Same evening......
Bondita and aashita came down.....
kaka : bahu woh dono kaise hai ab.....
bon : thik hai ksj bohot mushkil se sula kar aaye hai.....
kaka : dekha nalayak teri wajah se inki puri holi kharab ho gayi......
he looked down......
batuk(mind) : kharab.....holi sudhar gayi inki......chehre se hi pata chal raha hai......
kaka : waise yeh teri bhaang ka asar kab khatam hoga......
batuk : kal subah tak utar jayega......
kaka : hmm......accha hua tumhari pishi maa chali gayi warna kya jawab dete hum usse......bahu khana laga do kha lete hai......phir aaram karna aaj bohot thak gaye honge tum log bhi......
batuk : bohot.....chehre se thake hue lag rahe hai......(smirked)
they glared him......
Everybody had dinner and went to their rooms.....
********************
next morning......Anirudh and som came down clutching their heads......
kaka : kya hua.....
ani : pata nahi kaka bohot sarr dard kar raha hai.....
som : mera bhi dada.....!!!
kaka : woh toh hoga hi na nalayako bhaang ke laddu jo khaaye the......
both : kya.....!!!!!!!
ani : kaka humne bhaang ke laddu......kaise.....?
kaka : apne chote zamindaar se puch.....
som : batuk kya kiya tumne.....
batuk : I am sorry dada woh laddu mera ek dost lekar aaya tha humare liye par galti se aap dono ne......
ani : batuk.....!!!!!
batuk : sorry dada.....
som : kya sorry......dimaag kahrab ho gaya hai tera......agar kisi ne dekh liya hota hume waise toh......
kaka : woh humari bahuon ki meherbaani ki tum dono ko sambahl liya......
ani : lekin woh hai kaha subah se nahi dikhi.....
kaka : woh gaav ke durga mandir gayi hai aati hi hogi......
they nodded......
*******************
Batuk was running and they ran behind him with stick.......Ani : tumhari wajah se humne bhaang ke laddu khaye.......himmat kaise hui tumhari bhaang ke laddu ghar par laane ki.......
He hits him......
Batuk : sorry na dada......
Som : kya sorry.......agar woh hume sambhalte nahi toh sabke saamne humari izzat ka janaza uth chuka hota.......
Ani : pata nahi humne nashe mein kya kiya ab 2 din lagenge tumhari baudi ko manane mein........
Batuk : par dada aapne jaan bujhkar thodi khaye the......toh woh aapse naraz kyu hogi......
Ani : woh sab chod......saza toh tujhe milegi......
Batuk : dada maaf kar do na aur mujhe kya pata tha ki woh laddu som dada le jayenge.......
Som : haa toh laddu chupa kar rakhne chahiye the na kitchen mein kon rakhta hai......
Batuk : sorry.....!!!
Ani : aaya bada sorry bolne wala......nikalo yaha se......
He ran away with lightening speed.......
Som : dada aapko kuch yaad hai kal kya hua tha.......
Ani : nahi..... bohot koshish ki par yaad nahi aa raha......
Som : mujhe bhi......
Ani : yeh log bhi subah se gayab hai......unse baat kare toh pata chale kuch.......
****************************
Bondita entered in room and saw him clutching his head.......Bon : patibabu......!!!!
Ani : Bondita......
Bon : yeh lijiye sarr dard ki goli nimbu pani ke saath le lijiye sarr dard kam ho jayega......
He nodded and took it......
Ani : Bondita ek baat puchu......
She nodded.......
Ani : kal kya hua tha.....?
She blushed remembering......
She sat beside him and pecked his lips.......
Bon : ab aur bhi kuch batau kya.....ya itna kaafi hai.......
He blushed......
Ani : shona.....
Bon : it's ok......aaram kijiye ab......
He nodded......
***********************************
Som : aashi.....!!!Aas : hmm......
Som : woh kal jo hua.....
She blushed......
Aas : jitna karte hue nahi sharmaye utna ab sharma rahe hai......
Som : aashi....!!!
She laughed........
She hugged him......
Aas : ab dawai lekar aaram kijiye.......
Som : kal ki holi humesha yaad rahegi.......
Aas ; hmm......bhulne jaisa humne kuch kiya bhi kaha hai.......
They laughed.......
*****************************
Next morning......They were working in kitchen.......
Sampurna came there......
Sampurna : Bondita.....
Bon : haa didi kuch chahiye tha......?
Sampurna : aaj bihari aur koyeli dono chutti par hai......
Bon : haa...... bihari babu ke ghar mein kuch dikkat hui hai isiliye aur koyeli bimar hai......
Sampurna : mujhe aaj devipur jaana hai.......tum dono bhi apne apne kaam ke liye chale jaoge toh ghar kon sambhalega.......
They both looked at each other understood her intentions.......
Bon : aapko toh devipur jaana pasand nahi hai na......
Sampurna : socha maa baba se mil lu.....aaj ke liye tum dono sambhal loge......
Bon : didi aaj ke liye devipur rehne de na kal chali jaana......aap jaanti hai na humara jaana zaroori hai.......
Sampurna : bondita bass ek din ki baat hai ek din mein tum dono ke kaam ko nuksaan nahi hoga......waise bhi konsa kaam karte ho tumlog.......kon karwata hai tumse apna kaam.......
Her words hurt them.......
Aas : aap jaiye hum sambhal lenge.......
She smirks and left........
Bon : aashita chod na unki baato ko......aaj tak kya humne unki baato ko dil par liya hai......nahi na.....
Aas : Bondita 6 mahine ho gaye hai hume kaam shuru kiye hue........kisi ko hum par vishwas nahi hai......inn 6 mahino mein tumne mushkil se ek case lada hai aur maine bhi kuch 2-3 patients check kiye hai.......roz iss ummid se nikalte hai ki aaj ka din accha hoga par din dhalte dhalte ummid bhi dhal jaati hai.......
Bon : sahi keh rahi hai........kabhi kabhi toh khud par bharosa nahi reh paata...... yeh sab chod aaj ghar par hai toh ghar ke kuch kaam khatam kar lete hai........
She nodded......
YOU ARE READING
Anidita : Match Made In Heaven
RomanceAnirudh and bondita didn't nullified their marriage....... bondita was now a 17 year old beautiful teenager studying in her last year of school...... anirudh was now a 26 year old successful barrister....... will they realise their love for each oth...