Aashita's father came to pick her......
banerjee : nomoshkar zamindaar babu......
kaka : nomoshkar.....!!!
bon : bethiye na kaka main chai naashta lekar aati hu......
banerjee : nahi bondita aaj nahi der ho rahi hai woh aaj maa ko dekhne ke liye doctor ghar par aa rahe hai isiliye jaana hoga......
ani : kaka humari koi zarurat ho toh bataiyega......
banerjee : zarur.....chale aashi.....
aas : ji baba......
she touched trilochan's feet......
aas : chalti hu ksj.....
kaka : dhyan rakhna apna.....
she hugged bondita......
aas : dhyan rakhna apna aur zyada pareshan mat hona sab thik ho jayega.......dugga maa hai na.....
she nodded with a smile......
aas : bye dada.....
ani : bye.....
aas : bye som ji.....
som : bye......
batuk : sabko bola mujhe toh bol......
aas : woh kya hai na unimportant logo par main dhyan hi nahi deti......
everybody laughed loud......
batuk : sab mera hi mazak udaate hai main kuch bolta nahi isiliye koi mujhe seriously nahi leta.....
banerjee : aashi yeh galat baat hai tumhara devar hai aise baat karta hai koi.....
aas : haa baba aapne bilkul sahi kaha galti ho gayi.....yaha aana batuk....
batuk smirked at everyone and went to her......
she holds his ear and twisted it.....
batuk : aahhh.....chod de meri maa.....
everybody laughed......
ani : mat chodna aashita......
som : haa yeh aise hi sidha rehta hai.....
batuk : aap dono mere bhai ho ya dushman......baudi aap toh kuch bolo.....
bon : haa aashita kaan chod de uske badle 2-3 thappad laga de chalega......
batuk : baudi.....
everybody bursted out in laughing.....aashita left his ear.......he pouted angrily......
banerjee : aashi chalo der ho rahi hai....
she nodded......they left......
At night.....In room....
anirudh entered and saw bondita standing near window......
ani : kya hua bondita chalo sona nahi hai.....?
bon : neend nahi aa rahi patibabu.....!!!!
ani : kyu....
bon : aaj jo bhi hua woh.....
ani : bhul jao bondita......
bon : kaise bhul jau patibabu.......aaj ka din kitna accha tha aashita bhi aayi hui thi itne dino baad hume thoda waqt mila tha baate karne ka aur sampurna didi ne......mujhe yeh samajh nahi aata unhe meri khushiyaan bardasht kyu nahi hai.......jab bhi khush hoti hu woh kuch na kuch aisa zarur karti hai.......
he took her to his embrace......she hugged him tightly........she cried in his arms......anirudh was already angry on sampurna for today's incident and bondita's cries were adding fuel to his anger......he tried to detach her but her hold was tight.....
ani : bondita......!!!!
she realised that she hugged him.......she immediately broke the hug......
bon : sorry......
ani : koi baat nahi aao so jao.....
she nodded.......he made her sleep......he kissed her forehead......
ani(mind) : sampurna ko ab anirudh roy choudhary ki bhasha mein samjhana hoga.....bohot kar liya rishte ka samman ab nahi........
he left the room when he confirmed that she slept......
He was going to sampurna's room.....
som : kaha jaa rahe hai dada......
ani : som sampurna ne aaj hadd paar kar di.....
som : haa dada......aap usse milne jaa rahe hai.....?
ani : haa bohot kar liya rishte ka samman uska baba ke saath jo rishta hai ussi ne mere haath baandh rakhe the par ab nahi ab usse anirudh roy choudhary ki bhasha mein samjhaunga......
som : main bhi aata hu dada.....
they went to her room.....
they knocked the door and she opened it.....
sampurna : tum dono iss waqt yaha tumhare baba yaha nahi hai kaam se bahar hai.....
som : pata hai hume......hume tumse baat karni hai.....
ani : andar aa sakte hai....?
she nodded.....they came inside and som closed the door......she got confused......
sampurna : kya hua kya baat karni hai.....
ani : baat karne nahi aaye sampurna chetavni dene aaye hai.....
sampurna : dekho.....
som : humari baat puri nahi hui hai aaj jo hua woh nahi hona chahiye tha sampurna sirf kangan hi the na kaunsi kami hai tumhe dusre kangan aa jaate kya zarurat thi itna bada tamasha karne ki aur bihari aur koyeli par ilzaam lagane ki himmat kaise hui tumhari......
ani : sampurna itne saal ho gaye par tum nahi sudhri aur naa hi sudhrogi iss baat ka ab hume vishwas ho gaya hai.......itne saalo se apne baba ke liye hum chup the par ab nahi sampurna.......aakhri chetavni hai sampurna sudhar jao aur ab agar tumhari wajah se mere pariwar ko dukh pohocha yaa bondita ki aankho mein ek bhi aansu aaya main insaaniyat bhi bhul jaunga sampurna aur haa ek aur baat aashita ab iss pariwar ka hissa banne wali hai......mere aur bondita ke rishte mein aag lagane ke liye tumne koi kasar nahi chodi hai par agar tumne aisa kuch bhi som aur aashita ke saath karne ki koshish bhi ki yaa tumhari wajah se aashita ko iss ghar mein kisi bhi tarah ki taklif hui toh mujhse bura koi nahi hoga sampurna........aur haa yeh anirudh roy choudhary ka wada hai.......
som : sampurna jab tum iss ghar mein baba ki patni bankar aayi thi toh humne tumhe maa ka darja diya tha par sach kahe toh tum maa kehlane ke layak nahi ho......maa ke naam par kalank ho......ek acchi maa patni ya bahu toh nahi ban paayi kam se kam ek acchi insaan toh bano aur rehem karo humare pariwar par aur khaas kar baudi par unki zindagi par agar koi grahan hai toh woh sirf tum ho......
ani : chalo som.....!!!
they left.....As usual there was no guilt on her face.......
I KNOW IT'S QUITE BORING CHAPTER...... VOTE IF YOU LIKE IT.......
YOU ARE READING
Anidita : Match Made In Heaven
RomanceAnirudh and bondita didn't nullified their marriage....... bondita was now a 17 year old beautiful teenager studying in her last year of school...... anirudh was now a 26 year old successful barrister....... will they realise their love for each oth...