Mishti's Fear.

164 13 0
                                    

Mishti- ek baar ko koi Rajveer se bhi puchhe na ke Mishti ko kis se darr lagta hai toh usska jawab hoga kuch nahi. Par yeh sach nahi hai. Mujhe darr lagta hai.

Mishti- darr lagta hai. Par aam ladkiyon ki tarha kissi keede makode se, andhere se ya kissi insaan se nahi. Darr lagta hai toh kissi ko khone se. Jab meri family ka murder hua tha toh bahut buri tarha se hil gayi thi mai. Phir raj ki basti mein kissi couple ne accept kiya mujhe par woh gussa jo mere andar tha unn teeno officers ke liye woh ek din baahar aa gaya. 11 saal ki umar mein apni zindagi ka pehla murder kiya tha maine kyunke ek aurat mein mujhe meri maa dekhi aur uss sarpanch mein ACP...

Mishti- duniya mein kissi ki parwaah nahi thi. Kissi ko apni zindagi mein nahi laana chahti thi kyunke mai jaanti thi ke log yeh dekheinge ke mai kaal pari hoon, yeh nahi ke mai kaal pari kyun bani. Tumhare liye apna pyar realise kar liya tha maine par tumse door bhaagti thi bcoz mai tumhe apni life mein utni importance nahi dena chahti ke tumhe khone pe mujhe dard ho. Tumhara proposal reject kiya. Par tum thehre dheeth. Peeche hi padh gaye. Raj tak pahunch gaye.

Abir- Mishti. Jo tumne kiya woh natural tha. Jo baat mai sunn nahi paa raha tha, woh tumne 10 saal ki umar mein hote huye dekhi. Mai usske liye kabhi tumse naraz nahi ho sakta.

Mishti- toh uss raat chale kyun gaye the??

Abir- kyunke mai kuch samajh nahi paa raha tha, tumhari story sunn ke tumse nazrein nahi mila paa raha tha. Heartless jo kaha tha tumhe. Sorry.

Mishti- it's ok. Raat gayi baat gayi.

Abir- tumne bahut kuch saha hai, par ab aur nahi. Mai tumhe tumhari life ki har khushi dena chahta hoon. Tumhe jo achha lagega, mai woh sab karne ke liye taiyaar hoon.

Abir- tabele mein rehti thi par ab mehlon ki rani bana ke rakhunga. Bachpan mein khilono se khelne wale haathon mein mehnat ke nishan the, ab tumhe tumhara bachpan dena chahta hoon. Tumhara koi apna nahi tha, mai tumhe ek poora parivaar dena chahta hoon. Tumhari life mein hasne ki koi wajha nahi thi, mai har cheez ko tumhari khushi ki wajha banana chahta hoon. Jo tumhe achha lagta hai sab tumhe doonga.

Mishti- achha?!?! Achha toh mujhe woh chaand bhi lagta hai. Woh bhi laa doge??

Abir- tumhare kadmon mein laa ke rakh doonga.

Mishti- toh laa ke dikhaao.

Abir- bas itni si baat. Abhi lo.

Abir jumped at his place to catch the moon. He caught it and threw it down on the earth. Mishti's gaze was following Abir's hand.

Abir (signing down, towards left side)- woh raha. Tumhara chand.

There was a pond of water which showed the reflection of the moon. Mishti was deeply touched by Abir's ethics. She emotionally looks towards him. A lone tear escapes her eye. Abir caught it in his hand before it could fall down.

Abir- yeh jo moti (pearls) hain na, bahut keemti hain, mere liye heeron (diamond) se jyada keemat hai inki. Inhe aise waste matt karo.

Mishti- hmm. Achha chalo. Ab iss chand ko wapis bhej do.

Abir- jaisi aapki marzi sarkaar.

Abir looks around an found a broken bucket. He picked it up and came back. Mishti was confused. Filling pond's water in the bucket, Abir threw it (water, not bucket) up in the sky.

Abir (signing towards the moon)- woh gaya tumhara chand. Aur ab mere chand bhi jaane wala hai, usska ghar jo aane wala hai.

Mishti- tumhara chand??

Abir- hmm.

Mishti- kaun??

Abir- tum.

Mishti blushes.

Mishti- tum hamesha se hi aise ho ya aaj koi special muhurat nikala hai romantic hone ka.

Abir- special muhurat hi samjho. Aaj mere pyar ne accept kiya hai ke woh bhi mujhse pyar karti hai.

Mishti- waise ek baat bataao, tum uss blast se bache kaise??

Abir- kyunke uss raat, gaadi beshaq meri thi par uss waqt gaadi mein mai nahi tha. Uss din...

Flashback.

Evening.

Abir- haan aa jaunga ghar. Abhi mujhe kaam hai. Bye.

Karan- achha sunn!! Jaldi aa jana. Weather forecast mein bataya hai, aaj raat bahut tez toofaan aane wala hai.

Abir- haan theek hai.

Abir was in hurry so he didn't hear Karan and ends the call.

Garrage.

Abir comes out of the car.

Abir- bhaiya ghaadi ke tyre mein hawa kam hai, bhar do.

Worker- abhi aaya. (To person already present there) sahab yeh gaadi mai aa ke dekhta hoon, time lag jayega. (Leaves)

The person (turns to worker)- par meri flight hai...

Abir (seeing the person)- Shaurya!!

Shaurya- Abir!! Hi!!

Shaurya and Abir were school friends. They both hug each other.

Abir- kaisa hai tu??

Shaurya- mai achha hoon, tu bata.

Abir- ekdam first class. Tu yahaan??

Shaurya- haan yaar. Actually, bhai ke paas London ja raha tha, aadhe ghante mein flight hai meri aur yeh gaadi kharaab ho gayi. Pichhle ek ghante se yahaan khade hain, theek hi nahi ho rahi, upar se auto bhi nahi mil raha.

Abir- tu ek kaam kar meri gaadi le ja. Mai teri gaadi theek karwa doonga.

Shaurya- arrey nahi nahi isski...

Abir- nakhre matt maar, chup chaap le ja. Mai bhaag nahi jaunga teri gaadi le ke samjha.

Shaurya- arrey aisi baat nahi hai. Tu kyun pareshaan hoga.

Abir- mai pareshaan nahi hounga. Tu le ja aur jaldi kar, verna flight nikal jayegi. (He gives him keys.)

Shaurya- thank you yaar. Bye.

Abir- bye.

Shaurya- chalo manoj (driver).

Shaurya and manoj left. After half an hour Abir got a message from shaurya that he has reached on time and sent him manoj's no. to know about his car. Here shaurya's car was in no mood to get fixed. After about one and a half hour, the car got fixed and Abir left. The weather started being stormy. It was 8 o'clock in the evening. Abir called manoj. He told that he is at a dhaba, stuck due to the storm but soon will leave. Soon the networks also died. It was getting late so Abir decided to go towards the dhaba.

End of flashback.

Abir- toh ladies staff ka uss side jana manha tha par mujhe unhone nahi roka, aur jab mai wahaan pahuncha toh... uss gaadi mein manoj tha. Shaurya ka driver. But seriously, itna pyar!! Mujhe nahi pata tha.

Mishti- mujhe bhi kahaan pata tha.

Both smile looking at each other.












Precap:- Mishti proposes Abir.

Farz Ya Mohabbat....Where stories live. Discover now