Chapter - 11

469 40 15
                                    

Ishu jab apne cafe mein kaam kar raha hota hai tabhi pichhe se koi usko awaaz deta hai. Ishu pichhe mur kar dekhta hai to waha Rachin khara tha.

Ishu - Rachin tum yaha kaise.

Rachin - Kya ab main tumse milne bhi nahi aa sakta.

Ishu - Aisa koi baat nahi hai tum jab chaho tab sakte ho mujhse milne ke liye.

Ishu usko Rachin ko baithne ke liye kehta hai aur apne aur uske liye coffee lene chala jata hai. Ishu coffee lekar aata hai aur usko de deta hai. Ishu bhi baith jata hai.

Ishu - Main tumse phir se maafi mangta hu Rachin apne baccho ki taraf se. Wo unhe kuchh misunderstanding ho gaya tha.

Rachin - Are koi baat nahi Ishu. Bacche se hi to galatiya hoti hai. Waise dono kaafi bade ho gaye hai. Jab wo dono chhote the tabhi maine unhe dekha tha.

Ishu - Haa bade to ho gaye hai lekin harkate bilkul bacchon jaisi hai.

Rachin Ishu ke baat par hasne lagta hai. Ishu usse puchhta hai

Ishu - Rachin tum achanak se kaha chale gye the bina bataye aur ab itne saalo baad ab mil rahe ho mujhse.

Rachin (in mind) - Tumhe kya batau Ishu ki main tumhare wajah se chala gya tha ye sochkar ki main tumhe bhoola dunga lekin aisa bilkul bhi nahi hua.

Ishu - Kaha kho gaye ho.

Rachin - Kahi nahi. Tumhare bacche ab kya karte hai.

Ishu - Mere dono bete to abhi first year mein hai lekin un dono ne khud ka business bhi khola hai jo kaafi develop ho gaya hai.

Rachin - Oo that's great Ishu tumhare bacche to bahut talented hai.

Ishu - Haa wo to hai hi. Are baato baato mein to maine tumse puchha hi nahi ki tum kuchh loge ki nahi.

Rachin - Koi baat nahi Ishu. Main to yaha bas tumse milne aaya tha.

Ishu aur Rachin baat kar rahe hote hai tabhi cafe mein customers aane lagte hai isliye Ishu un logo ko attend karne ke liye chala jata hai. Lekin Rachin ko to Ishu ke saath time spend karna tha isliye wo Ishu se puchhta hai ki kya wo bhi uski madad kare.

Ishu - Rachin tum kyu karoge main hu na main sab kar lunga.

Rachin - Ishu please karne do na. Nahi to main akela bore ho jaunga.

Ishu - Thik hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
In college

Shubh college mein principal se sab kuchh discuss kar raha hota hai. Principal usko class ka schedule de deta hai. Shubh principal ko uske baare mein kuchh bhi batane se mana kar deta hai. Kyuki shubh ko abhi tak pata nahi chala hai ki kon usko aur Ishu ko alag karna chahta hai. Isliye shubh koi bhi risk nahi lena chahta hai.

Dusri taraf hamare dono nawabzade college der se pahuche hai. Aur wo dono class ke liye jaa hi rahe hote hai tabhi koi unse takda jata hai. Jiske wajah se dono niche gir jate hai. Dono ko bahut gussa aa raha tha kyunki pehle to wo log late ho chuke hai class ke liye upar se pata nahi kis se dhakka lag gaya hai dono ko.

Avish - Abe o tujhe dikhta nahi hai kya. Aankhein hai ya button hai.

Avian - Sorry to bol de kam se kam. Ki wo bhi tujhse bola nahi jaa raha hai.

Avish (whispers) - Avian ye behra hai kya ye. Kuchh bol kyu nahi raha hai.

Avian (wishpers) - Chhod na isse waise bhi hume late ho raha hai. Pehle to principal office bhi to jana hai.

Phir wo dono waha se chala jata hai lekin wo person abhi bhi wahi khara tha.

Shubhman's POV

Main principal office se nikal kar apne class ke taraf jaa hi raha tha tabhi kisi ke dhakke ke karan main kisi aur se takda jata hu. Mere takdane ke wajah se dono gir gaye the. Main unhe uthane hi wala tha tabhi maine un dono ka chehra dekha aur shocked reh gaya kyuki wo dono person koi aur nahi uske bete hi the. Apne bachhon ko main dekhne mein itna busy ho gaya tha ki unhone jo bhi bola maine kuchh suna hi nahi. Main apne thought se bahar nikal kar unse sorry bolne hi wala tha ki tab tak wo dono waha se chale gaye the. Isliye main bhi class ke taraf chala gaya. Class mein jab main ander gaya sab log mujhe ghur ghur kar dekh rahe the. Kayi ladkiyan mere looks ko lekar discuss kar rahi thi jisse mujhe kuchh ghanta fark padta nahi hai. Main to bas apne baccho ko puri class mein dhoond raha tha.

Boy 1 - Sir aap kisi ko dhoond rahe hai kya.

Shubh - Nahi

Shubh - Hii, I am Shubh Singh your new professor.

Phir maine class ko start kar diya ye sochkar ki thodi der baad wo aa jayenge. Kuchh der baad jab padha raha tha tabhi koi class mein aa kar baith jata hai aur jab main mur kar dekhta hu to mere bete the. Inke ander bilkul bhi manners nhi hai. Main yaha padha raha hu aur bina puchhe ye dono class ke ander aa gaye. Shubh un dono ke pass jata hai

Shubh - Tum dono ne mujhse permission kyu nahi li ander aane ke liye.

Avish - Wo hume laga ki aapko sunai nahi dega subah ki tarah.

Shubh - Aur main puchh sakta hu ki mujhe sunai kyu nahi dega.

Avian - Kyuki subah hum jab aapse kuchh bol rahe the to aapko ne jawab hi nahi diya.

Shubh - But still tumhe permission lena chahiye tha.

Dono abhi bhi Shubh ko sorry nahi bol rahe hote hai isliye shubh ko gussa aa jata hai aur dono ko class ke bahar jaane ke liye kehta hai. Dono nahi ja rahe hote hai lekin jab Shubh unko gusse mein dekhta hai to dono bahar chale jaate hai.

Shubh (in mind) - Ishu ne inhe bahut bigad kar rakha hai lagta hai mujhe hi inhe ab manners sikhana hoga.

Boy 1 to Boy 2 - Avish aur Avian se aaj tak kisi bhi teacher ki himmat nahi hui usse daatne ki.

Boy 2 - Dekhte hai ki ab ye teacher yaha kitne din tikega.
.
.
.
.
.
.
.
Avish - Pata nahi khudko kya samajhte hai wo. Mujhe to mere Maa ne bhi kabhi daata nahi lekin unki himmat kaise hui hum dono ko daatne ki.

Avian - Chhod na Avish baad mein dekh lenge unko. Tu tension mat le. Avish main soch raha hu ki Rachin uncle perfect lag rahe hai Maa ke liye.

Avish - Baat to tu sahi keh raha hai. Lekin Maa kabhi nahi manenge tumne dekha na uss din maa kitna hurt hue the.

Avian - Maa ko to manana hi padega kisi bhi halat mein. Kyuki maine Rachin uncle ke aankhon mein pyaar dekha hai Maa ke liye.







Mujhe pata hai aaj ka chapter boring hai isliye please uske liye mujhe maaf kar dijiyega.

Hey guys that's it for today.

Bye

My Professor Dad Where stories live. Discover now