chapter 1

36 4 3
                                    

"Hamare Dil nazuk bhartan hai , Zindagi k tofanon Sy toote hue Hein , phir bhi ham umeed mein qayam Hein".

Taiz Barish ka mosam tha.taiz tofan har jagah phela hua tha Jo darakhton se lagy paaton ko unky saatiyon se unhy Juda kr rha tha. Aik aik paata neeche girta jaa rha tha.

Wo apney kamre k bister per leti hui thi , 5 din Baad usy neend ayi thi . Aik ghere sadme k Baad uski ankh lagi thi mgr sirf chnd ghanton k liye.
Taiz tofan ki waja Sy kherki ka darwaza taizi se band hua toh uski ankh khuli uth kr behti kamre ki baati jali hui thi aur bister per har jagah kaakzaat phely hue the aur sth he laptop rkha hua tha. ankhon k gird ghery halkey thy suji hui ankhein mgr ab wo khushk ho chuki thi.
Wo khirki ki trf jaati hai bahir dekhti hai toh tofan ne har chiz ko apni lepait mein lia hua tha , usne khirki ka darwaza band krdia tofanon Sy wo hamesha se drti thi aur dar kr maa k galey lag jati thi mgr
"Maa?"
Wo apne khushk honton Sy Halka sa bolti hai.
Aj maa nhe thi , aj wo Kiske galey lagy?
Mgr aj usy tofan Sy dar nhe lagra tha. zindagi usky Liye tofan se kaam nhe thi. Abhi toh bht Sy tofan any Hein uski zindagi mein.

Wo khirki ka darwaza band krke aa kr bed per beht jaati hai , Sath parha laptop uthati hai aur goud mein rkhti hai fir apna kaam wahi Sy shuru krti hai jahn Sy usne chora tha.

⚫⚫⚫

Raat k 2 bajy uske kamre k darwaze pe dastak hui thi. Mgr wo soya hua nhe tha agr soya hua hota toh jisne darwaza bajaya tha wo zakhmi hokr he jata.

Kamrey ka darwaza kholta hai toh bahir aik mulazim khara hua hota hai

"Assalamualaikum Sahab, wo mein ye dene Aya Hun , ye dewai...."

"Yahan se aram se chaly Jao"
Kehte hue awaz mein saqhti Hoti hai mgr bht ahista awaz mein kehta hai.

"Mgr Sahab....."

"Smj nhe Ari?"
Wo bht ghussy aur zor se kehta hai.

"Aur agr ainda dawaiyan Leke aye toh yehi dawaiyan mein tmhara mun khol kr usme dal Dunga , smjhe?"

"Ye barey Sahab ne di hain , aur kaha hai k Apko zabardasti dun"

"Aik toh barey Sahab ko Meri itni......."

Bolte bolte rukta hai , aur peeche dekhta hai , koi wahan khara hua tha.

"Kyu kr rhy ho tm apney Sath aisa? Dawaiyan tmhe khani hai tbyt nhe thek tmhari"

Wo kehte hue qareeb aty Hein aur mulazim k haath Sy dawaiyan lete Hein aur usy Janey ka kehte Hein.

"Ye chnd din k bukhar Sy Kuch bhi nhe hota ,Jo ap itni Meri perwa kr rhy hein aur please ap Mera itna khyl nhe kia krein , jnta hu mein sirf kaam k liye mein apki zaroort Hun tbhi Meri perwa krte Hein wrna Apko koi farq nhe prhta k mein jeeun yah Marun....."

"Aisa nhe hai , bety ho tm mere"

Kehte hue wo usky kamre mein aty Hein , wo bhi bezari Sy darwaza band krke andr aa ajata hai.

"Dekho mein jnta Hun tm upset ho , mgr ab Kitna upset rahogy? Ye Sb zaroori tha"

"Janta hun k zaroori tha! Blke bht zaroori tha agr aisa na krta toh bht msla ban jata Mgr ye kaam Ap apne 'left hand zaman Malik' ko bhi Keh skte thy? Mgr mere haath Sy he mere dost ka....."

"Tmse acha kaam koi nhe kr skta, tm bht safai se logo ka qatal krte ho...
agr zaman Malik Sy krwata toh ab thk usy jail bhi hojati , wo is sb kaam k liye nhe hai , tmse acha koi nhe kr skta..."

"Aj thk mene jitne bande Mare Hein, sbse zyda takleef mje iss bar hui hai......"

"Tmhara dost tha isliye....."

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now