Aadity or bondita mandir jaate hai dono mandir me darshan karte hai thodi idhar udhar ki baate karte hai fir moja dekhkar aadity bondita ko propose karta hai...
Aadity - bondita me tujhse bahut pyar karta hu....
Bondita - kya??.......
Aadity - haa bondita will you marry me??....
Bondita - aadity me to kab se tumhare munh se yahi sunna chahti thi....
Aadity - I love u bondita....
Bondita - I love u to aadity.....
Or aadity or bondita ek dusre ko hug kar lete hai...
Itne me aniruddh neend me hi chillane lagta hai "nahi Bondita tum sirf meri ho kisi or ki nahi ho sakti bondita tum ese kese kisi or ko pyar kar sakti ho nahi Bondita me tumhe esa nahi karne dunga or aniruddh hadbada kar uth jata hai....
( Ji haa bilkul sahi soch rahe hai aap ye aniruddh ka sapna tha wo sapne me ye sab imagine kar raha tha😂😂)...
Aniruddh - aaj to bahut bura sapna dekh liya kahin ye sapna sach na ho jaye tabhi use apne pass bondita najar aati hai...
Aniruddh - bondita tum......
Bondita - haa aniruddh babu me.....
Aniruddh - bondita tumne aadity se pyar ka ijhaar kyu kiya.....
Bondita - kyunki aap apne pyar ka ijhaar nahi karte isliye or fir bondita gayab ho jati hai...
(Ye fir se aniruddh ka pyara sa imagination tha 😂😂)
Aniruddh - ye ho kya raha hai mujhe mujhe har jagah bondita kyu najar aa rahi hai..
Bondita - kyunki aap mujhse pyar karte hai aniruddh babu or fir bondita gayab ho jati hai...
Aniruddh - ye mujhe kya ho gaya mujhe har jagah Bondita hi kyu najar aa rahi hai me ab jara bhi der nahi kar sakta me abhi bondita or aadity ke piche mandir jata hu kahin mera sapna sach na ho jaye hey dugga maa meri Bondita ko kisi or ka mat hone dena dugga maa 🙏🙏...
Fir aniruddh taiyar hone ke liye chala jata hai....
Kaka - arey kahan ho sab log koi hamare sath mandir chlega ki nahi binoy aniruddh som batuk aa jaao jaldi se....
Binoy - maaf kijiyega daa meri ek jaroori meeting aa gai angrez afsaro ke sath to me nahi chal paaunga aapke sath.....
Som - or kaka mujhe bhi baba ke sath jana hoga isliye me bhi nahi aa sakta....
Kaka - or batuk wo kahan hai....
Som - kaka wo to vidhyalay gaya.....
Kaka - arey o aniruddh kumbhkaran k nati😂 uth jaa kya sota hi rahega mandir chalna hai ki nahi batade tu bhi......
Aniruddh - kaka me uth gaya kab ka hi par mandir nahi ja paunga kuchh kaam hai kaka.....
Kaka - thik hai koi mat chalo hum akele hi chale jayenge......
Aniruddh (in mind) - kaka mandir to jaunga par aapke sath nahi ja sakta kyunki chhup ke jana hai mujhe mandir....
In bondita house 🏡
Bondita - aadity taiyar hua ki nahi mandir bhi chalna hai hume thodi jaldi karo.....
Aadity - bas aaya bondita 2 min. Rukja....
Aadity (in inner) - aaj to bondita ko propose kar hi dunga chahe jo ho jaye ab mujhe Bondita ko apne dil ki baat batani hi hogi....
Suddenly aadity ke darwaje par koi knock karta hai....
Aadity open the door and he saw Bondita was there.....
Aadi - bondita tu yahan me aa raha tha na niche.....
Bondita - bas dekhne aai hu ki tu kya kar raha hai ab aaja niche....
Aadity - haa chal.....
Bondita - maa me or aadity mandir ja rahe hai sampurna didi tu aa rahi hai kya....
Sampurna - nahi Bondita aaj mujhe kisi kaam se bahar jana hai me kal chalungi tum logo ke sath.....
Bondita - thik hai maa hum chalte hai......
Sumati maa - haa suno aaraam se jana or dhyan se wapas aana.....
Aadi - aap chinta mat kijiye aunty me hu naa bondita ke sath me bondita ka poora khyal rakhunga....
Sumati maa - thik hai jaao tum dono....
Sumati maa (in mind) - kitna accha ladka hai na ye kitha accha ho ki meri Bondita ise pasand karle.....
In mandir
Bondita or aadity jese hi mandir me jane wale hote hai ki bondita ko ek aadmi najar aata hai jo ki chakkar khakar girne wala hai
(ye or koi nahi hamare kaka sasur ji hi hai jinhone upvas rakh rakha tha jiski wajah se chakkar aa gaya)....
aniruddh bhi mandir pahunch chuka hai or chupkar bondita or aadity ko dekh raha hai bondita kaka ko dekhte hi dodti hui jati hai or girne se bacha leti hai....
Kaka - tumhara bahut dhanyawad beti jo tumne hume girne se bacha liya.....
Bondita - isme dhanyawad ki koi baat nahi kaka ye to mera farz hai ki me apne samne kisi girte insan ko dekhu to uski madad karu......
Kaka - fir bhi tum bahut acchi ho beti bhagwan kare ki tum jo bhi chahti ho tumhe sab mile.....
Bondita - dhanyawad kaka ab me chalti hu namaste......
Kaka - namaste beta....
Kaka (to himself ) - kitni pyari bacchi thi kash ye humare ghar ki bahu banti par humare ghar ki bahu kon banegi wo saudamini jo hume bilkul bhi pasand nahi 😏😏.....
Aniruddh kaka ki ye baat sun leta hai....
Aniruddh (to himself) - kaka chahta to me bhi yahi hu ki yahi ladki aapke ghar ki bahu bane or me uske liye puri koshish bhi karunga kaka me jald se jald bondita ko propose kar dunga.....

आप पढ़ रहे हैं
ANIDITA-the relation of heart ❤️
Aktuelle LiteraturHey guys I am a writer of anidita fanification please support me