Her Entry.

235 24 7
                                    

It was evening time. Karan and Abir reached home. Kirti gave them water. They both drink it.

Kirti- aaj ki news dekhi maine. Yeh atankwaad bahut badh gaya hai. Kaun jaane kab kiski maut aa jaye.

Karan- hmm. Yeh kaal pari pata nahi kya chahti hai. Atankwaadiyon ki list mein top pe hai. Pichhle 11 saal se keher macha rakha hai.

Kirti- mujhe toh hamesha tumhara dar laga rehta hai. Roz maut se khelte ho tum dono.

Karan- yahi toh kaam hai humara.

Ishwari (comes) kya kaam hai tumhara???

Abir- software designing maa aur kya. Woh bhabhi keh rahi thi ke hum hamesha laptop mein ghuse rehte hain toh Karan keh raha tha ke yahi humara kaam hai.

In Karan's room, Karan and Abir were sitting. Karan was telling tina (his P.A.) that he and Abir will not come to office tomorrow due to some urgent reasons.

Abir- tujhe pata hai jab Vikrant ne bataya ke Mishti ne unn terrorists ko pakda toh mai bahut shock hua tha.

Karan (engaged in his mobile)- kaun Mishti???

Abir- arrey wahi Dr. Maheshwari. Mai toh bahut excited hoon uss se milne ke liye.

Karan- excited??? Excited toh tu aise bol raha hai jaise saalon baad apni girlfriend se milne wala hai.

Abir- kya pata ban jaye. Kaun jane zindagi mein kya ho.

Karan- tu kaam pe dhyaan de girlfriend pe nahi. Girlfriend kaal pari case ke baad bana lena.

Abir- haan usske baad koi laal pari aa jayegi, phir peeli pari, phir neeli pari. Tab tak mai chhada malang ghoomta rahoon?? Teri shadi ho gayi hai tu iss liye yeh bol raha hai.

Karan- arrey nahi rehta tu chhada malang. Aur tujhe shadi ki badi jaldi hai.

Abir- haan toh girlfriend ka topic kyun shuru kiya?? Mai sirf tujhse baat kar raha tha. Tu bata, tujhe excitement nahi ho rahi kya??? Matlab 6 mahine mein ussne itne khatarnaak atankwaadi pakde. Aur unse saara sach ugalwaya. Aisi ladki se milne ki excitement toh hogi hi na.

Karan- right. Waise 6 nahi 5. Woh dono last month pakde gaye the. Aur rahi baat excitement ki toh, excitement nahi par haan curiosity zaroor hai.

Abir imagines how the girl would be.

Next Morning.

Intelligence office.

A girl with black jeans and sleeveless top wearing black shades entered the office with full swag. Everyone present there was looking at her but she was totally unaffected and directly went to Vikrant's cabin where Abir, Karan and Manav were already present. Mishti entered.

Mishti- Good morning sir.

V- good morning. (To Abir, Karan and manav) officers, meet the intelligence officer, Dr. Mishti Maheshwari.

All 3 turned and were amazed to see her.

Abir (whispers in Karan's ear)- isne atankwaadi kaise pakde honge, yeh toh khud kuposhan (malnutrition) ka shikar hai.

Karan glares at him to keep quiet.

V- Dr. Maheshwari, yeh hai aapke teammates. Mr. Karan Rajvansh, aapke senior officer. Yeh Mr. Abir Rajvansh aur Mr. Manav Deshmukh. Ab mujhe jana hoga, kuch urgent hai. Mai tumhare liye hi wait kar raha tha. Aapka 5th team member bhi jaldi aa jayega tab tak aap inn se baat kijiye.

Mishti- sure sir. (Vikrant leaves.)

Karan (with a smile)- so, Ms. Maheshwari, welcome.

Mishti- thank you sir.

Abir- waise usually log smile kar ke thanks bolte hain aur tum frown kar ke bol rahi ho.

Mishti narrowed her brows but ignored Abir's comment.

Karan- sorry. Tum isski baaton mein dhyan matt do. Yeh aisa hi hai.

Mishti- mujhe interrogation ke liye jana hai. Chandu kahaan hai.

Abir- aao, mai le ke chalta hoon.

They were about to leave when someone came running inside the cabin and colided with Mishti and due to the push she directly fell in Abir's arms.

Tej- sorry sorry!!!

Abir makes Mishti stand upright. Mishti was Tej's senior in their previous office but inki banti nahi thi.

Tej (shocked to see Mishti)- tum!! I mean aap!!!

Mishti (angrily)- ya toh tum choron jaise aate ho ya tufaan jaise. Normal tareeke se nahi aa sakte kya??

Abir- tum dono ek dusre ko jante ho??

Tej (forwards hand for handshake)- my self Tej Mehta ji.

Abir looks at Tej's hand. Realising what he was doing, the hand which came for handshake, immediately went to his forehead to salute them.

Tej (saluting)- jai hind janab. My self Tej Mehta.

Mishti- aap khudko Mr. Mehta se introduce karye, mai chandu ke paas akeli chali jaungi.

Manav- par aap akeli?? Its dangerous. Woh kuch bhi kar sakta hai.

Mishti- mai bachchi nahi hoon. I can manage.

Karan- ok but aaj chandu yahaan nahi hai. Ussey kal laaya jayega toh abhi hum please kaal pari ka case discuss kar lein.

Mishti agreed and all left for Karan's cabin.

Abir- bahut hi angry type Chhokri hai. Isska naam Mishti pata nahi kisne rakha.
________________________

In the break, Mishti was checking chandu's case file but simultaneously was listening to the men's talks as well.

Abir- waise Tej, tumne intelligence kyun join ki??

Tej- sir ji desh ke liye kuch karna chahta tha, desh ke liye ladna chahta tha toh bas pakad li line. Par aapne yahaan aane ke baare mein kaise socha??

Karan- hum bhi desh ke liye kuch karna chahte the. Actually 9 saal pehle ek bomb blast mein humare papa guzar gaye toh phir dimaag mein aaya ke najane aise kitne bachon ke maa papa guzre honge to socha ke shayad hum kuch kar paaein.

Abir- mann mein soch liya tha ke poori koshish kareinge ke kissi aur ke baba aise na guzrein, har atankwaadi ko kharam kareinge.

Mishti- Atankwaadi khatam kar dene se atankwaad khatam nahi hota. Aur indian forces ko atankwaad mitaana chahiye, atankwaadi khud hi khatam ho jaeinge.

Tej- atankwaad failaata kaun hai ji??? Atankwaadi hi na, toh atankwaadi mita dene se aatankwaad toh mit hi jayega.

Mishti- indian forces mein kai officers mar gaye, kayi retire ho gaye aur kayi aaj bhi force mein hain. Woh log yahaan manjeere (musical instrument played in mata ka jagrata) bajane toh nahi aate honge, atankwaadi toh unhone bhi maare honge, phir abhi tak aatankwaad mita kyun nahi ya kam kyun nahi hua??

Tej was left tongue tied. He didn't have any answers. Karan and Abir were forced to think about Mishti's words and found her theory logical. They were impressed by her.





Precap:- Angry Mishti.

Farz Ya Mohabbat....Where stories live. Discover now