Judge: Koi aur witness hai aisa jo yeh gawahi de sake ki Mr. Neil non-violent hai.
Neil's Lawyer: To prove the accusation of Mr Neil's violence wrong, I would like to call Mr. Kirpal Ji... jo inke ghar doodh dene roz aate hai.
FLASHBACK
After Rani left with the milk.
Mini: Ek min Bhaiya... Mujhe aapse baat karni thi..
Kirpal: Ha bolo na Madam ji.... Vaise ab Saab ji kaise hai?
Mini: Neil ke past ke baare me jaante ho na tum?
Kirpal: Ji.... Par aap aise kyu puch rahi hai?
Mini: Uska case chal raha hai aur humko witness chahiye.... Jo yeh bol sake ki Neil violent nahi hai.... Tum banoge witness?
Kirpal : Ji bilkul! Neil Saab ji ke liye itna to main kar hi sakta hu... Unhone kitna kuch kiya hai mere liye....
Mini: Tum kab aur kaise mile the Neil se...? Itni acchi dosti kaise hui....?
Kirpal: Main inse pehli baar mila tha jab yeh apne saaman ke saath road pe chal rahe the..... Us din accident hote hote bacha tha inka... Maine hi bachaya tha .... Bechare bahot buri haalat me the... Paise wagera sab the par akelepan aur niraasha me doobe hue the...
Mini had tears in her eyes listening to this.
Kirpal: Apne dil ka haal baatne se katra rahe the par kehte hai na bhari hui aankhein insaan jyada der tak chupa nahi paata.... Uss din mere ghar pe hi ruke the vo... ghar nahi tha unke paas patiala me... bechare... mujhe bataya unhone kya kya beeti hai unpe... Bahot bura laga sunke... Maine kaha unko ki nikaal do apni biwi ko ghar se.... Khud kyu nikal ke aa gaye?....
Mini understood it to be a normal reaction of anyone who would listen to him, who doesn't know him that well would say.
Kirpal : Par Saab ji ko nahi jaana tha waapas... phir patiala main hi idhar udhar naukri aur ghar dhund ke guzaara karne lage..... Ek din meri maa ki tabiyat bahot kharaab ho gayi thi... paiso ki tangi ki wajah se ilaaj nahi karwa paa rahe the.... Saab ji ne mera pareshaan chehra dekhke pucha to maine unko bata diya..... Tab unhone mujhe turant bank se nikal ke pure 25,000 diye.... Aur meri maa ka ilaaj ho gaya.... Kabhi mange nahi unhone aur baad me dene se bhi mana kar diya... Tab se maine doodh ke paise nahi leta unse aur puri koshish rehti hai meri ki unko kisi tarah vo paise lauta paau......Unki haalat kabhi kabhi dekhi nahi jaati thi... Apne dukh ko apne dil me chupa ke..... apni mazaak masti me dhaak ke jee rahe the.... Jos din unko kiraaye ke ghar se nikaal diya tha... tab bhi niraash ho gaye the... Maine thodi si himmat de di to phir khade ho gaye the....
Mini remembered how she reacted that day not knowing his personal sufferings.... She was feeling very guilty to react like she did that day....
Kirpal: Phir.... Aapke ghar aake.... ( stopped)
Mini: Mere ghar aake?
Kirpal: Aapke ghar aake..... (changing his words) Arya aur aap se milke.... Bahot khush rehne lage the....
Mini: Wahi khushi to waapas laani hai!
Kirpal: Madam ji..... Aap samajh paaye unki pareshaaniyaan?
Mini: Hmm... Bahot suffer kiya hai bechare ne... Ab aur nahi....
Kirpal: Saab sahi keh rahe the aapke baare me....
Mini: Kya keh rahe the?
Kirpal: Maine pucha tha unse ki kya aap samjhoge?
Mini: To? .... Kya bola tha usne?
Kirpal: unhone turant keh diya tha ki aap hi to ho jo samjhte ho....
Mini smiled.
Kirpal: Aap bura na maane to ek baat puchu?
Mini: Pucho?
Kirpal: Aap Saab ji ko chahte ho?
Mini felt awkward, she thought that Neil doesn't love her back... So,
Mini: Nahi..... Main sirf ek dost hote hue uski help kar rahi hu kyunki he is right and he deserves justice and freedom.
Kirpal understood that there is still something between them stopping their confession, So he thought to leave this topic not to make their situation more awkward.
Kirpal: Ok madam ji... Main aa jaunga court main... aap chinta mat karo...
Mini: Thank you so much bhaiya...
Kirpal: Aap aaram se jogging karne jaao.... Bina chinta ke...
Mini was relieved a little as now at least someone would be there to give testimony in favour of Neil.
She went to jogging, thinking about the convo between her and Kirpal about Neil.
FLASHBACK ENDS
Kirpal: Neil Saab Ji to bahot dayaalu aur khushmijaaz insaan hai. Kabhi kisi se maar peet aur jhagda karte nahi dekha maine to.... Inke makaan malkin ne bijli kaat di thi... to kitne din bina bijli ke rahe... phir ghar se hi nikal diya to... apne pure saaman ke saath sadak pe khule aasmaan ke neeche ek thele pe raat guzarni padi thi.... Tab bhi koi jhagda nahi kiya tha inhone....
Neil's Lawyer: Here I would like to assert that my client, Mr. Neil Oberoi ko violent hone ka accusation wrong proof karne ki liya itna kaafi hai...
Isha's Lawyer: (Interrupting) Sorry to interrupt.... par ek doodh wala kitna hi jaanta hai apne customers ko... Aapke paas koi aur witness hai jo yeh proof kar sake ki Neil Oberoi ek non-violent insaan hai.
Khatri sitting there smirked at Mini. Mini saw it and gave him a stern look with a confident and surprising smile which made Khatri anxious.
Neil's Lawyer: So, I would like to call my next witness,
YOU ARE READING
Meetha sa Ruhani ISHQ
FanfictionTrying to write my version of Sounoor as Mineil. The story goes on from where it was stopped in the show "PATIALA BABES". Those who are reading, please watch Patiala Babes on Sony LIV from episode number 257 to 349 and then read this story. It's an...