CHAPTER FIFTEEN

1.4K 154 21
                                    

Bondita and Aashita were talking in room.......suddenly they heard sampurna shouting from hall......

bon : yeh sampurna didi kyu chilla rahi hai......

aas : jaake dekhte hai....!!!

they went down......everybody came out listening her voice......

kaka : ab kya hua kaunsi aafat aa gayi jo aise chilla kar sabko bula rahi ho......

bon : kya hua didi......

sampurna : bihari......koyeli.......

ani : hua kya hai sampurna.....

sampurna : abhi pata chal jayega ruko.......

bihari and koyeli came......

bihari : aapne bulaya......

sampurna : mere sone ke kangan kaha hai bihari.......

som : sampurna yeh sawal tum bihari se kyu puch rahi ho tumhare kangan hai tumhe pata.......

sampurna : maine har jagah dhund liya mujhe kahi mil nahi rahe hai isiliye pucha kahi kisine chura toh nahi liye.......(she said looking at bihari and koyeli)

bon : sampurna didi......kuch toh soch samajhkar boliye aap aisa bol bhi kaise sakti hai......

kaka : buddhi bhrasht ho gayi hai tumhari binoy samjhao apni patni ko.......

binoy : sampurna bihari aur koyeli aisa nahi kar sakte......

ani : sampurna aisa ghatiya ilzaam inn dono par lagaya kaise tumne.......

bihari : malik humne kuch nahi kiya.......

som : shaant ho jao bihari hum jaante hai tum dono aisa nahi kar sakte......

sampurna : toh thik hai talaashi le lete hai kuch nahi kiya na toh darr kaisa......

bon : nahi hogi talaashi........(loudly)

she came in front of her.....

bon : bass sampurna didi kabse sunn rahi hu ab nahi......kuch toh sochiye bolne se pehle kya bol rahi hai kiske saamne aur kiske liye bol rahi hai.......bihari babu koyeli didi saalo se rc haweli mein kaam kar rahe hai inki imaandari ka saboot aaj tak inse ksj ne bhi nahi maanga.......jinhone aaj tak mujhse bina puche iss ghar ka paani bhi nahi piya woh chori karenge........sampurna didi sabko ek nazar se nahi tolna chahiye.........mujhe nahi pata dusre gharo mein kya hota hai kya nahi par inn dono par mujhe pura vishwas hai.......mere pariwar ka hissa hai dono......

sampurna : bondita naukaro ke liye tum apni behen ko samjha rahi ho......

Bondita losses her calm and slapped her hard......Everybody was shocked to core......everybody controlled their laughter.......

Sampurna : inn naukaro ke liye tumne mujhpar haath uthaya.....!!!!

bon : naukar nahi hai.......aaj tak ksj ne bhi inhe naukar nahi bulaya toh aap hoti kon hai inhe naukar bulane wali.......yeh humare liye kaam karte hai humari madat karte hai......yeh mat bhuliye didi ki aap bhi pura din inpar nirbhar rehti hai......aapke har chote se chote kaam ke liye aapko inki zarurat padti hai.......jitna mol aapke unn kangano ka nahi hoga utna mol inka hai humari zindagi mein......iss ghar mein kisi ka din inke bina shuru nahi hota......inhone apni puri zindagi de di iss ghar ko iss ghar ke har sadasya ko yeh apna maante hai ek baar ke liye yeh bhuke reh lenge par humare vishwas ko todkar apna pet nahi bharenge.......bihari babu ko mere liye mere baba ke samaan hai aur koyeli didi meri badi behen jaisi hai.......yeh dono kabhi aisa kuch nahi karenge jisse mujhe taklif ho.......jabse main iss ghar mein bahu bankar aayi hu har kadam inn dono ne mera saath diya hai......tab bhi jab pura ghar mere khilaaf tha......inke kisi bhi saamaan ki talaashi main kisi ko nahi lene dungi......atmasamman sabka hota hai......

bihari : rehne dijiye na bahurani ji......hume koi dikkat nahi hai apna saaman dikhane mein......

bon : mujhe hai......aur aap didi aapke kangan dhund denge hum aur agar nahi mile toh main apne de dungi......

everybody was feeling proud of her.......sampurna left feeling insulted........

bihari : shukriya bahurani ji.....

bon : bihari babu agar hum sacche hai toh hume kisi se nahi darna chahiye dugga maa se bhi nahi aur khud ke atmasamman ke liye ladna sabko aana chahiye......yeh baat aap dono humesha yaad rakhna......

they nodded......

bon : bihari babu aap zara ghar mein dhudiye mile toh bataiyega.....aur koyeli didi aap baaki logo se puchiye unhone dekhe hai kya kahi lekin aise puchiyega ki unhe aisa na lage ki hum unpar shak kar rahe hai.........

they nodded and left......

kaka : binoy aaj jo hua thik nahi hua maana ki bihari aur koyeli iss ghar mein kaam karte hai par aise unpar chori ka ilzaam lagana thik nahi hai.......

binoy : aap chinta mat kijiye main samjhaunga daa.....

kaka : har baar yehi kehte ho.......

binoy left as he know there is nothing to argue......

kaka fell on couch with thud......everybody ran to him.....

ani : kaka thik hai na aap.......

aas : main paani lekar aati hu.....

kaka : rehne do bahu mat lao paani.......ab dugga maa apne pass bula le toh accha hai.....

all : kaka/kakasasurji........

kaka : toh aur kya kahe hum tum sab hi batao......pata nahi woh kaunsi ashubh ghadi thi jab tumhari behen ke kadam iss ghar mein pade........hum aaj bhi woh din nahi bhul sakte jab uski wajah se tum dono ko apna hi ghar chodkar jaana pada tha......humara pariwar bikhar gaya tha.......hume aaj bhi raat ko darr kar jaag jaate hai aur tum sabko tumhare kamre mein dekhne jaate hai ki kahi kisi ki buri nazar se humare baccho ko koi nuksaan na pohocha ho.......humare jaane ke baad kya hoga tum sab ka.....

bon : bass bohot bol liya kuch nahi hoga aapko.......

ani : haa kaka aur kaka jab tak hum sab saath hai humare pariwar ko koi nahi tod sakta.....hum aisa kabhi nahi hone denge.......

aas : ksj dida kehti hai ekta mein bohot takat hoti hai koi ek lakdi ko tod sakta hai par lakdiyon ke ghattar ko todna aasan nahi hai aur jab tak sab saath hai hume kisi ka darr nahi hona chahiye.......

som : haa kaka maine baudi se bhi kaha tha aur aapse bhi keh raha hu sampurna humara kuch nahi bigaad payegi ab......

kaka : tum sab hum se ek wada karoge......?

they nodded......

kaka : tumlog kabhi bhi ek dusre ke liye koi dhwesh nahi paaloge kyuki tumhare beech ki choti si galatfehmi ka fayda uthakar woh iss ghar ki khushiyon ko jala degi......humare jeete jee hum apne pariwar ko tut ta hua nahi dekh payenge......

all : hum wada karte hai kaka/ksj.......

batuk : kaka main chota zarur hu par apne pariwar par aanch nahi aane dunga......

They all hugged him......

kaka(mind) : hey dugga maa humare saare baccho ko humesha aise hi khush rakhna......

Anidita : Match Made In HeavenWhere stories live. Discover now