Chapter-49

1K 96 4
                                    

A new day at MPT:
Ss- aaaaaaah
Everyone except hm came running towards Ss' table..
Cc- kaa hua sj? Aise chilaai kyu aap?
Ks- kaa hua santu??
Ps- amma kuch bologi ya sirf chillati rahogi?
Billu- sj ko bolne toh dijiye aap sab..
Cc- Haa.. sj aap boliye..
Ss- meri aankh phadak rahi hain! Aur upar se pet dard bhi ho raha hain! Kuch bohut jyada bura hone wala hain!
Ks- amma bhak.. aisa kuch nahi hota.. faltu mein mat chilaya karo!
Cc- nahi nahi km.. sj ki bhavishyavaani humesha sahi hoti hain! Pakka kuch bura hone wala hain!
Ps- Haa humne bhi dekha hain.. jab bhi santu ka ye sab hota hain kuch na kuch toh garbar hoti hi hain!
Ks- amma par kya bura ho sakta hain ab? Mission bhabhi bhi pura ho gaya hain.. aur koi naya case bhi nahi aaya hain ..
Ps- lekin ms ab tak kyu nahi aayi hain? Roj toh samay par aa jaati hain.. hume toh bohut chinta ho rahi hain unki!
Ks- santu call karo ms ko..
Hm- koi jarurat nahi hain.. hum aa gaye..
All- jai Hind ms
Hm- jai Hind.. pj humaare cabin mein aaiye..
Ps- ji ms..

Hms cabin:
Ps- kya hua ms.. koi pareshani ki baat hain kya?
Hm- aisa hi kuch samajh lijiye pj.. aapko thodi der mein sab pata chal jaayega.. beherhal hume saari files jisme humaare sign ki jarurat hain vo laakar dijiye..
Ps- ji ms..

Ps goes out in the hall and starts collecting files ..
Ks- kaa kaha ms ne?
Ps narrates the whole convo
Ss- dekha maine kaha tha.. kuch garbar hone waali hain..

.....
In the afternoon, same day, at MPT:
As enters in a serious mood.. Hm also comes out of her cabin..

All- jai Hind sir!
As- jai Hind ... hj humne aapse jo subah vartalap ki thi.. uske baare mein humne commissioner sir ko bataya.. parantu hume khed ke saath kehna pad raha hain ki jab tak aap apne aap ko begunah sabit nahi kar deti.. aapko gunehgar maana jaayega..
Hm( looking down)- ji sir.. hum samajhte hain..
Ks- gunehgar? Ms ye sab kaa chal raha hain?
Hm-.....
As- hm hum aapko suspend karte hain!
Hm( still looking down)- ji sir.. hum samajhte hain..
Ks- ee kaa chal raha hain? Kaa samajhti hain aap ms? Sirrr aap hi bata dijiye?!
Ps- ms kuch toh boliye..
As- hum batate hain..  kal raat ko department mein ye khabar faili hain ki hm ek drug smuggling gang se mili hui hain.. aur kuch tasveere bhi bheji gayi sabut ke taur par.. ab department chahta hain ki ye khabar news mein failne se pehele Hm ko suspend kar diya jaaye..
All- kyaaa?!
Ps- ms aisa kar hi nahi sakti..
Ss- vahi toh.. jo insaan desh ke liye apni jaan tak de sakti hain .. vo aisa kabhi kar hi nahi sakti..
Cc- bilkul sateek keh rahi hain sj.. ms hum aapke saath hain!
Billu- kahi ye fake Haseena vapas toh nahi aa gayi?
Ks- sirrr ye baat aap bhi ache se jaante hain ki ms aisa kuch kar hi nahi sakti.. unhe phasaya jaa raha hain!
As- jaante hain hum.. iseliye humne commissioner sir se baat ki.. aur department achi tarah se jaanta hain ki Hm kitni imaandar aur honhar officer hain.. aur iseliye unhone Hm ko kuch dinon ka samay diya hain apni begunahi saabit karne ke liye..
Ks- ms ko hum begunah sabit karke rahenge!
Ss,Cc,ps,billu- hum bhi aapke saath hain!

Hm was silently listening to this entire conversation and she finally decided to speak up..

Hm- ji nahi..
Ks- kaa? Kaa nahi ms?
Hm- aap sab humaari begunahi saabit nahi karenge..
Ps- lekin kyu ms? Hum sab jaante hain ki aapne aisa kuch nahi kiya hain..
Hm- humne kaha na.. hume aap sab ki madad ki jarurat nahi hain.. ye humaari ladai hain.. aur hume isse akele lad lenge..
Ks- ye aap kaisi baatein kar rahi hain ms.. hum sab ek parivar hain..
Ps- bilkul.. aur aise samay mein hum aapko akela kaisa chod sakte hain?
Hm- humne kaha na.. hum akele kar lenge.. aur vaise bhi humaari gair haaziri mein aap sabko ye thaana bohut ache se chalana hain.. Ks aap sambhalengi na?
Ks- hum thaana sambhalenge ms par..
Hm- aap sab humaari chinta mat kijiyega.. hum bohut jald lautenge.. bas apna dhyan rakhna aap sab..
Ps- lekin ms..
Hm- agar hume aap sabki madad ki jarurat hogi toh hum khud maang lenge.. theek hain?
All- ji ms..
As- hm.. aapka belt aur cap..
Hm- ji sir.. bas ek min..
As- ji..
Hm- ks humne saare pending files complete kar diye hain aur ..
Ks- jaante hain.. kanoon ke dayare mein rehkar kaam karna hain, gusse par kabu rakhna hain, jajbaat se kaam lena hain..
Hm- good!

Hm then removed her belt and cap.. handed it over to As and left mpt leaving everyone with teary eyes .. As also left after Hm left..

Ss- maine kaha tha.. dekha ho gaya na bura..
Cc- bohut jyada bura hua sj..
Ps- he Shivji.. ms ki raksha karna.. pata nahi kyu bhale logon ke saath hi aisa sab hota hain....
Ks- chalo sab kaam par lag jaao.. bhabhi apna dekh lengi khud..
Ps- aap sachme unki madad nahi karengi?
Ks- karenge.. par abhi kaam kar lete hain.. baad mein kuch sochenge.. aur anu bhaiya se baat bhi kar lenge..
All- ok maddam..

.....
Headquarters:
Cs ( commissioner sir)- Hm kya aap mission ke liye tayyar hain?
Hm- ji sir
Cs- good.. dsp As bhi aapke saath iss mission par onboard hain.. aap dono ko mission jeet mein saath mein dekhne ke baad humne ye faisla liya hain.. I hope you don't let me down....
Hm- we won't let you down sir..
Cs- lo As bhi aa gaya..
As- jai Hind sir! Mission ki saari tayariyan ho gayi hain.. Hm ko suspend kar diya hain fake case ke silsile mein aur mpt waalon ko bhanak tak nahi lagne di iss baat ki..
Cs- good! Vaise toh hum Ks ko bhi involve karne ki soch rahe the.. par iss mission ke liye tum dono kaafi ho.. aur vaise bhi mpt sambhalne ke liye bhi koi chahiye.. lekin aapne unse jhoot kyu bola? Unhe bata dete na mission par jaa rahe hain aap dono..
As- nahi sir.. hum Ks ko achi tarah jaante hain.. vo mission par aane ki zid karti..
Hm- aur unhe dekhakar baaki sab bhi zid karte..
Cs- ok.. anyway.. kal nikalna hain iseliye get a good nights sleep.. hum ab seedha mission ke baad hi milenge .. jai Hind!
Hm,As- jai Hind sir!

.....
That night at As' house :
Hm had gone to As' house to spend the night and they both decided to leave together in the morning... maataji and ammi had gone to their respective sisters' houses..
Hm was sitting in the hall while As was doing his final pack up in his room..
Just then the doorbell rang..

As- hj! Doodhwala hoga.. pichle mahine ke paisa lene aaya hoga.. zara dwar khol dijiye.. hum abhi aate hain!( he said shouting from his room)
Hm- ji hum kholte hain..

Hm opened the door and was shocked to see that it wasn't the milkman but it was Ks..

Hm- Ks aap? Aaiye..
Ks- ms.. aap yaha?(while coming inside)
As- bhabhi hain vo aapki filhal behena..
Ks- ohh Haa hum hi topa hain.. bhul gaye the.. sorry bhabhi..
Hm- isme sorry ki kya baat hain Ks..
Ks- sorry ki baat toh hain.. shayad humne aap dono ko "disturb" kar diya ..( she said teasingly)
As- behena aisa kuch nahi hain.. vo hum kal kuch dinon ke liye sheher se bahar ek conference mein jaa rahe hain aur maa bhi ghar par nahi hain.. iseliye hj yaha humaari packing mein madad karne aayi hain..
Ks- kaa? Aap kal jaa rahe hain..
As- ji .. aapko kuch kaam tha kya humse?
Ks- kaam toh hain.. ek min humaare saath aaiye aap( she dragged As into the room)
As- ye kya kar rahi hain.. aisi kaunsi baat hain jo hj ke saamne nahi kar sakte?
Ks- anu bhaiya.. ms bhale hi kahe ki unhe madad ki jarurat nahi hain.. iska matlab ye toh nahi ki hum unki madad na karen.. aur aap! Aap hain ki sheher se hi bahar jaa rahe hain ms ko akele chodkar!
As- behena.. Hume hj par pura bharosa hain.. jab unhone kaha hain ki vo akele sambhal lengi toh hum dakhal nahi denge..
Ks- chodiye.. aapse baat karna hi bekar hain.. hum khud kar lenge apni ms ki madad.. ( she said leaving the room)

Hm noticed that Ks was angry after her convo with As inside the room..

Hm- ks.. koi problem hain kya?
Ks- nahi nahi bhabhi.. problem kaha? Aap kaha suspend hui hain .. aur aapko begunahi thodi na sabit karni hain jo koi bhi problem ho.. bilkul nahi( she said sarcastically)
Hm- ya allah.. Ks.. aapko humpar bharosa nahi hain kya?
Ks- bharosa hain ms! Par shayad aapko nahi hain .. iseliye Hume madad karne nahi de rahi na..( she said looking down )

Hm went and hugged Ks.. Ks was shocked by this gesture but she hugged hm back...

Hm- ks.. bohut bharosa karte hain hum aapar.. humne kya kaha tha.. agar madad ki jarurat padi toh hum aapko jarur kahenge.. par tab tak aap please humaari baat ka maan rakhiye aur thaana sambhalne par dhyan dijiye.. theek hain?
Ks- theek hain.. ( she said smiling)
Hm- good! Ab aap yaha tak aa hi gayi hain toh coffee piyengi? Vaise bhi aapke bhaiya packing ke chakkar mein hume bore kar rahe hain( she said a bit Loudly so As could hear inside the room)
As- sunna humne! ( she said shouting back)
Hm- nanand- bhabhi ki baatein nahi Sunni chahiye aapko! ( she shouted)
As- itni adhik vaani mein bolengi toh padosiyon ko bhi sunai dega ( he shouted)
Ks- amma bas! Bhabhi aap coffee bana dijiye hum piyenge..
Hm- haa abhi laaye..( she said laughing)
......................

Precap:
As- ks yaha kya kar rahi hain?! Hj unhe andar jaane se rokiye!
...
Ks- tumhari Maiya ki saasu Maiya abhi batate hain tumko!
Hm- aaaah .. rukiye Ks hum hain!
Ks- ms ??!

Kareenavजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें