CHAPTER THREE

1.9K 168 13
                                    

They reached home......

kaka : arey aa gaye tumlog.......bahu aaj itni der kaise ho gayi.....

bon : woh patibabu ke saath bazaar gayi thi......

kaka : accha.....

bon : ksj main haath muh dhokar aati hu......

kaka : haa bahu jao aaj humne koyeli se tumhara pasandida khana banvaya hai......

bon : ji ksj.....

she went to her room......

kaka : anirudh yeh bahu itni bujhi bujhi si kyu lag rahi hai.......nalayak kya kiya tune.......

ani : woh mujhse ek galti ho gayi......

kaka : pata tha hume aur kya hi ummid rakh sakte hai tumse......nalayak kya kiya bata......

he narrated everything.......

kaka : hey dugga maa kya kare hum iss bagad bille ka......

ani : kaka......(whines)

kaka : arey kya kaka......sumati behen ki tabiyat thik nahi hai isiliye bahu ki thakuma ka phone aaya tha ki agar bondita kuch dino ke liye waha aa sakti hai ya nahi......bahu mana kar rahi thi par humne hi kaha ki chuttiyan hai toh ho aao.......phir mauka mile na mile.......anirudh woh ek shishya ke saath saath ek beti bhi hai........har waqt bass humari bahu ko padhai ki daud mein khada kar dete ho.......kya humari bahu insaan nahi hai.......haq nahi hai usse apni hi maa se milne ka.......

anirudh was already guilty.......trilochan's words added more into his guilt......

ani : sorry kaka main mana lunga aap chinta mat kijiye.......

kaka : yehi tumhare liye accha hoga warna tumhari khair nahi......

he nodded and left.......

whole time anirudh was trying to talk with bondita but she was ignoring him........he got dejected......

At dinner time.......everybody was sat......

bondita served the dinner......she was looking dull.......

batuk : kya hua baudi......tum itni udaas kyu lag rahi ho.....!!!

kaka : apne bhai se pucho......

everybody understood what might have been happen.......

batuk : arey baudi tum kyu udaas hoti ho tumhe pata hai na dada gusse ki dukaan hai......

everybody chuckled while anirudh glared him.......

she went to kitchen.......

kaka : dekho toh humari phool si bahu ka chehra kitna murjha gaya hai sab iss nalayak ki wajah se........

batuk giggled......

binoy : hua kya hai daa......

he narrated everything......

binoy : anirudh......yeh kya tarika hai baat karne ka.......

som : dada.....

ani : som please sab ne sunaya hai ab tum bhi sunaoge......aap log chinta mat kijiye mujhe pata hai mujhe usse kaise manana hai.....!!!!

they nodded......After dinner everybody retired into their rooms......

In room......

Bondita was reading the book given by raj......suddenly there was a knock on door......

she opened and found anirudh standing.....she was shocked because anirudh never comes in her room at night......

ani : andar aa sakta hu.....

she nodded.....he came inside.......

ani : bondita I am sorry......mujhe maa ke baare mein pata nahi tha aur tumne bhi mujhe nahi bataya.......

bon : agar main aapko maa ke baare mein batati toh hi aap mujhe krishnanagar jaane dete.....kya main aise hi apne pariwar se milne nahi jaa sakti........

ani : aisi baat nahi hai bondita tum jaa sakti ho......woh bass main.......

bon : rehne dijiye patibabu.......mujhe aapse koi safai nahi sunni.......maine aapse pucha aapne mana kar diya baat khatam ho gayi.......ab iss baare mein koi baat nahi hogi.......

ani : bondita mujhe bass tumhari padhai ki chinta ho rahi thi isiliye......

bon : nahi patibabu yeh bahana bohot purana ho gaya hai kuch aur sochiye......jab bhi aap mujhe iss tarah daat te hai humesha yehi kehte hai......lekin aaj nahi......aap jab daat rahe the naa toh mujhe aapki aankho mein kuch aur hi nazar aa raha tha mujhe yeh toh samajh nahi aaya kya par woh meri padhai ki chinta nahi thi......kya ab main apne hi pariwar se nahi mil sakti......unse milne ke iye bhi mujhe aapse puchna padega......

ani : nahi bondita aisa kuch nahi hai......I am sorry......mere kehne ka woh matlab bilkul nahi tha......

bon : patibabu mujhe neend aa rahi hai......mujhe sona hai agar aap yaha se jayenge toh main so sakti hu.......

anirudh was shocked......he was not believing on his ears.......his bondita indirectly told him to get out of the room.......he nodded and left.......

Next morning.......bondita got ready for school......

ani : batuk bondita tum dono ko main chod deta hoon......

before batuk can say anything......

bon : nahi patibabu.....aap jaiye waise bhi hume pehle raj ke ghar jaana hai phir waha se hum saath school jayenge........

listening raj's name anirudh got angry........he was burning in jealousy......everybody can see that jealous face of anirudh and smirked internally.........

ani : waha kyu jaana hai directly school jao.......

bon : usse ek zaruri kaam hai humse isiliye jaa rahe hai......chalo batuk.....aate hai ksj......

kaka : thik hai bahu.......

she left with batuk.......everybody left......

som came to anirudh......

som : kya hua dada chehre ke barah kyu baje hai......

he glared him......

som : dada yaha aankhe dikhane se kuch nahi hoga.......aap sach swikar kyu nahi kar lete......

ani : kaunsa sach......

som : aaiye mere saath main batata hu......

ani : kaha.....?

som : chaliye toh.....!!!!

Anidita : Match Made In HeavenWhere stories live. Discover now