Chapter - 2

673 60 15
                                    

Ghar pahuchne ke baad Avian aur Avish dono door ke bahar khare hote hai.

Avish - Bhai door bell baja na.

Avian - Na baba iss baar main nahi karne wala humesha se main hi phasta aaya hu aaj tu kar.

Avish - Bhai ek kaam karte dono saath mein karte hai.

Avian - Haa thik hai lekin door aage khada tu hi rahega.

Avish - Ok

Avish aur Avian door bell bajate hai aur door jaise hi khulne ki awaaz aati hai dono aankhein band kar ke uthak baithak karne lagte hai aur kehte hai maa aaj bas chhod dijiye uske baad dobara hum kabhi late ghar nahi aayenge. Avian aur Avish dono ko hasne ki awaaz aati hai to wo dono apne aankhein khol kar dekhte hai to door ke saamne un dono ke Maa ke jagah unke uncle Mayank khade the aur wo jor jor se hass rahe the.

Avish and Avian - Uncle isme hasne ki kya baat hai.

Mayank - Kya karu aisa nazara roz dekhne ko thodi milta hai ki mere dono sher bhigi billi Bane ho.

Avish - That's not funny uncle aur side hatyie hume ander jana hai.

Mayank - Are tum donon ne mujhe thanks tak nahi bola. Bhalai ka to zamana hi nahi hai.

Avian - Kis baat ke liye hum aapko thanks bole.

Mayank - Tumhare Maa ka call aaya tha jab tum log call nhi utha rahe the. Wo to bahut gussa tha aaj to tum dono ka whatt lagane wala tha. Lekin maine sab manage kar liya. Lekin ab lagta hai mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Main jaa raha hu Ishu ko bolne ki tum dono abhi kaha se aa rahe ho.

Avish - Are mere pyaare uncle aap to sabse best ho. Aap hamare life savior ho.

Avian - Haa uncle bhai sahi keh raha hai aap na hote to hamara kya hota hume maa se kon bachata.

Mayank - Are bas bas itna makhan mat lagao main Ishu ko kuchh nahi bolunga aur jaldi se ander aao bahar rehne ka hi irada hai kya.

Avish - Aap hi to kabse samne khare hai hum ander kaise jaate.

Avian - Chaliye ab hatyie hume jana hai.

Mayank - Accha bacchu kaam nikal gaya to tum kon main kon.

Tino ghar ke ander jaate hai jaha Ishu dinner laga raha hota hai table par.

Ishu - Jao jaldi se tum log fresh ho jao.

Wo dono chale jaate hai fresh hone. Fresh hone ke baad wo log niche jaa hi rahe hote hai ki wo log Ishu aur Mayank ko baat karte hue sunte hai.
Wo dono chhup kar baat ko sunane lagte hai.

Mayank - Ishu tum kab tak apni life yu aise hi akele bitaaoge tumhe move on kar lena chahiye. Ab to bacche bhi bade ho gaye hai aur tumhari Umar hi kya hai abhi tumhari aadhi zindagi bacchi hui hai abhi.

Ishu - Main janta hu aap meri care karte hai bhaiya lekin main move nahi kar sakta mujhse nahi hoga. Main uske yaadon ke sahare jee lunga (Ishu ke aankhon mein aansu aa jate hai lekin wo jaldi se pochh leta hai) aur waise bhi main akela kaha hu mere dono bacche to mere saath hai na.

Mayank - Itne saal ho gaye lekin tum ab bhi waise hi ho ekdum jiddi.

Ishu - Accha ye saari baatein chhoriye ab main baccho dekh kar aata hu ki unhe itna time kyu lag raha hai.

Ishu jaise chair se uth ta hi waise hi dono bhai waha aa jate hai.

Ishu - beta itna der kyu lag gaya tum dono ko aane mein.

Avish - Maa kucch nahi bas hum college ke bare mein kuchh discuss karne lage the.

Ishu - College ki baatein baad mein discuss kar lena ab aa jao khana kha lo. Maine aaj tum dono ki pasandida rajma chawal banaya hu.

Avian aur Avish dono baith jaate hai dinner karne lekin unke dimag mein sirf unke maa ke aankhon mein aansu baar baar yaad aa raha tha. Dono dinner karne ke baad apne room mein chale jaate hai.

In Avish and Avian room -

Avish - Bhai humne Maa ke baare mein to kabhi socha hi nahi. Wo kaise akele rahenge.

Avian - Baat to tu sahi keh raha hai bhai sabko apne life mein partner ki jarurat hoti hai. Aur maa ne to akele hi hum dono ko itna bada kiya hai wo bhi itne young age mein.

Avish - Bhale hi maa ne humse jo bhi kaha ho dad ke baare mein lekin main unhe kabhi maaf nahi karunga. Main unse bahut nafrat karta hu.

Avian - Nafrat to main bhi bahut karta hu lekin mujhe ek baat samajh nahi aati ki Maa unka side itna kyu lete hai jabki unhone maa ko akela chhod diya phir bhi Maa hume unki respect karne ko shikhaya hai bachpan se.

Avish - Maa to hai hi bhole humne to aaj tak apne dad ko bhi kabhi nahi dekha agar mujhe pata hota na wo kon hai main unki jaan le leta. Unki wajah se humne Maa ko kitna baar rote hue dekha hai.

Avian - Chal dad baat chhod ab hume ye sochna hai ki hum Maa ko dusri shadi ke liye manaye.

Avish - lekin pehle hume ladka to dhoondhna hoga accha sa. Jo maa ko pyaar kare.

Avian - Ye bhi baat sahi hai. Chhod ab hum kal ye saari baatein discuss karenge nahi to maa ko pata chal gaya ki hum dono abhi tak soye nahi uske baad to Mayank uncle bhi hume bacha nahi payenge.

Dono so jaate hai sochte sochte apne maa ke baare mein.

Dusri taraf Shubhman abhi se milne hospital jata hai.

Shubh - Bhai teri tabiyat ab kaisa hai.

Abhi - Main ab pehle se behtar hu aur haa bhai sorry main bhabhi ka pata phir se nahi laga paya.

Shubh - Tu tension na le tu pehle thik ho ja uske baad sochenge karna kya hai. Aur sorry mat bola kar.

Abhi - Main janta hu maine phir tujhe niraas kar diya. Lekin agar wo attack mujh par nahi karta to shayad main pata laga leta bhabhi ka.

Shubh - Maine jab intezaar kiya hai to thoda aur sahi. Aur tune mujhe kabhi niras nahi kiya hai. Tu to mera bhai hai. Aise baatein dobara na karna.

Lekin ander se Shubhman ka dil tut raha tha kyunki ek baar phir wo haar gaya. Wo apne jaan ka pata phir nahi laga paya. Shubhman hospital se bahar nikal jata hai aur sidha apne purane ghar chala jata hai.











Hey guys that's it for today.
Agar meri stories pasand aaye to please vote kar dijiyega.

Please comment me guys mujhe appreciation milega.

Bye




My Professor Dad Where stories live. Discover now