Chapter 12: Shocking Reason

297 27 7
                                    

🙏लक्ष्मिपूजनाच्या खूप खूप शुभेच्छा🙏

Ishi went outside but frowned when she didn't found Sid. She went outside the house to find Sid standing in the corner of the front yard, looking down. She went near him.

Ishi: Bhaiyya, kya mai yaha ruk sakti hu, aapke saath?

Sid: Sure. Aao na.

Ishi stood beside him. He was again looking down. She sighed and held Sid's hands. Sid was shocked by her actions.

Ishi: Bhaiyya, please mujhe galat mat samajhna. Aisa bilkul nahi hai ki mai Dada ke galti ki safai dene aai hu, ya aapko unhe maaf karne ko kehne aayi hu. In fact mujhe khud unki baat ka gussa aaya hai. Par mai sirf itna kehna chahungi ki, Dada dil ke bure nahi hai. Unhone aapse rudely jarur baat ki par vo aapko hurt karna nahi chahte the. Uske peeche ek reason hai.

Sid: Ishu, hope I could call you that.

Ishi thought something and nodded in yes with a mischievous smirk.

Sid: Ishu, mai tumhe kabhi galat nahi samjhunga. You're like a sister to me. I was just hurt by those words. Par aisa kya reason hai ki Abhishek aise baat karta hai?

Ishi: Pura to nahi bata sakti par thoda jarur share karungi. Actually Dada ne unke special person ko bachpan me khoya, vo unse dur ho gaye. Aur mere Dadaji urf unke "Nanu" unpe bohot restrictions dalte hai. Jaise ki naye friends na banana. Ansh bhaiyya unke friend hai kyu ki jaha vo pehle rehte the, Ansh bhaiyya unke neighbour the. Dadaji Ansh bhaiyya aur unke pariwar ko acchese jante the. Isiliye Dadaji ne Dada ko Ansh bhaiyya se dosti karne di. Dada ke sirf 2 hi friends hai, ek Ansh bhaiyya aur dusri mai. Mai Dada se 5 saal choti hu par hum dono ek dusre se itne attached hai ki mano jaise hum best friends hai to jo secrets Ansh bhaiyya ko bhi nahi pata vo mujhe pata hote hai. Par iska matlab ye nahi ki Dada ke koi aur friends hi nahi. Unke friends hai par bas vo ghar nahi aate. Rather Dadaji unhe aane nahi dete.

Sid: Agar uske aur bhi friends hai to vo mujhse friendship kyu nahi karna chahta? Mai to Bants ka bhi friend hu.

Ishi (sadly): Uska bhi ek reason hai jiski bajase Dada chahke bhi aapse friendship nahi kar payenge.

Sid: Aisa kya reason hai?

Ishi: Aapka naam.

Sid (shockingly): Mera naam!?

That's it for today!
Sorry for a short chapter.
I will try to post next chapter soon.
HoI need some time for writing the reason.w could Sid's name be the reason behind Abhi could not befriend him though he wished?
Stay tuned to know!

~Shreya

We're Brothers... (Complete)Where stories live. Discover now