Bondita apna purse uthane me busy hai isliye uska dhyan truck ki or nahi jaa raha hai lekin bondita apna kuchh saman bhul jati hai aniruddh wahi bondita ko dene ke liye bahar aata hai tabhi wo dekhta hai ki bondita ki taraf ek truck badh raha hai aniruddh bondita ko bachane ke liye dodta hai par use bahut der ho jati hai or wo truck bondita ko takkar mar deta hai or bondita behosh hokar gir jati hai aniruddh us truck driver ki taraf jane lagta hai par bondita ko is halat me dekh kar ruk jata hai par aniruddh us truck driver ka chehra acchhe se dekh leta hai...
Fir aniruddh bondita ko gadi me bithakar hospital le jata hai or sumati maa or sampurna ko khabar karwa deta hai to wo dono bhi hospital me aa jati hai..
Hospital me doctor bondita ka opration kar rahe hai or aniruddh bachan sa idhar udhar ghum raha hai tabhi doctor bahar aate hai..
Aniruddh - doctor kesi hai bondita....
Doctor - agar thodi or der ho jati to inka bachna namumkin tha par abhi bhi jaan ka khatra tala nahi hai agar inhe agle 24 ghante me hosh nahi aata hai to ya to inki jaan jaa sakti hai ya ye coma me jaa sakti hai...
Aniruddh - doctor please kuchh kariye bondita ko hosh me laiye...
Doctor - ab to jo kuchh bhi kar sakta hai wo upar wala hi kar sakta hai ab inko dawa se jyada dua ki jarurat hai aap log inke liye dua kijiye me chalta hu or doctor chala jata hai...
Sumati maa - aapka bahut bahut dhanyawad jo aap meri beti ko sahi samay pe aspataal le aaye...
Aniruddh - are nahi nahi ye to mera farz tha aakhir bondita mere yahan kaam karti hai or mera office ka staff mera parivaar hai....
Sumati maa - acchha to aap hai bondita ke office ke mukhiya...
Aniruddh - haa par maaji please bondita ke liye dua kijiye use hosh aa jaye warna me khud ko kabhi maaf nahi kar paunga...
Sumati maa - nahi kuchh nahi hoga bondita ko wo bilkul thik ho jayegi aap apne ghar jaiye par bahut raat ho gai hai aapke ghar wale bhi aapka intezaar kar rahe honge...
Aniruddh - nahi jab tak bondita ko hosh nahi aa jata me kahin nahi jaunga..
Sumati maa - nahi aapko ghar jana chahie aapke ghar wale aapki raah dekh rahe honge aap subah jaldi hi wapas aa jaiyega..
Aniruddh - thik hai par me subah jaldi hi wapas aa jaunga or tab aap mujhe kuchh bhi nahi kahengi thik hai naa....
Sumati maa - thik hai..
Sumati maa (in mind) - kitna accha ladka hai meri Bondita ki kitni parwah karta hai..
In aniruddh house
Raat bahut ho gai hai or sabhi ghar wale aniruddh ka intezar karte karte idhar udhar ghum rahe hai saudamini ko bhi pata chalta hai ki aniruddh itni raat tak ghar nahi aaya to wo bhi aniruddh ke ghar par hi uska intezar kar rahi hai tabhi aniruddh ghar aata hai saudamini aniruddh ko dekhte hi use hug kar leti hai lekin aniruddh ko uska hug acchha nahi lagta or wo khud ko chuda leta hai.....
Kaka - aniruddh der to tumhe roj hi hoti thi lekin aaj itni der raat ke 12 baj rahe hai esa kya kaam tha beta...
Saudamini - tumhe pata hai aniruddh hum sab kitna dar gaye the....
Binoy - bolo aniruddh kahan the tum ab tak hum sab bahut pareshan the....
Aniruddh jake kaka ke gale lag jata hai or rone lagta hai ..
Kaka - kya hua aniruddh beta kuchh bol hamara dil betha ja raha hai...
Aniruddh - kaka bondita ka meri wajah se excident ho gaya agar use kuchh ho gaya to me khud ko kabhi maaf nahi kar paunga kaka...
Saudamini - tumhari wajah se kese aniruddh...
Tab aniruddh un logo ko puri baat batata hai...
Saudamini bada garv mahsus karti hai aniruddh uska hone wala pati hai jo dil ka kitna accha hai...
Kaka - aniruddh chinta mat karo beta wo ladki bilkul thik ho jayegi tum jaao ab jake so jaao..
Aniruddh apne kamre me chala jata hai par wo raat bhar so nahi pata or Durga maa se prarthna karta rahta hai ki wo bondita ko thik kar de halanki use bondita ke liye esa kyu feel ho raha hai ye wo khud bhi nahi janta par isi tarah prarthna karte karte subah ho jati hai...
Next day
Aniruddh subah 5 baje hi hospital pahunch jata hai or wo dekhta hai ki wahan sumati maa or sampurna Bondita ke pass leti hui hai sumati maa aniruddh ko dekhkar uth jati hai...
Sumati maa - aap itni jaldi aa gaye lagta hai raat bhar soye nahi...
Aniruddh - haa neend nahi aai thi aap ek kaam kijiye maaji aap or sampurna ghar jakar aaram kar lijiye me bondita ke pass rukta hu....
Sumati maa - are nahi nahi beta aap kyu taklif kar rahe hai me hu naa yaha...
Aniruddh - nahi maaji aapne mujhse kaha tha ki kal subah me jaldi aaunga or aap mujhe kuchh nahi kahengi ab aap jaiye or ghar jakar aaram kar lijiye ......
Sumati maa - thik hai beta chal sampurna or wo dono ghar chale jate hai....
Aniruddh bondita ka hath apne hatho me leta hai or bondita ke pass baith jata hai..
Aniruddh - aankhe kholo bondita agar tumhe kuchh ho gaya to me khud ko kabhi maaf nahi kar paunga dugga maa please meri Bondita ko thik kar dijiye Bondita please aankhe kholo bondita....
Or wo aniruddh ki duaao ka asar tha ya aniruddh or bondita ke dil ke rishte ka wo pata nahi par bondita dhire dhire karke apni aankhe khol leti haj..
Bondita - aniruddh aap me Kahan hu...
Aniruddh - Bondita tumhe hosh aa gaya or wo bondita ko hug kar leta hai kuchh der baad aniruddh ko yaad aata hai ki use doctor ko bulana hai to wo doctor ko bulane jata hai...
Doctor - mr. Aniruddh ab ghabrane ki koi baat nahi ab ye jald hi thik ho jayegi....
Aniruddh ye baat sunkar bahut khush hota hai or khushi ke mare Bondita ka hath ekdum tightly pakad leta hai....
आप पढ़ रहे हैं
ANIDITA-the relation of heart ❤️
General FictionHey guys I am a writer of anidita fanification please support me