Neil was in the kitchen but the conversation between Mickey and Mini were ringing in his mind. He was confused but since he had not yet confessed his own feeling, he could not even ask Mini about it.
Some particular words were ringing in his mind continously.
Hi Soulmate!
Neil: Usne Mini ko soulmate kyu bola?
Mere soulmate ko mujhse baat karne ka time nahi tha?
Neil: Mini bhi usko soulmate bol rahi thi...
Tujhe Good News batani thi.... Sabse pehle tujhe hi batana chah raha tha...
Neil: Kyu Mini ko hi sabse pehle batana tha usko?
I miss you yaar...
Neil: Mini miss karti hai usko?... par aaj tak kabhi naam tak to suna nahi maine... par aisi koi baat bhi nahi hui hamari kabhi....
Mini, the most difficult to handle... itni violent bandi sambhaal li thi maine...
Neil: Mini ko sambhaala tha matlab?...
Ha.... It's true.... Tu hi to tha... jiski wajah se I was able to survive.
Neil: She was able to survive what?... Aisa kya tha jo Mini ke liye survive tak karna mushkil ho gaya?
Gift hai... meri girlfriend ne diya hai... Suzi ne.
Neil: Mini ko koi girlfriend banane ki baat se chida bhi raha tha....
HAW! Tune phir girlfriend bana li.... Chichora hai tu bilkul... Iss baar direct pitne ka irada hai kya?...
Neil: Mini affect bhi ho rahi thi... kyu?
That's like my Mini yaar.... Mazaak kar raha hu... student hai meri...
Neil: My Mini kyu bola usne?... Aur Mini ko iss baat se koi problem bhi nahi thi?
Tujhe yaad bhi hai main kya bolta tha?
Neil: Aise haq se question puch raha tha...
Acche se yaad hai...
Neil: Mini ne bhi bilkul comfortably jawaab diya usko....
"Jab Babes bolti hai lassi shassi mango shakes...a ha ha... jannat lagti hai.... aur ek yeh hai paani tak nahi puchti apne dosto se...."
Neil: Mini ki babes ke time pe bhi dono saath me the....ghar aata jaata tha vo....
Waah... tujhe to pura monologue yaad hai.....
Neil: Mini ko uski kahi baatein bhi yaad hai?
Ha.. ab yeh chipdi chupdi baatein mat kar.... aayi thi na main tujhse milne... Australia se America tak aayi thi... tab bhi to itna busy tha ki 2 din ki chutti le sake tu....
Neil: Vo milne bhi gayi thi America tak.... aur vo mila bhi nahi theek se... aur Mini ko koi problem nahi tha...
aaj tujhe phir se saalon purani wali Mini ko dekhke bahot accha lag raha hai... Phir se waise hi chirpy aur cute.... Jaise pehle thi.... Aisehi rehna...
Neil: Saalon purani wali Mini matlab?
You were right..... I have survived Mickey. See... I have survived.... from my problems... my insecurities.... my worries.
Neil: Mini ne aisa kyu bola?
Teri yeh smile jo wapas aa gayi hai.... uss din yeh smile kho gayi thi kahin vo aaj dekhi hai dobara.... ab isko khone mat dena. Ha bilkul aisehi.... You know na bahot acchi lagti hai tu iss smile ke saath....
Neil: Mini ki smile ki taareef bhi kar raha tha...
Tujhe yaad nahi hai kya?... Inhi gossips ne kitni baar mood uplift kiya hai tera.... Bol... Kiya hai na?
Neil: Mini apne low phase me usi se baat karti thi kya?
Jokes apart.... You know what?.... I do feel that you are not just smiling like before... you are happy too... Bahot saalon baad phir vo khushi dikh rahi hai tere face pe... aur ek alag hi chamak hai... Mind bhi bahot relaxed hai.... haina?.... pehle kabhi tu dil se khush hua karti thi... tab bilkul aisi hi smile hoti thi teri....
Neil: Vo itna kuch kaise jaanta hai Mini ke baare me?... Kaise samajh aa gaya usko ki Mini kaisa feel kar rahi hai?
Ha... tujhe sab pata chal jaata hai na... ek to yeh pata hai mujhe bahot dangerous lagta hai pehle se hi... Tujhe bas yeh pata hone ki zarurat hoti thi ki current situation kya hai... baaki tu jaise padh leta tha.... ki kya chal raha hai mere dimaag me... Isiliye to Australia me tujhse har roz baat karti thi main...
Neil: Vo bhi meri tarah sense kar paata hai kya Mini ko?... Roz usse baat karti thi... kya vaise hi jaise mujhse karti hai?... itne close the kya dono?
Isiliye bakwaas karti thi na tu pure din ki... Camelia tera dimaag khati thi pure din aur tu apni raat aur meri subah dono me mera dimaag khaati thi...
Neil: Mini kisi aur ke saath bhi itni open thi kya?... Jaise vo mere saath hoti hai... Aise complaining tone me bol raha tha phir bhi Mini was calm...
Much... much... relaxed.... isiliye to tujhe phone kiya meri Soulmate.... Teri chapad chapad bahot miss kar raha tha...
Neil: Relaxed hoke Mini ko phone kyu kiya hoga usne?... Mini ko miss kyu kar raha tha vo?
Hmm... To sun li meri chapad chapad?.... Ab khush?...
Neil: Mini ko uske tease karne se bhi koi problem nahi thi...
Bas aisehi dost har kisi ko mile... Love you yaar..
Dost to tere jaisa bhi har kisi ko chahiye hota hai... So it's a tie... Bye.... Love you too.
Neil: Dono love you to aise bol rahe the jaise har baar hi bolte ho...
Neil was sitting lost in thoughts and the staff saw this.
They continued their work and the restaurant was running smoothly.
Mini came out of her cabin.
Neil was now having headache thinking so much. He pressed his head lightly.
Mini saw him pressing his head. She came to the kitchen.
He was also looking lost in thoughts.
Mini: Neil?
Neil: H?...
Mini: Kya hua?... Sar me dard hai?
Neil: Ha halka sa... (excuse) Recess ke baad se ho raha hai... but I'll manage.
Simpy came to Mini and took her aside.
Simpy: Bahot der se kuch soch rahe the... mujhe to lagta hai soch soch ke hi sar me dard kar liya hai... aap chutti hi dedo inko aaj... vaise bhi itni soch me kahin kuch gadbad kar di to humko hi chillayenge.... Pehle bhi ek do baar aisehi sochte sochte gadbad kar chuke hai... isiliye aaj hum kuch karne nahi de rahe hai... inki daant se bachne ke liye...
Mini: Baat to aap sahi hi bol rahe ho... (chuckling) Isko khadoos hote time kaha lagta hai...
Mini came to Neil.
Mini: Suno Neil... aaj half day lelo... ghar jao.. thoda rest kar lo.
Neil: Nahi... Iski zaroorat nahi hai... I'll manage... You don't worry.
Mini: Vo dikh raha hai... how you'll manage.... Go... Take a leave.... Baaki kaam staff sambhaal lega.
Neil: But..
Mini: No ifs and buts.. Go.
Neil: Ok.
He went to the haveli and sat in his room.
YOU ARE READING
Meetha sa Ruhani ISHQ
FanfictionTrying to write my version of Sounoor as Mineil. The story goes on from where it was stopped in the show "PATIALA BABES". Those who are reading, please watch Patiala Babes on Sony LIV from episode number 257 to 349 and then read this story. It's an...