Chapter 19

666 47 17
                                    

Satya was coming downstairs to fill his jug when he heard Bhawani...

Bhawani - Chi... Iss Sai ne sari sharam bench khayi hai. Ek paraye mard ke saath itni nazdikiyan. Pata nhi kya gul khila....

Satya - Kuch din pehle tak Sai iss ghar mein ek paraye aadmi ke sath hi reh rahi thi tab to aapko koi issue nahi tha.

Bhawani - Tere alawa yha koi aur paraya nhi hai.

Satya - Hai na bilkul hai. Ye khada hai na aapka bhatija Virat Chawan. Sai ke liye ye paraya hi hai. Aur to aur ye har samay Sai ke peeche peeche laga rehta tha. Kabhi tiffin dene hospital aana to kabhi zaruri baat ke bahane se milne bulana. Inn sab se kbhi issue nahi hua aapko ?

Virat - Tum meri kaku se aise baat nhi kar sakte.

Satya - Aur tumhari kaku ki himmat kaise hui Sai ke bare me itni ghatiya bolne ki.

Virat - Tum hote kon ho Sai ke liye ladne vale ?

Satya - Mai Sai ke liye jo bhi hu filhal ye baat to tum bhi jante ho ki uski life mein tumse jyada meri importance hai aur mere liye itna kafi hai uska sath dene ke liye. Aaj ke baad Sai ke bare mein koyi buri baat bolne se pehle 100 bar soch lijiyega kyunki agar aisa hua to anjam boht bura hoga.

Virat - Tum...

Ninad - Virat ! Baat ko yhi khatam karo aur abhi ke abhi apne kamre mein jao. Aur aap bhi plz apne room me jayiye.

Virat - Baba aap...

Ninad - Sunayi nhi diya tumhe ? Jao apne kamre mein.

Virat left from there in anger. The other members too left one by one.

Next morning....

Sai dropped Savi and Vinu to school and came back home as she and Satya had to go to the hospital later than the regular time. Sai entered the house and found the Chavans standing in the living room with a lot of luggage and Virat was speaking something.

Virat - Baba aap samajhne ki koshish kijiye mujhe sach mein boht zaruri kaam hai.

Ninad - Ain mauke par Aisa kon sa zaruri kaam aa gya tumhe ? Vaise to roz ghar par pade rehte ho aaj hi kyu police station jana hai.

Virat (in mind) - Ab baba ko kaise bataun ki mai Sai ko yha Satya ke sath akele chhodna nhi chahta. Kal Sai ka birthday hai. Mai usse surprise dena chahta hu taki vo mujhe maaf kar sake.

Ninad - Bolti kyu band ho gayi ?

Virat - Ek zaruri high profile case aya hai baba.

Ninad - Acha thik hai to mai commissioner sir ko phone karke puchta hu ki aisa kon sa kaam hai jo aaj hi karna zaruri hai.

Virat - Commissioner sir ko phone karne ki kya zaroorat hai baba ? Aapko mujhpar bharosa nhi hai kya ?

Bhawani - Kay hai Ninad ? Agr vo keh raha hai ki zaruri kaam hai to tu kyu zidd kar rha hai ?

Ninad - Vahini plz aaj nhi.... Mai ache se janta hu ki kon sa zaruri kaam hai isse. Virat, agar tum meri zara bhi izzat karte ho to 10 min ke andar taiyar hokar aao. Hume nikalna hai.

Virat - Baba...

Ninad - Patralekha... iska saman pack karke lekar aao jaldi.

Pakhi - Ji.

Virat and Patralekha went to their room.

Meanwhile Sai was looking for Satya. She didn't find him anywhere in the house. She called him but his phone was unreachable.

Sai - Ye kahan chala gya ? Phone bhi nhi lag rha hai. Khi hospital mein koi emergency case to nhi aa gya.. ho sakta hai... Mai Sheetal ko call karke puchti hu.

SaiYa : Jaan Ban gayeWhere stories live. Discover now