* CHAPTER 7 *

289 5 2
                                    

Salma ne apni beti ke hatho me gift papper me lipte hue packet ko hairaani se dekha!

" Ye kya hai imama"? Tum toh market gayi thi shayad tumhe kitaabe Leni thi"??

" Haa ammi mujhe kitaabe hi Leni thi! Magar kisi ko tohfe me Dene ke liye"!

"Kis ko tohfa dena hai"?

"Wo lahor me ek dost hai meri uski saalgirah Hai wo usi ke liye kharida hai courier service ke zariye bhijwa dungi kyuki mujhe toh abhi yaha rehna hai" " Lao phir mujhe de do ye packet, me

Waseem ko dungi, wo bhijwa dega!"

"Nahi ammi! Me abhi nahi bhijwaungi..... Abhi uski saalgirah ki tareekh nahi aayi!"

Salma ko laga wo ekdum ghabra gayi ho! Wo hairaan Hui, kya ye ghabrane wali baat thi?

Teen saal pehle imama ki wajah se unhe bohot saari pareshaniyo ka samna karna padha tha! Unhe aur unke shohar Hashim ko! Wo tab apni beti ke baare me bohot fikarmand thi aur Hashim unse zayda magar pichle teen saal me sab theek ho gaya tha ! Wo dono ab uski taraf se mukammal taur par mutamain the! Khaas taur par asjad se uska rishta teh karke ! Wo janti thi imama asjad ko pasand Karti hai aur wohi nahi asjad ko koi bhi pasand kar sakta hai! Wo har lihaaz se ek acha ladka tha.....wo ye bhi jaanti thi ke asjad se uska rishta teh hone pe wo bohot khush thi! Asjad aur uske darmiyaan bhi khasi dosti aur be takallufi thi aur baaz dafa unhe aisa lagta wo waqt guzarne ke sath sath chup si hoti ja rhi thi ! Magar ab wo school jaati bachi nahi rahi thi...wo medical college ki student hai! Phir waqt bhi kaha hota hai uske paas! Salma khudko tasalli de deti!

Wo unki sabse choti beti thi, badi dono betiyon ki wo shadiyaan kar chuki thi ek bete ki bhi shaadi kar chuki thi jabke do bete aur imama gair shaadi shuda the!

Acha hi hai ke ye sanjeeda hoti Jaa rahi hai! Ladkiyo ke liye sanjeedgi achi hoti hai, unhe jitni jaldi apni zimmedariyon ka ehsas ho jae behtar hai! Salma ne ek gehra saans lete hue apni nazre imama se hatai! Wo chuttiyo me yaha rehne aai thi aur wo jitne din yaha rehti unki nazre us hi par rehti !!
Pata nahi ye Sajid kaha reh gaya jo kaam usey do wo bhul hi jata hai ! Unhe achanak apne mulazim ka khayal aaya! Jiske piche wo lounge me aai thi! Badbadate hue wo lounge se nikal gayi!!

{Save, share n add in ur library} (Ignore mistakes)
{ Next part guys jaldi upload ho jayega please vote kare jisse mujhe motivation mile aur mai daily chapters upload karti rahu }

PEER E KAMIL ( umera ahmed)Where stories live. Discover now