chap 19- Naira gets blamed by family..

429 29 1
                                    

The Pooja ends..

The pandit ji goes away..

Suhasini - naira ab tum Hume batao tum raat bhar kaha thi kisne sath thi or kya kaam kar Rahi thi... 😡

Kartik- aap aise kyu pooch Rahi hai ..

Surekha- tumhari ye mahaan patni raat bhar Ghar se bahar thi uske baad bhi tum usko support kar rahe ho.. Ghar ki Bahu raat bhar gayab thi or hum sawal bhi na pooche ..

Kartik- sawal poochiye kyuki Bina pooche aap ko chain kaha milega .. lekin aap ka meri biwi per chillana ya gussa karna Mai bardasht nahi karunga.. samjhe aap sab..

Akhilesh - theek hai beta kayde se sawal pooch rahe hai hum.. tumhari jaisi marzi ..

Surekha- to bataiye naira ji aap raat bhar kya kaam kar Rahi ..

Naira- Mai koi kaam nahi kar Rahi thi wo actually..

Suhasini - to kiske sath thi aap.. or kyu..

Naira- Mai kisi ke sath nahi thi.. Mai to ..

Manish- aap kisi ke sath nahi thi koi kaam nahi kar Rahi thi to kaha thi aap raat bhar Devi ji..

Naira- aap log mujhe bolne hi nahi de rahe hai.. Mai ... 😢

Kartik- ab beech me koi nahi bolega.. let her just speak..

Naira- Mai kuch kaam se Bank gayi thi rishab ke sath lekin fir rishab ko kuch aa Gaya to wo Ghar chala Gaya.. Mai Bank me pata nahi kaise locked ho gayi.. mere phone me battery bhi nahi thi .. Mai andhere me raat bhar locked thi kartik.. Mai bahot ghabra gayi thi.. 😢...

Naira hugs Kartik..

Surekha- tum ko kya lagta hai tum ye kahani bana dogi or hum Maan lenge.. kaise Maan le hum ki tum raat bhar Bank me locked thi..

Kartik- wo keh Rahi hai na wo raat bhar Bank me locked thi to bas baat khatam..

Kartik breaks the hug..

Luv - her cheez me drama karna zaruri hai kya bhabhi ne keh Diya wo locked thi to Maan lo na aap sab...

Suhasini - hum moorkh nahi hai jo iski Is baat per vishwas kar le..

Kartik- to mat kijiye aap ke trust ki naira ko koi zarurat bhi nahi hai.. i trust my wife.. bas thats all.. and infact wo ye baat nahi bhi batati na ki wo raat bhar Bank me locked thi tab bhi mujhe meri wife per poora bharosa hai..

Akhilesh - Bank me lock ho gayi thi na tum..

Naira- ji..

Akhilesh - to khola kisne.. Kaun se Bank me

Naira- Bank ke gaurd ne khola Bank.. Mai mg road Wale Bank me locked thi raat bhar..

Akhilesh - to Mai Bank call kar Raha hu mg road Wale .. gaurds se baat karte hai hum dekhte hai uske or tumhare words match kar rahe hai ya nahi..

Naira- ji..

Kartik- ji nahi bilkul nahi ek baar naira ne bol Diya to bas wahi sach hai naira ke sach ke proves nahi chahiye mujhe..

Manish - lekin hum ko to chahiye proves..

Naira- To theek hai bank me call kar ke gaurd se baat kar le aap tasalli ho jayegi aap ko..

Akhilesh calls in the bank reception..

The receptionist picks up the call..

Akhilesh puts the call on speaker..

Receptionist - hello this is Udaipur Branch Bank.. aap ki kaise seva kar sakti hu Mai..

Akhilesh - aap ke Bank me gaurd hoga na..

Receptionist - ji per ye kaisa sawal hai..

Suhasini - Hume aap ke gaurd se baat karni hai ..

Receptionist - Bank me koi problem huyi hai kya mam..

Surekha- arey tum hamara time waste mat Karo please apne Bank ke gaurd ko bulao Hume usse baat karni hai .. or tum Hume mana mat karna kyuki hum Goenkas hai .. ager tum ne zyada Hum se behas ki na to tum janti ho na hum Goenkas se tumhari naukri ek second me jayegi..

Receptionist in mind - ajeeb pagal log hai gaurd ko bula hi leti ho..

Receptionist - yes Mai abhi baat karati hu aap logo ki gaurd se hold kijiye..

Suhasini - ha sure..

The receptionist calls the guard in the bank..

Gaurd - kya hua Bank ke security ko lekar koi issue hai kya..

Receptionist - kuch pagal logo ko tum se baat karni hai jaldi baat Karo or khatam Karo Jo bhi baat hai..

Gaurd- accha..

Gaurd takes the phone ..

Gaurd- hello..

Surekha- tum mg road Wale Udaipur Branch Bank me gaurd ho na..

Gaurd - ha..

Akhilesh - raat ko bank band tum karte ho or subah bank kholte bhi tum ho na..

Gaurd- ha per aap ye sab kyu pooch rahe hai chori karne ka irada hai..

Suhasini - tum bas Hume itna bata do ki Aaj subah tum ne bank khola to kya koi ladki locked thi waha..

Gaurd in mind - ha galti se ek ladki locked to thi lekin ye baat bol nahi sakta hai kyuki meri galti hai or kisi non staff ka is tarah Bank me locked rehna bank ke security ke liye acchi baat nahi hai .. meri job bhi ja sakti hai aisi laparwahi ki wajah se.. jo ho Gaya ho Gaya ab jhoot hi bol deta hu gareeb sa guard hu kanha ji apni job ke sath risk nahi le sakta nahi to mujhe problem ho jayegi..

Surekha- kuch to bolo koi ladki locked thi ya nahi..

Gaurd - aap pata nahi kya ajeeb sawal kar Rahi hai aap ko Aisa kyu lagta hai ki koi ladki yaha locked hogi wo bhi yaha bank me itni security waali jagah per.. aap ko shayad koi missunderstanding huyi hai yaha koi ladki locked nahi thi .. mujhe lagta hai ki aap sab pagal hai..

Naira- 😡.. jhoot kyu bol rahe ho tum ne khud door khola tha Mai locked thi Maine tum ko data bhi tha .. ab sach batao chalo..

Gaurd - madam aap ..

Suhasini cuts the call..

Suhasini - ab gaurd ko dhamki dekar Dara kar usse zabardasti apni bhasha bulwane ki koshish mat kar tu besharam ladki..

Surekha- kaha thi raat bhar kya kar Rahi thi kiske sath thi.. kyu thi .. saaf saaf bata ab sab..

Naira- Mai sach hi bol Rahi hu aap logo ko kaise vishwas hoga mujh per.. Mai kya Karu ager us gaurd ne jhoot bol Diya.. mujh per yakeen kijiye Mai sach keh Rahi hu..😢..

Manish- tumhara ye sach saabit nahi ho paya kyuki tum jhoot keh Rahi ho..

Suhasini - besharam ho tum naira ab bhi khud ko sahi keh Rahi ho tum..

Surekha- or freedom do apni biwi ko kartik ab Karo iska support..

Naira cries..

----------++++------------------------------------------

LifeIsBeautifulWhere stories live. Discover now