Kirti's Fury.

160 15 2
                                    

 Next Morning.

Karan and Abir came to intelligence office. Mishti was also present there.

Abir (to Mishti)- kahaan thi kal raat tum, tumhara phone kyun band tha??

Mishti- kharaab ho gaya tha.

Abir- aisi kaunsi kharaabi hai tumhare phone mein jo sirf raat ko aati hai?? Maine 2-3 baar pehle bhi call kiya tha. Tab bhi band tha.

Karan- tu usske phone ke peeche kyun pada hai?? Woh keh rahi hai na kharaab tha.

Mishti- jab se aapke bhai ko mere liye sab realise hua hai, tabse issey mere pal pal ki khabar chahiye hi hoti hai. Tum mere phone ki chhodo, yeh bataao ke Inspector Prashant ki kabar mili??

Tej, Karan and Abir (shocked)- what!!! Kabar!!!!

Mishti bit her tongue which slipped at wrong time.

Mishti- kabar nahi. I meant to say Khabar.

Just then, Manav came there.

Manav- Jai hind sir. Sir, humein A.C.P. sir ke ghar jana padega.

A.C.P.'s house.

The scene was again horrifying. Inspector Prashant's body parts were packed in a red coloured suitcase was and left outside A.C.P. Dig Vijay's house. His maid spotted the bag and she immediately informed the security and the security, upon seeing what's in the bag, called intelligence.

Abir found a letter on the bag. He reads the letter aloud.

Letter-
SECOND STICK DOWN.
A.C.P. Dig Vijay, dekh le apni maut ka manzar aur jee le apni zindagi ke aakhri kuch din. I'm sure, tum darey toh nahi hoge apne saathi ko aise dekhi ke. Aadat hogi na. Yeh dard tumne mujhe diya tha. Jo tuney kiya, wahi tere saath hoga. Ab sochta reh ke tere saath kya hoga.
-Kaal Pari.

DV- yeh hai aap logon ke security arrangements?? 2 officers maare gaye hain. Aur kitne marwaaoge.

Tej- o sir ji, aapke baad na sab kuch band ho jana hai. Kaa...

Tej stopped speaking seeing everyone glaring him.

DV- koi report hai?? Kaal pari ka kuch pata chala??

Karan- yeh kaal pari bahut chalaak hai. Koi saboot nahi chhodti. Lekin ek baat pakki hai. Yeh kissi cheez ka badla le rahi hai, par kis cheez ka??

Manav (to Dig Vijay)- sir bura matt maniyega par kya aap teeno ne kissi ke saath aisa kiya tha, jaisa kaal pari aap logon ke saath karna chahti hai??

A.C.P.'s eyes immediately widened hearing that.

Mishti (in mind)- ab chup kyun hai?? Bol.

ACP (composing himself)- nahi. Kissi ko bhi nahi.

Abir- koi baat nahi sir. Hum dekhte hain. (All leave.)

Abir- kaal pari ke kuch clues nikalne ki try ki thi kal raat, par woh file ghar pe reh gayi. Mai le aata hoon.

Karan- haan chal mai bhi saath chalta hoon. Kirti se bhi mil loonga. Kahin news dekh ke dar na jaaye. Inspector Rawat wali news dekh ke bhi darr gayi thi woh.

Mishti- sir mai bhi saath chalun?? Actually, Kirti ji ke kapde lautaane the aur mere kapde bhi wahin par hain aur kal subha mai jaise wahaan se nikal aayi woh...

Karan- its ok. Koi baat nahi. Maa ki yaad aayi hogi na. Chalo phir. Your most welcome aur waise bhi ab toh mujhe pata chal gaya hai ke Kirti ko tumhari company acchi lagti hai toh ab toh tumhe waise bhi ghar aana padega. Chalo.

Farz Ya Mohabbat....Where stories live. Discover now