Chapter 10

216 29 9
                                    

I'm here once again. Aj Kal main chuti par hun to back to back episodes mil Rahe hain. Kal se ghar wapis jaun gi to let's see update ka Kya schedule hota hai. If you motivate me, then maybe I'll update soon.
Code ka jawab to abhi tak Kisi ko samjh nahi aaya. Yeh episode shayad clear kar dain.
.............

2 years ago, after few hours, Rathor had given ultimatum to Anubhav.

Anubhav was at his base (he had a room for rest and other facilities there) and looking at his spinner while spinning it.
"Hum se Kuch to choot raha hai?"
After thinking for a while, he thought to analyze the situation from the start.

"Humain humare khabri ne yojna di thi k Jahan par police prize distribution ceremony hone wali hai wahan par Kuch atink wadiyon ne bomb lagaya hai. Hum wahan par security k Liye gae the Aur humari team ne bomb bhi dhund Liya. Wahan par humari team ne Rahil ko bomb k pass basement main pakra aur us ko atink wadi samjh kar Yahan Le aaen."

"Phir jab lie detector k zariye us se puch tach ki to us k sare sawalon k jawab Sahi diye. Humare khabriyon ki jankari k anusar bhi uski batain thek thi. Mgr Kuch aur hai is Rahil main Jo use ek sadharan nagrik nahi banata."

He thought for a while and concluded some more points. "Woh ek actor hai aur kaafi Ameer family se hai mgr is ne ek bar bhi khane peene main complain nahi ki. Usko torture hone k bawajud bhi hosh aaya hai aur normal tariqe se bat kar raha. Woh Kisi se dar nahi raha aur apni bat par data hua hai. Aur Rathor sir ne bhi notice kiya k woh bohat sharp hai. Koi sadaran nagrik simple torture k doran hi toot jata mgr woh puri tarha hosh main hai aur soch samjh raha hai Matlab woh itna bhi sadharan nahi hai."

Then he remembered the times when he was first met him.

"Jab hum mile to us ne makhota bohat mazbuti se pakda hua tha Matlab woh nahi Chahta tha k Kisi ko pata chalain k woh konn hai? Aur woh is waqt basement main bomb k pass Rasta Bhool kar to nahi gea…" he paused. "Ek minute… bomb diffuse kis ne kiya tha? Diffuse team to humare sath thi, hum wahan pohanchte us se pahle hi officers ne Rahil ko pakar Liya tha aur bomb diffuse tha." Suddenly he stopped spinning his spinner and called Rathor.

When Rathor looked Anubhav's name on the phone, his facial expressions turned grumpy. He looked at his sleeping wife and went to the secluded corner of the room. "Ek to Anubhav ki to koi personal life nahi, Chahta hai k humari bhi na Rahe. Rat k 1 baje patni ne chupke se is se batain karte daikh Liya to shamat Meri aaen gi. Ainda se is Bakshi ko koi bhi cadet nahi Daina. Ek Bakshi ne Anubhav ko Jo robot bana diya hai, dusra nahi chahiye." After thinking all this, he picked up the call.

Anubhav: sir, itni dair Laga di call uthane main?

Rathor: is waqt normal log sote hain Anubhav!

Anubhav: mgr ap to normal nahi hai.

At that he got angry: "Kya Matlab main normal nahi?"

Anubhav: ghusa mat karain sir, humare kahne ka arth tha k hum agents hain hum normal kaise ho sakte hain?

Rathor: (is Bakshi se to sare agents ko door rakhna hai, pata nahi Kya Kya seekhata rahta hai inhe). Acha bolo Kya bat hai?

Anubhav: sir, ap Sahi kah Rahe the k Rahil k khilaf humare pass koi sabut nahi hai to hum inhe chod daina chahiye.

Rathor: abhi 24 ghante guzarne main time hai to yeh Bat to tum mujhe subha bhi Bata sakte the. (He was being scared While looking at his wife)

Anubhav: sir puri bat to suniye." At that he told him about his plan.

Rathor smiled. "Sahi hai, phir tum subha is ki Sahi se khatir dari kar k chodna."

.....

Next day, Anubhav suddenly wake up with a jerk.
He looked at the clock and shocked to see that it was already 9 am. "aj to humain jagne main itni dair ho Gai. Kasrat ka bhi time nikal gea hai. Ek Kam karte hain pahle nashta karte hain phir mahman ko daikh laite hain. Kasrat to aj Pura din hi honi hai."

Anuseena- RaaziWhere stories live. Discover now