As suggested by anirudh somnath thought to talk with aashita so next day he went to her house and requested her parents to take aashita with him they agreed.......he took her to the coffee house......
som : aashita coffee piyogi.....
she nodded......he ordered coffee for them.......waiter came with coffee......
som : aashita mujhe tumse ek bohot zaruri baat karni hai isiliye yaha laya hu.......aashita hum mushkil se 2 ya 3 baar mile hai woh bhi baudi ke saath ek dusre ko thik se jante tak nahi hai.......main jaanta hu shaadi bohot jaldi ho rahi hai maine kaha toh tha ki thoda ruk jaate hai par.....khair aashita tumhare mann mein agar mujhe lekar koi bhi uljhan hai toh be jijhak mujhse kaho......apni mann mein kuch bhi mat rakhna......
aashita : sach kahu toh bondita aap sab ke baare mein baate karti rehti hai waise toh main sab jaanti hu sabke baare mein aapke baare mein bhi.....
som : kisi aur se jaan ne mein aur khud se jaan ne mein fark hai aashita.......aashita sach kahu toh maine aaj tak kabhi shaadi ke baare mein nahi socha aur ab achanak shaadi ho rahi hai.......aashita hum dono ke hi ek dusre ko waqt dena hoga I mean......
aashita : aapko koi bhi safai dene ki zarurat nahi hai aur aap bilkul sahi keh rahe hai main aapki baat se puri tarah se sehmat hu......
he smiled feeling relaxed.......
aashita : agar apne dil ki baat karu toh mere mann mein koi doubt nahi hai iss shaadi ko lekar aur jo thodi bohot nervousness thi woh bhi aapse baat karke durr ho gayi......pura vishwas hai mujhe aap par......
som : aashita tum aur baudi kabse dost ho......
aashita : 4 saalo se......jab main calcutta se yaha aayi thi......aapko pata hai humare school mein jitni bhi ladkiya hai na woh sabhi bondita ki bohot izzat karte hai pyar karte hai aur inspiration maante hai usse.......aaj bhi school mein ladkiya hai par bohot kam humare class mein sirf main aur bondita hi ladkiya hai aur koi nahi......agar pure school mein dekhne jao toh aapko thik se 50 ladkiya bhi nahi milegi......
som : badlaav dhire dhire hi aata hai asshita aaj 50 hai samay ke saath sankhya apne aap badh jayegi........
aas : hmm......
som : chale ab.......
she nodded.....
he dropped her to her home and left.......
*********************************************************************************************************************************************************************************
Anirudh came to room and saw bondita studying........whole bed was covered with books.......
ani : bondita koi bhi madat chahiye ho meri mujhse kehna.......
bon : patibabu saari taiyari toh ho hi gayi hai bass thoda darr lag raha hai......
he laughed and sat beside her.......
ani : darr woh bhi tumhe......tumhe kabse darr lagne laga.....haa ek baar batuk mujhse kahe ki usse darr lag raha hai toh baat samajh mein aati hai.......
bon : darr exam ka nahi hai patibabu......
ani : phir kis baat ka darr hai......
bon : sampurna didi.......
ani : sampurna usne phir se kuch kiya tumhare saath......kya kiya bondita batao main abhi.....
bon : nahi patibabu unhone kuch nahi kiya par......
ani : kya hua bondita kis chiz ka darr hai tumhe......
bon : patibabu sampurna didi ne kai baar humare rishte ko todne ki koshish ki hai humne unki har koshish ko asafal kiya hai aur woh isiliye kyuki hum dono ko ek dusre par bharosa hai......hum itna jaante hai ek dusre ko ki hum ye samajh paaye ki hum kya kar sakte hai aur kya nahi.......par som dada aur aashita ka kya......patibabu main apni behen ko bohot acchi tarah se jaan gayi hu ab woh itni khudgarz ho gayi hai ki hum sabke beech daraar daalne ke liye woh kuch bhi kar sakti hai........jaise iss ghar mein aate hi unhone aapke aur ksj ke beech daraar daal di thi sasurji ko aapke khilaaf kar diya tha.......dugga maa ki itni kripa hai patibabu ki woh aaj tak aap tino bhaiyo ke beech daraar nahi daal paayi unka bass chale toh woh yeh bhi karle.......iss ghar ko todne ke liye woh kuch bhi kar sakti hai kisi ka bhi istemaal kar sakti hai........jabse som dada ki shaadi ki baat chali hai tabse main unhe dekh rahi hu woh bilkul khush nahi hai kahi unhone humari tarah som dada aur aashita ke beech bhi galatfehmiyaan khadi kar di toh.......
ani : bondita tum bilkul chinta mat karo ek baar uski wajah se humara pariwar bikhar chuka hai main phir se aisa kuch nahi hone dunga.......
som : haa baudi dada sahi keh rahe hai......
they saw som and batuk.....
ani : som.....batuk.....
som sat beside her and held her hand.....
som : baudi sampurna ko jitna humare pariwar ko todna tha woh tod chuki hai ab woh chahe kitni bhi chaale chal le hum sab uski kisi bhi chaal ko kamyab nahi hone denge......dekhne do usse sapne iss ghar ko todne ke par uska koi sapna pura nahi hone denge.......
batuk : haa baudi aur humari chinta toh kijiye hi mat kisi aire gaire mein itna dum nahi hai ki woh hum tin bhaiyo ko alag kar sake.......
som : aur rahi baat mere aur aashita ki toh baudi toh main aapse wada karta hu ki main sampurna ka saaya bhi humare rishte par nahi padhne dunga karne do usse jo karna hai.......
ani : haa bondita aur jitna main aashita ko jaanta hu woh ek bohot samajhdar ladki hai aise hi kisi ki baato mein aane walo mein se nahi hai.......daro mat......
four of them had a group hug.......
trilochan was standing outside of their room listening everything had tears in his eyes........
kaka : dugga maa humare baccho ko aise hi humesha ek saath rakhna.......
he left......
YOU ARE READING
Anidita : Match Made In Heaven
RomanceAnirudh and bondita didn't nullified their marriage....... bondita was now a 17 year old beautiful teenager studying in her last year of school...... anirudh was now a 26 year old successful barrister....... will they realise their love for each oth...