___ irana apni phuppo haleema ka bahot khayal rkhti aur ghr k saare kaam karti... ek din kuch ghundo ne haleema ke ghar hamla kiya.. woh darwaza peet te gaye... lekin irana se darwaza nahi khola.. aur haleema kuch kr nhi skti thi.. irana bahot ghabra gayi.. use laga k uski koi madad krega.. abaan use bachalega.. lekin wahan koi na aaya.. ghunde andar aane ki koshish kar rahe the.. aur aakhir kaar woh andar aagaye.. unho ne dekha k k koi bimaar aurat apni chaar paayi pe Leti thi.. aur irana kitchen me chup jaati hai..
Jahan ghundo ne aana zarrori na samjhaye.... unho ne haleema ko tarah tarah ki dhamkiyan di.. ghr k Saman bikherdiya... unhe shak tha k Rehmat ki koi beti yahan maujood hai... lekin irana ne khud ko bachaliya... aur wahan se woh ghunde chale gaye..
Irana bht royi .. apni is bebasi aur is haalat par... use pal pal apne abbu ki yaad tadpa deti...
Aur irana ne sonchliya tha ke yahan rehna ab uske liye theek nhi... aur usne faisla kiya ki woh ghr khaali kar ke dusri jagah rahegi..
Aur usne usi raat o raat apna Saman badhna aur apni phuppo aur kinza ko liye dusri jagah chali gai...Irana us raat ghar talash krte krte thak gai ... aur haleema ki aisi haalat na thi k woh aur is kaam me aage badhe...
Haleema kisi ghr k samne behoshi se gir padhti hai...
Unhe dekh irana ghabrajti hai.. k is andheri raat me kaise guzara Hoga.. kahan unka thikana hai..
Aur woh rone lagti hai... aur kinza bhook se roti hai...
Yeh awaazein sunkar Ali khan ki maa (firdaus) bahar aajati hai..
Aisi bebasi dekh kar uska dil dehak jata hai...Woh irana ki madad krti hai.. unhe panah deti hai...apni ghr..
Irana firdaus ka bahot shukar adaa krti hai... aur use sab kuch batata hai jo uske sth hua...
Ali khan apne ghr wapas aata hai..jahan woh kinza ko dekhta hai..
Aur apni maa ko bahar bulata hai..aur puchta hai yeh itni pyaari bachi hamare khandan me kab aagai ? jahan firdaus use sab kuch batata hai..
Firdaus:" mujhe inki yeh haalat dekhi na gayi beta.. isliye Maine inhe yahan andar bulaya..
Ali:"" bahot acha kiya aapne ammi.. madad krke....
Yeh log makan dhoondarhe the??
Firdaus:"" Haan... itni jawan ladki.. is raat kahan kahan chakkar lagaegi?
Ali:"" aap fikr na kare ammi.. mai ne inka bandobas krdiya..
Yahan se kuch aage ek makan khaali padha hai.. jo mere kisi dost k hai... aap unse baat krlein.. aur jab tk mai b maakan k chaabi laata hu...Firdaus irana se :"" beta mere bete ne all sab k liye ek makaan dhoondlya hai.. agar aapko smjh aaye toh aap wahan rehskti hai..
Paison ki fikr mt kro.. tmhe jab sahulat ho tm dedena..ghr k kiraya..
Lekin tmhe koi chat toh miljayega..Irana:""aapka bahot shukriya aunty.. aapne ne meri madad ki.. aur ab makaan b aapne dilwadiya...
Mai phuppo ko lekar us makaan me rehne taiyaar hu...Firdaus:"" nahi beta... yahan tk tmhe allah ne bheja.. aur mujhe tmahrj madad k zariya banaya... tm khush raho beta..
( irana , Haleema ko liye us makan me rehne lagti hai...
Kisi ko bina bataye irana bht door jaa chuki thi... )___////______/////__////____/__/
Abaan:"" dadi jaan aapki tabiyat abhi kaisi hai""??
Khadijah :"" Haan beta abhi toh theek hu.. irana nhi aayi abhi tk??
Abaan:"" ussay Maine hi mana krdiya.. haleema aunty ki tabiyat ki wajah se
Khadijah:"" acha kiya beta..lekin kuch der irana mujhse milne aajaye kaafi hai.. uske bina mera dil nahi lagta...
Abaan:"" mtlb dadijaan aapka pota b ab kaam ka nhi raha??
Khadijah:" nahi nahi beta.. tu toh mera shehzada hai.. tere bd toh irana hi hai jo mere sth 24 ghante guzarti hai.. woh b shehzadi se kam thodi hai..
YOU ARE READING
"QURBAN"
Narrativa generaleStory of a poor father, who is trapped in gangster's evil case, who had no other option than to give away his three daughters to three different families...for their protection and safety.. three sisters face hardships and troubles living apart from...