko usse baat karke Khushi mehsus hoti thì, wo Bala ki haazir jawab thi, magar pichle kuch saalo me wo ekdum badal gayi thì aur medical College me jaake toh ye aur bhi zayda badal gayi thì! Kabhi kabhi toh asjad ko aisa lagta ke us se baat krte hue imama kaafi mohtat rehti hai kabhi wo uljhi Hui si rehti toh kabhi uske lehje me sard mehri rehti! Usey lagta wo jald se jald us se chutkara paa ke pass se uth Jana chahti hai!

Is waqt bhi wo aisa hi mehsus kar raha tha

"Kabhi kabhi mujhe lagta hai me kha ma kha yha aata hu..... tumhe toh is se koi fark hi nahi padhta hoga me aau ya na aau" asjad ne ek gehra saans le kar kaha! Wo uske pass lounge chair pe baithi hui dur boundary wall par chadi Hui bail ko dekh rahi thi! Asjad ki baat sunkar usne Bina gardan hilae apni nazre asjad par karli! Asjad ne sawaliya nazro se usey dekha uska kuch na kehne pe asjad ne lafz badal kar wohi baat dubara kahi!!

"Tumhe mere na aane se koi fark nahi padega imama........kyu theek keh raha hu mai"

"Ab me kya keh sakti hu is par"?

"Tum Kam se kam mana hi kar sakti ho.. meri baat ko jhutla sakti ho ke aisi baat nahi hai mein galat soch raha hu aur...."

"Nahi aisi baat nahi hai.. aap galat soch rahe ho" imama ne uski baat kaat kar kaha.uska lehja aaj bhi itna hi thanda aur chehra utna hi be tasir jitna pehle tha! Asjad ek thandi saans le kar reh gaya!

"Haa meri dua aur khwahish toh yehi hai ke Aisa nahi ho aur wagai me galat soch raha hu par tumse baat karte hue me har baar hi Aisa mehsus karta hu"

"Kis baat se aap aisa mehsus karte hai"? Is baar asjad ko pehli baar uske lehje me thodi narazgi dikhai di"

"Kisi bhi baat se! Tum meri kisi baat ka dhang se jawab nahi deti"

"Haalanke me aapki har baat ka jawab dhang se Dene ki puri koshish karti hu......lekin ab agar aapko mere jawab pasand na aae toh me kya kar sakti hu"

Asjad ko is baar wo baat krte hue thodi aur khafa mehsus hui

"Mene kab kaha mujhe tumhare jawab pasand nahi aaye..... Mein toh bas ye keh raha hu Ke meri har baat ke jawab me tumhare pass........haa aur nahi kr alwa kuch nahi hota! Baaz dafa toh mujhe lagta hai me apne aap se baat kar raha hu"

"Agar aap mujhse ye puchunge ke tum thik hoo? Toh mein iska jawab haa aur nahi me hi dungi! Agar is ka jawab ha ya nah ki jagah kisi taqdeer me diya ja sakta hai toh aap mujhe bata do me wo kar dungi" wo bilkul sanjeeda thi

"Mein aapka kya haal puchu? Zahir hai agar aap mere ghar aae hai mujhe yaha baithe baat kar rahe hai toh aap theek hi honge Warna aap is waqt apne ghar par bistar par hote"

"Ye formality hoti hai imama"

"Aree aap jante nahi! Me formalities pe yakeen nahi rakhti aap bhi mujhse mera haal na pucha kare, mein bilkul mind nahi krungi"! Asjad laa jawab ho gaya

"Theek hai formalities ko chodo, Banda koi or baat hi kar leta hai, kuch discuss kar leta hai, apni masrufiyat ke baare me hi kuch bata deta hai"

"Asjad! Me aapse kya discuss karu......... aap business karte hai, me medical student hu..... Aap se me kya puchu, stalk market ki position? trend bullish tha ya bearish index me kitne point ka izafa hua? Ya agli consignment kaha bhej rahe hai? Is baar government ne aapko kitni rebit di"? Uska lehja ab bhi sard tha

ya aapse anatomy disscus Karu? Ya bypass surgery me is saal konsi takneek use Hui hai, heartbeat tez karne ke liye kitne bolt ka electric shock di ya Jaa sakta hai? Toh hum dono ki masrufiyat toh ye hai ab in se hum ek dusre me mohabbat ya be takallufi kese laa sakte hai ye meri samajh se bahir hai"

"Asjad ka chehra surkh ho gaya,ab wo us lamhe ko koss Raha tha jab usne imama se shikayat ki thì"

"Aur bhi toh masrufiyat hoti hai insan ki" asjad ne Kadre Kamzor lehje me kaha

"Nahi padhai ke alwa toh meri koi masrufiyat nahi hai imama ne naa me sar hilate hue kaha!

"Phele bhi toh hum dono aapas me bohot si baatein karte the" imama ne uski baat kaat di

"Pehle ki baat chodein ab me wagt zaya karna afford nahi kar sakti, hairat mujhe aap par ho rahi hai, aap businessman hokar itni immature aur emotional baatein sochte hai, aapko toh khud bohot practical hona chahiye"

Asjad kuch bol na saka

"Hum dono ke darmiyaan jo rishta hai hum dono jaante hai! Aur ab agr aap meri practical approach ko be niyazi, narazgi samjhti hai toh me kya kar sakti hu! Me aapke sath yaha baithi hu toh iska matlab yehi hai ke me is rishte ko ehmiyat deti hu warna koi ajnabi toh mere sath yaha baith kar chai nahi pìi sakta" wo ek lamhe ke liye ruki "aur jaha tak is baat ka talluk is baar se hai ke aapka yaha aane ya na aane se mujhe koi fark padega ya nahi! Haqeeqat ye hai ke hum dono hi masruf rehte hai! Hum modern age ke hai na me koi herion hu na aap raanjhe ke kabile se talluk rakhte hai ke mere liye ghanto ye faraiza anjaam de! Sach ye hai ke fark waqai nahi padhta hum mile ya na mile, baatein kare ya nah karein! Hamara rishta wahi rahega jo ab hai ya aapko lagta hai isme koi tabdili aayegi?

Agar asjad ke mathe pe pasina nahi aaya tha toh iski sirf wajah December ka mahina tha un dono ki umar me 8saal ka fark tha magar asjad ko pehli baar ye fark 18 saal ka lag raha tha! Wo usey khudse 18 saal badi lagi thi! Do hafte pehle wo 19 saal ki hui thì magar is waqt asjad ko lag raha tha jese wo Teenage se sidha budhi ya ho gayi thì aur khud wo ek baar phir teenage me chala gaya tha! Wo uske saamne tang pe tang rakhe asjad ke chehra ko dekh rahi thì !be taasir andaaz me uske jawab ka intezar kar rahi thi! Asjad ne uske haath me engagement ring dekha aur phir khankhaar kar apna gala saaf karne ki koshish ki

"Tum bilkul theek keh rahi ho! Me sirf isliye discussion ki baat kar raha tha taake hamare bich me misunderstanding develope ho sake"

"Asjad! Me aapko bohot achi tarah samajhti aur jaanti hu aur ye jaankar mujhe bohot afsos hua ke aap samajhte hai ke hamare darmiyaan abhi bhi kisi understanding ko develope karne ki zarurat hai! Mera khayal tha hamre bich me achi khasi understanding hai"

"Wo asjad ka din nahi tha, usne aitraaf kiya"

"Aur agar aapka ye khayal hai ke anatomy aur business ka discuss karke hum koi understanding develope karlenge toh theek hai, ainda hum yehi disscus karliya karenge" imama ke lehje se laparwahi zaahir hui

"Tumhe meri baat buri lagi"?

"Bilkul bhi nahi...... Me kyu bura manungi"? Uske lehje ki hairat ne asjad ko aur sharminda kara

"Shayad mene ghalat baat ki hai' shayad nahi yaqeenan" usne teeno lafzo par baari baari zor dete hue kaha

"Tum jaanti ho mere nazdeek kitni ehmiyat ka haamil hai, mere bohot se khwaab hai, tumhare hawale se asjad ne ek gehra saans lekar kaha Imama be taasir chehre ke saath us hi bel ko dekh rahi thì

"Shayad isliye kyuki me zarurat se zayda sochta hu, mujhe is rishte ke hawale se koi khauf nahi hai, me janta hu ye rishta hum dono ki marzi se hua hai"

WO uske chehra par nazar jamae bade serious hoke keh raha tha aur ekdum hi usey ek baar phir usey ye ehsas hone laga ke Jese imama waha mojud nahi hai, uski baat nahi sun rahi thi, asjad ko laga wo ek baar phir khudse baatein kar raha hai

{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }

PEER E KAMIL ( umera ahmed)Where stories live. Discover now