bondita ne banwaya baal vivaah ke khilaf kanoon

108 8 0
                                    

Bondita office me bethi apna kaam kar rahi thi tabhi Saurabh aata hai...
Saurabh  -  arey meri sali sahiba kesi ho tum....
Bondita - arey Saurabh jiju aap me bilkul thik hu...
Saurabh - yaar tumhare munh se Saurabh jiju sunkar ajib sa hi lagta hai Saurabh jo sunne ki aadat padi hui hai...
Bondita - to mujhe bhi to ajib laga tha jab aapne mujhe sali sahiba kahke Bulaya tha...
Saurabh - accha thik hai tum mujhe Saurabh bulao me tumhe bondita bulaungi thik hai...
Bondita - ye thik hai par maa ne aapka naam lete huye sun liya na to kaan khinch legi mere....
Saurabh - accha to maa ke saamne tum mujhe jiju bula lena aakhir ab tum meri sali jo ho tumhe daant thodi khilwaunga me...
Bondita - haa ye sahi hai ab jaao jaakar apna kaam karlo aniruddh sir ne dekh liya na kaam chhodke baate karte huye to dono ko daant pad jayegi...
Saurabh - tumhe to daant nahi padegi tumhe to wo daant hi nahi sakte par bichare Saurabh ko daant pad jayegi...
Bondita - haaa (Aniruddh ki nakal karte huye) Saurabh tum kaam chhodkar yahan baate kar rahe ho mujhe ye bilkul pasand nahi hai tumhe pata hai na...
Saurabh or bondita dono aniruddh ki nakal par hasne lagte hai but suddenly Saurabh dekhta hai ki Aniruddh bondita ke piche khada hai...
Saurabh - bondita tum tum ye sab kaam karo me chalta hu okkk...
Bondita - arey kya hua Saurabh suno to pata nahi isko kya ho gaya achaanak se bhag gaya....
Bondita apni table se khadi hokar ghumne lagti hai ki use aniruddh najar aa jata hai...
Aniruddh  -  ye sab kya ho raha tha Bondita.....
Bondita - wo wo kuchh nahi kuchh nahi sir bas ese hi....
Suddenly aniruddh jor jor se hasne lag jata hai...
Bondita - kya hua sir aap ese has kyu rahe hai...
Aniruddh - kuchh nahi Bondita tumne meri nakal bahut acchi ki thi bas usi ki hasi aa rahi hai...
Bondita - accha or bondita bhi hasne lag jati hai...
                               In evening
Bondita ghar pahunchti hai to sumati maa kisi ki shadi ka card lekar bethi hui hai....
Bondita - maa kiski shadi ka card dekh rahi hai tu...
Sumati maa - wo bondita humare ghar ke saamne hai na sunita bas usi ka vivaah hsi usi ki Patrika hai ye...
Bondita - kya sunita ki shadi par wo to abhi sirf 10 saal ki hai na...
Sumati maa - haa to kya hua 10 saal ki hai to...
Bondita - maa wo 10 saal ki bacchi hai or tu kah rahi hai ki kya hua 10 saal ki hai to...
Sumati maa - haa to bondita humare yahan 10 saal ki bacchi ki shadi hoti hai...
Bondita - maa shadi hoti hai iska matlab ye nahi hai ki itni choti bacchi ki shadi karana sahi hai...
Sumati maa - bondita isme galat hi kya hai beta...
Bondita - isme sahi bhi kya hai maa ladki ki shadi tab tak nahi honi chahiye jab tak ki usko samajh na aa jaye ki shadi ka matalab kya hota hai...
Sumati maa - shadi ho jaye to matalab bhi samajh aa jata hai bondita tu shadi me koi rukawat nahi banegi waada kar mujhse...
Bondita - mujhe afsos hai maa ki aaj me tujhse ye waada nahi kar paungi...
Sumati maa - arey bondita meri baat to sun bondita....
Par Bondita bina sune hi wahan se chali jati hai....
Sumati maa - hey dugga maa pata nahi is ladki ke dimag me kya chal raha hai bas ye koi rukawat khadi na kare sunita ki shadi me...
Bondita apne kamre me chali jati hai us din bondita ne khana bhi nahi khaya wo bas soch rahi hai ki sunita ki shadi wo kese rukwaye....
Bondita - mujhe kuchh bhi karke sunita ki shadi to rukwani hi hogi pata nahi ye log kab samjhenge ki galat hai baccho ki shadi abhi sunita ki shadi me sirf 10 din bache huye hai or mujhe inhi 10 dino me kuchh karna hoga or kuchh esa karna hoga ki sirf sunita ki hi nahi baki bhi kisi nabalig ladki ki shadi ye samaaj na kar paye par me kya karu kya karu kya karu bondita kafi der tak sochti hai fir wo tay karti hai ki wo kal court me arji degi baal vivaah ke khilaf or ye sochte sochte hi wo so jati hai....
                               Next day
Bondita office jati hai apna kaam khatm karti hai aniruddh ko bhi wo is baare me batati hai to aniruddh kahta hai ki bondita yahi badlaav me samaaj me lana chahta tha ab dono sath milkar ye badlaav laayenge fir bondita wahan se nikalti hai or sidha court jati hai or wahan par baal vivaah ke khilaf arji dalti hai...
Bondita - chalo arji to dal gai par agar in 10 dino me nirnay nahi aaya to me kya karungi chlo dekha jayega agar nirnay nahi bhi aayega to bhi me to bondita hu kisi na kisi tarah se vivaah rukwa hi dungi....

                             After 5 days
Bondita ke pass ek latter aata hai bondita us latter ko padhti hai or khushi se nachne lagti hai sampurna ko leke charo taraf ghumne lagti hai...
Sampurna - arey bondita ese hi ghume ja rahi hai bata to sahi kya hua...
Bondita - didi mene baal vivaah ke khilaf kanoon banwa diyaa....
Sampurna - arey waa ye to bahut acchi baat hai tujhe bahut badhai ho bondita...
Bondita aniruddh ko bhi phone karke batati hai to aniruddh bhi use uski doosri jeet par badhai deta hai....
Fir bondita sunita ke ghar jati hai or sunita ke maa papa ko samjhane ki koshish karti hai ki wo apni bacchi ki shadi abhi na kare par wo nahi mante...
Bondita - thik hai aap log ese nahi manenge ye lijiye isko padh lijiyega or iske hisab se aap apni bacchi ki shadi jab tak wo 16 saal ki nahi ho jati tab tak nahi karwa sakte...
Sunita ke papa - hum nahi mante kisi kanoon ko hum to apni bacchi ki shadi karwayenge 5 din baad.....
Bondita - thik hai karwaiye me bulaungi police ko or wo le jayenge aap ko or fir aapko jyada nahi sirf 7 saal ki saja hogi or jab aap bahar aayenge tab tak sunita 17 saal ki ho jayegi tab aap aaram se uski shadi karwaiyega thik hai...
Sunita ke papa or mummy police ki baat sunke kafi dar jaate hai or wo sunita ki shadi abhi na karwane ko raji ho jate hai...
Bondita wahan se jati hai tabhi pichhe se Sunita aa jati hai....
Sunita - didi aapka bahut bahut shukriya aapne meri shadi hone se rok li...
Bondita - matalab tum nahi chati thi ki tumhari shadi ho...
Sunita - nahi didi bilkul nahi chahti thi me ki meri shadi ho....
Bondita - to fir apne liye aawaz kyu nahi uthai...
Sunita - didi kese aawaz uthati mujhe bolne ka bhi haq nahi hai mere ghar me...
Bondita - lekin jab tak tum apne liye aawaz nahi uthaogi koi tumhari baat nahi sunega...
Sunita - abse me apne liye aawaz uthaungi didi dhanyawad mujhe itni himmat dene ke liye...
Bondita - dhanywaad ki jarurat nahi duniya usi ke liye to me hindustan aai thi...

Sunita bondita ko hug kar leti hai kafi der tak dono baate karti hai fir bondita apne ghar chali jati hai....

ANIDITA-the relation of heart ❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें