Nandani _ maa woh chale gaye mughe chhod kar ke rone lagti hai aur.
Dad _ han to kya karta wait karta rehta tumhara five minute kaha tha osne tum argument main lagi rahi galti ki hai manti nahi ho phir argument bhi karti ho janti nahi ho kya oska gussa kaise hai aagaya lene tumhe ye hi bahut badi baat thi oski ab gaya woh nahi aayega lene tumhe ab jaao khud kitna samghdar samgha tha maine tumhe aur tum kya ho gayi ho chhoti bachchi ki tarha bihave karne lagi ho tum kaha gayi mairi mature nandani ye nandani to koi aur hi hai apne aap ko bada samgh ne wali ego rakhne wali ye to koi aur hi nandani hai maire samne jo apne husband ki respect karna hi bhol gayi hai maine aur tumhari maa ne tumhari aisi parwarish to nahi ki thi bachcha phir achanak tum change kaise ho gayi itna bolo badi bahu to sas ke bad sab se jimmedar hoti hai tum aise apni jimmedari nibhaogi naraj hokar beth gayi yahan aakar waha tumhari sas pareshan hai aur kahin na kahin manik bhi pareshan ho raha hoga tumhare yahan aane se kaise manage kar raha hoga woh sab kuchh kabhi soucha hai tumne baby ka muscarage manik ki wajha se nahi hua tumhare ander complication hai ki tum baby cary nahi kar sakti hon agar phir pregnant hogi phir muscarage ho jayega .
Nandani _ papa ye kya bol rahe hai aap.
Nandani mom _ wahi beta jo Sach hai hum ne tumhe pehle isliye nahi batya ki tum pareshan hojati Dr ne report dekh kar hi bata diya tha Hume jab tumse milne gaye the hum par ye baat surf manik ko pata hai aur kisi ko bhi nahi aur na hi batati hai manik ne to tumhe batane ke liye bhi mana kiya tha par tum bar bar manik ko blame kar rahi thi muscarage ke liye isliye tumhe bata diya ab fesla tumhe karna hai ghar jana hai ya yHin rehna hai.
Nandani sab kuchh sunkar phir se rone lagti hai aur.
Nandani _ mamma sab kuchh maine khatam kar diya apni nadani main woh mughe kabhi maf nahi karenge . janti hon onhe main kitna gussa honge mugh se bas bata nahi rahe woh bahut jyada hurt kiya hai maine onhe ab kya karo main.
Dad _ bag pack karo aur apne ghar chali jao aaram se woh abhi ghar nahi jayega tum khud jaogi to tumhari sas ose kuchh bol be nahi degi khush ho jayegi ki tum ghar waps aagayi ho jaao beta jaldi karo nahi aage ke raste band ho jayenge tumhare liye.
Nandani _ woh gussa karenge papa.
Maa _ han to kya hua pati hai gussa kare karne do gussa hai bole ga to gussa apne aap kam ho jayega oska to normal ho jayega tum mat bolna jyada oske samne mafi mang lena sab thik ho jayega phir.
Nandani _ Sach main maa.
Maa _ han beta jao ab bag lekar aao tumhare papa aur main khud tumhe chhod kar aayenge tumhare ghar .
Phir nandani apne maa baba ke sath norvouse si enter karti hai aur.
Cabir _ maa bhabhi aagayi khush hokar bolta hai aur sab hi family member hall main aa jate hai aur nandani ko samne dekh kar manik ki mom aage badhti hai par leg pain ki wajha se aage chal nahi paati hai aur nandani aage badh kar khud maa ko hug karke rone lagti hai aur.
Manik mom_ are are kya hua beta ro kyu rahi ho han.
Nandani _ I am sorry maa mughe aise aapko chhod kar nahi jaana chahiye aapke leg main phir se pareshani ho gayi na.
Manik mom _ are nahi beta ab tu aagayi hai na to phir se thik kar dena par ab kabhi apna ghar chhod kar mat jana tere bina sara ghar suna ho gaya tha isliye subha bhi maine manik ko kaha tha tumhe le aaye par woh bhi zidd ka pakka hai nahi gaya hoga.
Nandani _ nahi maa gaye the woh mughe lene ke liye par main late ho gayi to woh gusse main waps aagaye the ab aage aap dekh lena bahut gussa hai mugh se woh.
Manik mom _ are aise kaise gussa karega mairi beti par kaan pakd kar pitayi na lagao oski bahut achha kiya bhai sa han behan Ji maire ghar ki rounak ko aap waps ghar le aaye main to be Jan ho gayi thi iske jane ke baad aaj jaan aayi hai.
आप पढ़ रहे हैं
main tere sang hon piya.
Fanfictionshort story about Manan I hope you like it simpel sweet story by shazia khan.
