jealous aniruddh 🔥 🔥

259 16 0
                                    

Ab bondita or sumati maa sampurna ka bahut jyada dhyan rakhte hai use kabhi dukhi nahi hone dete sampurna ko kabhi akela nahi chodte hmesha uske pass rahte hai ab bondita aniruddh se permission leke  sampurna ko apne sath office bhi le jane lagi hai taki office me sampurna ka thoda man bahal jaye dono bahne subah jaldi hi office jati hai or sham ko wapis aati hai lekin sampurna sabse ukhdi ukhdi rahti hai kisi se baat nahi karti office me chup chap bethi rahti hai ek din ese hi dono bahne office jati hai Bondita apne kaam me lag jati hai or sampurna alag jakar Beth jati hai tabhi sampurna ke pass Saurabh aakar Beth jata hai...
Saurabh das 21 years - aniruddh ke office me hi kaam karta hai or aniruddh ka bahut accha dost bhi haj jisse aniruddh apni sari bate share karta hai .....
Saurabh - hello...
Sampurna - 🙄🙄
Saurabh - kya hua kuchh bolo bhi.. .
Sampurna wahan se uthke dusri table pe chali jati hai Saurabh bhi wahan jata hai or sampurna ke pass baith jata hai...
Saurabh - munh me jubaan nahi hai kya kuchh to bolo...
Sampurna - problem kya hai tumhari me tumhari baat ka jawab nahi de rahi matlab mujhe tumse baat nahi karni kyu mere piche piche aa rahe ho.....
Ye kahkar sampurna wahan se uthkar chali jati hai Saurabh bhi thoda udaas ho jata hai aniruddh waha se kisi kaam se gujar raha hota hai to wo Saurabh ko dekh leta hai aniruddh Saurabh ke pass jata hai...
Aniruddh - kya hua Saurabh udaas kyu betha hai...
Saurabh - kya bataau yaar aniruddh is ladki me pata nahi kis baat ka ghamand hai me to baat karna chah raha tha par ulta mujhe hi suna kar chlali gai...
Aniruddh - tumhe pata bhi hai kuchh uske bare me ya ese hi bol rahe ho.....
Saurabh - pata kya karna hai dikhta hi hai ki kitna ghamand hai usme.....
Aniruddh - Saurabh pahle uske bare me jano ki wo esi kyu ho gai fir bolna...
Saurabh - to tum hi batao na uske sath kya hua....
Aniruddh - to suno(or fir aniruddh use sari baat batata hai ki kese sampurna ki sagai tut gai or wo ekdum chup ho gai...
Saurabh - (in mind ) - is ladki ke sath bahut bura hua mujhe isse dosti karno hogi or iska dukh dur karne ki koshish karni hogi....
Kaam khatm karke Bondita or sampurna ghar chali jati hai....
Sumati maa - are aa gai tum dono jaao jaldi se hath munh dholo me khana lagati hu...
Wo dono hath munh dhone jane lagti hai tabhi telephone 📞 ki ghanti bajti hai...
Bondita - hello kon ...
Aadity - accha india jake mujhe hi bhul gai.....
Bondita - are aadity tu bata kese phone kiya kuchh kaam tha kya ....
Aadity - haa mene tujhe batane ke liye phone kiya tha ki me kal india aa raha hu.....
Bondita - kya sacchi par ese achaanak jese aadity...
Aadity - haa wo kuchh dino ke liye india aa raha hu tere ghar hi rahunga okkk... 
Bondita - thik hai tu jaldi se aaja me tujhe pura Tulsipur ghumaungi okkk.....
Aadity - chal fir kal aata hu byy....
Bondita - byyy..
Bondita aadity ke aane ki baat se bahut khush ho jati hai or sumati maa ko bhi bata deti hai ki kal uska dost aayega sumati maa bhi sunkar bahut khush ho jati hai...
                            Next day
Bondita taiyar hokar office ke liye nikal jati hai sampurna aaj Saurabh ki wajah se bondita ke sath nahi jati bondita office me enter karte hi aniruddh ke pass jati hai...
Bondita - aniruddh sir....
Aniruddh - bondita tum bolo kya baat hai....
Bondita - sir me aapse kuchh dino ki chhuttiya lene aai thi.. .
Aniruddh - chhuttiya kyu bondita??
Bondita - wo sir aadity aa raha hai to use pura shahar ghumana hai or usse bahut sari baate karni hai...
Aniruddh - kon aadity bondita....
Bondita - ohho Bondita 🤦🤦tu bhi na bilkul buddhu hai sir Aadity mera best friend hai sir aapko pata hai aadity na bahut accha hai..
Aniruddh -(in mind)- 😏😏 kya mujhse bhi accha dost hai wo tumhara....
Bondita - kahan kho gaye sir...
Aniruddh - kahin nahi Bondita kahan ghumane le jaaogi kal apne dost ko...
Bondita - kal to pass wale mandir hi le jaaungi use....
Aniruddh - thik hai jaao lekin jyada chhutti nahi dunga tumhe ye yaad rakhna...
Bondita - thik hai sir then Bondita leaves...
Aniruddh - mujhe itna bura kyu lag raha hai bondita ke dost ke bare me sochkar kahin mujhe Bondita se pya... Nahi nahi esa nahi ho sakta....
Saurabh - may I come in sir...
Aniruddh - aai naa saurabh kya formality kar rahe ho...
Saurabh - sir me wo aapko ye file dene aaya tha sir sir (aniruddh ke kandhe par hath rakhte huye)....
Aniruddh (came into reality) - haa Saurabh kya hua...
Saurabh - ye to mujhe aapko puchna chahiye sir ki kahan khoye hai aap jo baat ka jawab hi nahi de rahe.....
Aniruddh - me wo wo kahin nahi accha Saurabh ek baat batao....
Saurabh - haa puchiye...
Aniruddh - koi ladki jo aapki dost ho or wo kisi or ladke se milne ja rahi ho tab tumhe jalan ho  bura lage to uska matlab kya hota hai..
Saurabh - uska to ek hi matlab hota hai...
Aniruddh - kya??....
Saurabh - ki aapko us ladki se pyar♥️ ho gaya hai wese aap ye sab kyu puchh rahe hai sir...
Aniruddh - kuchh nahi tum jaao.....
Saurabh - thik hai sir....
Aniruddh (in mind) - kya sach me mujhe Bondita se pyar ho gaya hai tabhi mujhe itni jalan hui jab Bondita ne kaha ki wo apne dost ko ghumane ke liye chhutti chahie lekin koi baat nahi wo meri Bondita hai or kal bondita mandir ghumane le jaa rahi hai kal me bhi mandir jaaunga or agar us ladke ne meri Bondita ke pass aane ki koshish ki to me use chodunga nahi....
Ab kya hoga jab kal bondita aadity ke sath or aniruddh un dono ke piche mandir jayega??

ANIDITA-the relation of heart ❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें