Second Stick Down.

148 14 2
                                    

Next Morning Mishti came out of her room and saw everyone at the dining table.

Mishti- I'm sorry mai late...

I- koi baat nahi beta. Aao baitho.

Mishti- nahi aunty ji, late toh hua hai, 8 baj gaye hain aur mai...

[Don't get shocked reading that 8 o'clock is very late. At my home maximum time till what we can sleep is till 6 o'clock, not more than that. That's why I've written that. 😀😀]

I- arrey beta, tum toh uth ke taiyar bhi ho ke aayi ho. Itna waqt jayaz hai. Meri woh dono kumbhkaran betiyaan abhi tak so rahi hain (Calls out loud) Kuhu!!!! Ketki!!!! Jaldi uth ke aa jaao beta, subha ho gayi hai.

Mishti smiles seeing this and her smile was a relief to Abir's eyes.

Kirti- aao baitho, hum khaana lagaate hain.

Mishti- mai help karti hoon.

I- usski zaurat nahi hai beta, maine sab kaam kar liya hai. Tum bas baith ke khana khaao. Yeh lo. (Gives her food.)

Mishti's smile vanished seeing what was given to her to eat.

Mishti- Ghee shakkar??

Ishwari- kya hua pasand nahi hai?? Ghee khana achha hota hai. Karan aur Abir ko toh bahut pasand hai. Kha ke dekho, pasand aayega. Yeh Kirti bhi nahi khaati thi. Badi mushkil se khaane lagi hai. Tum bhi kha lo aur achhe se khaana. Dekho toh kitni dubli ho. Aisa lagta hai ke kai saalon se khaana nahi khaya. Chalo khaao.

Mishti smiles. She was about to take a bite but was not able to eat. She was getting emotional and everyone noticed that.

Ishwari- kya hua beta?? Kuch...

Mishti- Woh bachpan mein maa khilaati thi ghee shakkar ke saath roti (chapatti). Bahut sharaarti hoti thi mai. Maa se kehti thi ke mujhe nahi khaana, mai moti ho jaungi aur maa hamesha kehti thi ke "khaa le, saas sirf taanhe (taunts) hi khilayegi. Maa ke ilawa koi aur ghee shakkar nahi khilayega." Lekin tab maanti nahi thi. Aaj koi ghee shakkar khila raha hai par mai kha nahi paungi. Iss liye nahi ke mai moti ho jaungi, iss liye ke aaj jab itne saalon baad yeh khaungi toh maa ki bahut yaad aayegi aur maa kahegi ke yeh ladki mujhe swarg mein bhi chain se jeene nahi deti. (Her tears were threatening to come out and she didn't want to look weak crying in front of others) Excuse me.

Mishti leave saying that. Everyone was sad for her, listening to her. Kirti was thinking how come Mishti's mother also used to tell the same thing her mother used to tell her and her sister but later thought maybe all the mother say same thing to their daughters.

I- bechaari bachchi.

Karan- maa aaj humein bhi jaldi jana hai, zaruri kaam hai.

I- theek hai, phir mai dabbe pack kar deti hoon dopeher (afternoon) ko kha lena aur yeh Mishti ke bhi khila dena abhi, mai sabzi daal doongi.

Saying this ishwari went inside the kitchen. Kirti goes to Karan.

Kirti- aaj jaldi??

Karan- haan woh aaj Inspector Prashant bahar ja rahe hain toh unki security ka khayaal rakhna padega na iss liye. (Kirti was in some deep thoughts) kya hua??

Kirti- Inspector Rawat, Inspector Prashant aur A.C.P. Dig Vijay. Yeh naam jitni baar bhi tum log lete ho na, pata nahi kyun aisa lagta hai ke maine yeh naam pehle sune hain.

Abir- ho sakta hai jo baatein tumhari memories mein nahi rahi, tab kahin suna ho.

Kirti- hmm. Maybe. Par pata nahi kyun, yeh naam sun ke ek ajeeb sa dar lagta hai.

Karan- Kirti... (he holds her hands and sensed that they are very cold) yeh tumhare haath itne thande kyun hain.

Kirti- pata nahi but I'm fine.

Here, now Abir was in deep thoughts.

Raj- uss ek raat ne usski zindagi palat ke rakh di.

Mishti (with rage in her eyes)- agla pichhla janam kisne dekha hai sir?? Insaan apne karmon ke phal issi janam mein bhog leta hai.

Karan (reading kaal pari's letter)- JAISI KARNI WAISI BHARNI.

Har woh insaan kutte ki maut marega jiski power ne seedhe saadhe logon ko at atankwaadi ban-ne pe majboor kiya.

Kirti- yeh naam sun ke ek ajeeb sa dar lagta hai.

Abir (in mind)- kahin yeh teeno officers, Kirti aur Mishti ka past aur kaal pari kissi tarha related toh nahi??

Suddenly he felt his body being shaken.

Karan- Abir kahaan khoya hai?? Mai kab se bula raha hoon. Jana nahi hai kya??

Abir- haan haan chal. (Both leave.)

Karan- aane ka mann nahi kar raha tha mera. Kirti ki bahut fikar ho rahi hai.

Abir- kyun??

Karan- aaj usski baatein nahi suni?? Zaroor usske past mein kuch toh bura hua hai. Aadhi aadhi raat ko bhi darr darr ke uthti hai, kehti hai ke kissi ki cheekhein sunti hain, khoon dikhta hai. Pehle usske past se koi matlab nahi tha mujhe lekin ab mai jaan-na chahta hoon, mai ussey aise pareshaan nahi dekh sakta.

Abir again went into his thoughts.

Raj- nadi ke kinaare mili thi, khoon se lath path.

Apni behen ko dard se bachaane ke liye apne aap ko dard de rahi hai.

Jis raat ne Mishti ki zindagi dukhon se bhar di, ussi raat ke baare mein apni behen ko bata ke usski khush-haal zindagi kharaab nahi karna chahti thi.

Abir (in mind)- bura toh hua hai. Kuch bahut bura, par kya, isska jawaab sirf Mishti de sakti hai, lekin uss se puchhu kaise??

Karan, Abir and Mishti reached the ground where the party for release of the new book was to be held, where inspector Prashant was invited as chief guest. Everything was under control. No one was allowed to go in without a proper checking. Phones were also not allowed inside. Except Inspector Prashant, his security and the intelligence officers, no one had their phones with them. Only Inspector Prashant's security was allowed to take their guns inside. Even intelligence officers' guns were also deposited on the main entrance (and of course, with proper safety measures) a close eye was kept on everyone's actions. Everything went well. Inspector Prashant gave a speach on the stage. Arrangements were all good. Everyone was given juice to drink, something or the other to eat. Now the writer of the book was giving the speach. In between that speach, Inspector Prashant went to washroom (of course with his full baraat of security along with him.) To avoid any danger for him, anyone already present in that washroom was sent out and now whole washroom was empty for him. On other hand, the intelligence officers were doing their duty. Just then, a small stone wrapped up in paper hits Tej's foot.

Tej (angry)- oye kaun aa bewakuf!!!

Hearing Tej, Karan immediately went to him.

Karan- kya hua Tej?? All ok??

Tej- o sir ji pata ni kaun khasma khaana yeh patthar maar ke gaya hai.

[By the way khasma khaana is word used in punjabi just like we use idiot in English and paagal or bewakuf in hindi.]

Karan sees a paper wrapped on the stone. He immediately unwrapped it and what he saw made him confused.

On paper- SECOND STICK DOWN.





Precap:- kaal pari's full proof plan.

Farz Ya Mohabbat....Where stories live. Discover now