bondita ki badhi mushkile

193 16 0
                                    

Bahut der ke baad aniruddh or bondita ka eye lock tut ta hai or wo dono khade ho jate hai...
Aniruddh - tumhe pata hai bondita aaj me bahut khush hu aaj mujhe is duniya ki sabse badi khushi mil gayi tum mil gayi.....
Bondita - khush to me bhi bahut hun aniruddh babu😊...
Aniruddh - bondita aaj chalo hum dono ek doosre se wada karte hai ki ek doosre ka hath or saath marte janm tak nahi chodenge....
Bondita - me wada🤞 karti hu aniruddh babu ki aapka saath kabhi nahi chodungi hamesha aapki ban kar rahungi....
Aniruddh - bondita lekin ek galti ho gayi hai mujhse....
Bondita - kesi galti...
Aniruddh - mene in dino aadity se bahut nafrat ki hai me usse maafi maangna chahta hu....
Bondita - haa ye baat to hai to ap ek kaam kijiye aap chaliye mere saath or aadity se maafi maang lijiye....
Aniruddh - haa ye thik hai bondita chalo.....
Aniruddh or bondita dono ghar jate hai to unhe wahan par aadity mil jata hai....
Aadity - bondita aaj to bahut khush najar aa rahi hai baat kya hai....
Bondita - wo baat ye hai aadity ki ki mujhe meri zindagi ki Sabse badi khushi mil gayi....
Aadity - matlab tune apne pyaar ka izhaar kar diya aniruddh se.....
Bondita - tujhe kese pata chala....
Aadity - le me jaanta hu ki teri sabse badi khushi aniruddh hai..
Aniruddh - haa aadity bondita ne apne pyaar ka izhaar kar diya.....
Aadity - aniruddh aap yahan kese....
Aniruddh - me tumse mafi mangne aaya hu aadity...
Aadity - mafi kis liye aniruddh..
Aniruddh - kyunki in dino mene tumse bahut nafrat ki hai naa...
Aadity - koi baat nahi aniruddh me samjh sakta hun....
Aniruddh - to matlab tumne mujhe maaf kar diya aadity......
Aadity - me aapse naraj hi kab tha aniruddh....
Aniruddh - to fir aaj se tum bondita ki tarah mere bhi dost ho na.....
Aadity - jee bilkul....
Fir wo dono ek doosre ko hug kar lete hai....
Bondita - haa bhai dosti me koi bondita ko kyu yaad rakhega......
Aniruddh - tum bhi aa jaao bondita....
And they both shared a group hug...
                        After some time
Ek din bondita office se ghar wapis aa rahi hoti hai hamesha to use aniruddh chhod deta hai par aaj aniruddh ko kuchh kaam aa gaya isiliye bondita akeli ghat aa rahi hoti hai tabhi use raste me ek padosan mil jati hai.....
Padosan - kesi ho bondita beti....
Bondita - namaste kaki me thik hu aap bataiye aap kesi hai.....
Padosan - kya bataau beta Aajkal to jamana itna kharab hai ki mera to is jamane me rahne ka man hi nahi karta......
Bondita - kyu kya hua kaki??.....
Padosan - beta kya bataau aajkal to hamare mohlle me ese ghar ho gaye hai jahan par do do jawaan ladkiya hote huye ek ladka rahne aata hai or 1-2 mahine hone ko aa gaye hai or wo ladka bhi bina kisi rishte ke us ghar me hi rah raha hai us ghar ki ladkiyo ne to jese apni sharm bech khai hai chhi chhi chhi.....
Bondita - aapka kahne ka matlab kya hai kaki kahin aap hamare ghar ki or to ishara nahi kar rahi.....
Padosan - ab beta samjhdaar ko to ishara kaafi hai fir bhi tu agar sunna hi chahti hai to haa me tere hi ghar ki baat kar rahi hu wo ladka kya naam hai uska haa.... Aadity kya kar raha hai wo itne dino se tere ghar me......
Bondita - kaki ye aap bahut jyada bol rahi hai wo mera dost hai aap esa bol bhi kese sakti hai.....
Padosan - mene to aaj tak esa koi dost nahi dekha jo 2-2 jawaan ladkiyo ke ghar me hote huye itne dino tak ghar me rahta ho.....
Bondita - ye soch hi to mujhe badalni hai kaki or me is soch me badlaav lakar rahungi.....
Padosan - accha charitrheen khud or soch hamari badlegi.....
Itne me wahan aniruddh bhi aa jata hai or padosan or bondita ki sari baate sun leta hai....
Aniruddh - charitrheen nahi hai meri Bondita aapne Bondita se esa kahne ki himmat bhi kese ki.....
Padosan - lo aa gaya ek or aashiq haay raam pata nahi kitne aashiq hai is ladki ke esi ladkiyo ne hi to hamari sabhyatao ka gala ghont diya or hamari ladkiyo ko or bigaad diya....
Aniruddh - kaki aap aurrat hai isliye aapse haath jodkar 🙏nivedan kar raha hu  ki aap yahan se chali jaiye esa naa ho ki me kuchh galat kar bethu....
Padosan - abhi to me ja rahi hu lekin tum yaad rakhna Bondita tumhe or tumhari maa ko to me us ghar se nikaal kar rahungi Tum hamari ladkiyo ko bigaad rahi ho ......
Aniruddh - aap jaiye jo aapse hoga wo kar lijiyega abhi aap jaiye😡😡....
Wo aurrat bondita ko Bura bhala kahte huye wahan se chali jati hai or bondita Aniruddh ko tightly hug kar leti hai aniruddh bhi bondita ko apni banho me samet leta hai......
Bondita - dekha aapne aniruddh kitni ghatiya soch hai hamare samaaj ki isi soch ko badlane ke liye London se india aayi thi me is pichhdi soch ko badalna hi mere jeevan ka lakshy hai.....
Aniruddh - bondita yahi to mera lakshy bhi tha ki me samaaj me badlaav la saku or ab hum dono ye kaam saath milkar karenge to miss.bondita thakur kya is lakshy me aap mera saath degi ( ye kahkar aniruddh bondita ki taraf haath badha leta hai)......
Bondita - haa mr.aniruddh Roy Chaudhary aapka hamesha saath degi ye bondita (ye kahakar Bondita apna haath aniruddh ke hath me badha deti hai).....
Background music 🎶
Thaam kar mere haath ko kadam sang badhale...
Chal yaha se sath me chhalang hum lagale....
Kare paar riwajo ka ghera....
Rishta tera mera rishta tera mera....
Uske baad aniruddh bondita ko ghar chhodne jata hai to sampurna or sumati maa to ghar par nahi hoti par haa aadity unhe ghar par hi mil jata hai.....
Aadity - are bondita aa gai tum.....
Bondita - haa maa or didi kahan hai...
Aadity - wo dono to kisi kaam se bahar gai hai tum betho me pani lata hu.....
Aniruddh - aham aham bhai aaye to hum bhi hai agar koi hume bhi dekhe too.....
Aadity - aniruddh mene tumhe bhi dekh Liya mujhe to sab dikhai de raha hai tumhe hi bondita ke alawa or kuchh dikhai nahi padta....
(Anidita blushing)
Bondita - tu bhi na aadity....
Aadity - accha thik hai me pani lekar aata hu.....
Aadity pani lene jata hai tabhi bahar bahut jor ka Halla hota hai wo tino bahar jaate hai to sab log bondita ke ghar  ke bahar hi khade hai wo sab us padosan ke kahne se bondita or uski maa or bahan ko ghar se bahar nikalna chahte hai.....

ANIDITA-the relation of heart ❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें