jealous aniruddh 🔥🔥

213 16 0
                                    

Bondita aadity ko apna plan batati hai jiske according wo dono aniruddh ko jalayenge jisse aniruddh bondita ko lekar khud ko insecure feel kare or bondita se apne pyar ka izhaar karde....
Bondita - tu samjh gaya na aadity ye hai mera plan bata kesa laga....
Aadity - ye to sach me bahut accha plan hai or mujhe lagta hai ki ye plan kaam bhi karega par bondita ek samasya hai....
Bondita - kesi samasya....
Aadity - aniruddh ko pata kese chalega ki hum kahan ja rahe hai ghumne use pata chalega tabhi to wo hamare piche aayega....
Bondita - Ohoo tu bhi na aadity bilkul buddhu hai 🤦ruko me abhi uska intzaam karti hu....
Aadity - kese??.....
Bondita - tum dekho to sahi fir bondita kisi ko telephone karti hai....
Bondita - hello.....
Saurabh - hello kon....
Bondita - hum bol rahe....
Saurabh - kon hum....
Bondita - arey me hun bondita....
Saurabh - accha tum ho batao itni raat ko kese phone kiya....
Bondita - wo tumhari ek madad chahie thi...
Saurabh - kesi madad batao....
Bondita - wo mene ek plan banaya hai jisse ki aniruddh apne pyar ka izhaar mujhse karde uske liye tumhari madad chahie....
Saurabh - haa haa isme me tumhari puri madad karunga bolo kya karna hai mujhe....
Bondita - kal hum log park me ghumne jayenge bas wahan pe tum aniruddh ko le aana kisi bhi tarah baki me dekh lungi ......
Saurabh - accha bata kitne baje lana hai....
Bondita - kal sham ko le aana 5 baje ke kareeb......
Saurabh - thik hai le aaunga tumhare sath sampurna aayegi kya...
Bondita - shayad didi aayegi mere sath...
Saurabh - thik hai to kal park me milte hai byyy....
Bondita - thik hai byy...
Aadity - waa bondita kya dimag lagaya hai...
Bondita - shukriya me hun hi bahut samajhdar...
                          Next day
Aniruddh taiyar hokar office ke liye nikalne wala hota hai tabhi....
Batuk - dada......
Aniruddh - haa batuk.....
Batuk - dada wo baudi aai thi....
Aniruddh - tumhe kitni baar samjhaya hai na ki use baudi mat bulaya karo mini abhi tumhari baudi bani nahi hai.....
Batuk - to ban jayegi.....
Aniruddh - wo to waqt hi batayega ki kya hoga accha batao saudamini kyu aai thi or mere pass kyu nahi aai.....
Batuk - wo kyunki aap so rahe the or baudi kah rahi thi ki wo aapke sath ghumne jana chahti hai kahin.....
Aniruddh - ab fir se aaye to kah dena ki fir kabhi chalenge hum ghumne aaj samay nahi hai mere pass abhi me chalta hu....
Batuk - thik hai dada......
                      In office
Aniruddh office me aata hai to cabin me jate hi Saurabh file dene ka bahana karke andar aata hai....
Saurabh - may I come in sir....
Aniruddh - arey Saurabh tum aao na bolo kese aaye the....
Saurabh - wo me ye file dene aaya tha....
Aniruddh - accha thik hai to rakhdo me baad me dekh lunga....
Saurabh - wo sir or bhi kuchh kahna tha....
Aniruddh - haa bolo na Saurabh....
Saurabh - wo me kah raha tha ki sham ko hum park me ghumne chale....
Aniruddh - park me kyu....
Saurabh - wo kya hai na sir aapko to pata hai ki me sampurna se dosti karna chahta hu....
Aniruddh - haa to uske liye park kyu jana hai....
Saurabh - kyunki mujhe Bondita se pata chala hai ki wo log sham ko park me ghumne jayenge or agar hum bhi chale to shayad sampurna se dosti ho jaye meri....
Aniruddh(to himself) - accha to wo log park jayenge aaj....
Saurabh - kya hua konsi soch me ho....
Aniruddh - kuchh nahi hum chalenge aaj park me kitne baje chalna hai.....
Saurabh - yahi koi 5 baje ke kareeb....
Aniruddh - thik hai to sham ko chalenge....
                         In evening
Bondita aadity or sampurna park me pahunch jate hai or jakar ek banch par beth jate hai kuchh hi der me wahan par aniruddh or Saurabh bhi aa jate hai......
Bondita - aadity wo log aa gaye hume drama shuru karna padega.....
Aadity - wo to thik hai par sampurna ko unke pass bhejna hoga kisi bhi tarah taki sampurna ko hamare drame ka pata na chale....
Bondita - haa me kuchh karti hu....
Bondita - sampurna didi....
Sampurna - haa bondita....
Bondita - tu mera ek kaam karegi....
Sampurna - haa bol naa ....
Bondita - wo wo dekh Saurabh aaya hua hai na wahan uske pass meri ek file hai wo lade please...
Sampurna - thik hai abhi lati hu.....
Bondita Saurabh ko ishare se bata deti hai ki sampurna ko bato me uljhaye rakhna....
Sampurna - wo bondita ki file do mujhe....
Saurabh - itni bhi kya jaldi hai sampurna chalo na ek ice cream khane chalte hai tum ice cream khane chlogi tabhi tumhe file dunga me....
Sampurna - thik hai chlo.....
Wo dono ice cream khane chale jate hai ab aniruddh chhipkar bondita or aadity ko dekh raha hai....
Bondita - aadity chalo na thoda ghumte hai.....
Aadity - chalo....
Dono aniruddh ko dikhane ke liye hatho me hath dalkar ghumne lagte hai....
Aniruddh - dekho kese hath me hath dalkar ghum rahe hai man to karta hai ki is aadity ka sar fod du par Bondita bhi iske sath khush hai to me kya hi kar sakta hun....
Bondita - chalo na aadity ice cream khane chalte hai....
Aadity - jo hukum mere aaka chalie...
Fir wo dono kulfi khane jate hai to thodi si kulfi bondita ke cheeks par lag jaati hai then aadity apni rumaal se bondita ki wo kulfi saaf karta hai jise dekhkar aniruddh bahut jyada jal jata hai or gusse me wahan se jane lagta hai bondita or aadity use jata hua dekh kete hai...
Bondita - aadity aniruddh to chale gaye ab hum kya kare...
Aadity - karna kya hai kal fir jalana padega....
Ye baat aniruddh sun leta hai....
Aniruddh (to himself ) - accha to ye log mujhe jalane ke liye ye sab kar rahe hai ab tum dekho bondita me kya karta hun...

ANIDITA-the relation of heart ❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें