"Kuchh khas dilon ko ishq k alham hote hain mohabbat mojza Hai mojze kab aam Hote Hain".
.....................
(Noura jis din Apne Bhai k liye uske qatlon Sy Milne unke villa gayi thi , usky 1 din Baad ka manzar)
"Us lrki ka Kuch krna Hoga...."
Andhere kamre mein wo dono akele thy. Don apni seat par behte hue thy aur hamdan unke smne bezari se khara hua tha.
Don k kehne pe hamdan apni nazrein utha kr unke chehre ko dekhta hai. Fir bolta hai.
"Mein ab Kuch nhe krunga. Jo krwana hai zaman se krwa......"
"Nhe..... Zaman ko mere aur bhi Kam krne Hein , us lrki k Bhai ko tmne he mara hai. Ab us lrki ko bhi tm he khtm krogy"
Wo hamdan ki Baat kat kr kehte Hein.
"Us lrki ko bhi?"
Hamdan herani se unke chehre ki tarf dekh kr kehta hai.
"Han , mgr foran nhe.... Aram Sy"
Hamdan khamoshi se unhy dekhra hota hai. Thori khamoshi k Baad wo dubara bolte Hein.
"Dekho , hamdan ye lrki Apne Bhai se bhi zyda chalak aur hoshiyar hai. Is lrki ko marna zaroori hai mgr foran nhe. Tm iske ghr aik driver ki surat mein jaogy aur Kesi bhi trha iske pass Sy USB Leke aogy"
"Toh isme driver ban k uske ghr Jane ki Kya zarurt? Wo toh mein isko mar kr he USB le aonga , yah Marne ki zarurt he kia hai wo kamzoor lrki hai Thora darayen gy usy dedegi USB"
"Nhe.... Baat USB ki nhe hai , mene kaha Haina wo lrki bht hoshiyar hai hamdan. Wo hamare kaam aaskti hai hamare kaam k liye istemal hoskti hai usy hame Apne kaam k liye Lena Hoga wo bht chalak hai usne hamare villa mein Bina darey qadam rkhdia ye Jante hue bhi k ham uske Bhai k qatil Hein. Wo lrki hamare kaam aaskti hai"
"Kis trha k Kam?"
"Wo aik hacker hai aur is time hame hacker ki zarurt hai"
"Laila hai toh"
"Laila Chali gayi hai 4,5 din phle he. Ab hame Kafi zarurt hai aur is lrki k bare Mai mene Kafi information nikali Hein. Ye hamare bht kaam askti hai. Tm 2 mahine k liye iske pass Jao driver ban kr yah Jo bhi ban kr jate ho Jao. Fir hame iski Jo zaroort Hogi mein tmhe kahunga tm wo kaam is Sy krwaogy jese Kuch hack krna hua kyuke wo cyber security janti hai wo krdegi kyuke tmhe uska aitebar jeetna hai . Aur wo USB bhi kesi bhi trha iske pass se Leke aana zyda zaroori Kam wahi hai , mgr Sara kaam krne k Baad usy marna zaroori hai"
"Ye Sb 2 mahine k andr krna hai , boss?" (Hamdan Apne dad ko Kam k waqht boss kehta tha)
"2 mahine k andr tmhe ye Sb krna hai , uska driver ban kr usky Ghar Jana hai USB Leni hai aur uske laptop Sy bhi sb saboot mitane Hein mein jnta hu wo USB asani se nhe milegi kyuke usne Kahi bht safe jaga chupa kr rkhi Hogi isliye USB ko doondna hai yah fir issi lrki ko chakma deke wo USB us Sy le Lena usy kia pta k tm he usky Bhai k qatil ho! Baki is Sb k bech mai mein tmhe Jo Kam batau us Sy wo krwane Hein. Wo lrki bht kaam ki hai , hamdan. Agr wo hamare sth kaam krne lag jaye toh bht faida Hoga hame! Mgr Khair Bs tm 2 mahine ka ye kaam kro fir usko mar kr ajana"
"Fikar na krein , 1 mahine k andr he mein Sb Kam krlunga , aur Jahan baat Marne ki hai toh mardunga"
Wo Keh kr wahn se Jane lagta hai k dubara awaz pe rukta hai.
"Hamdan! Jo kaha hai wesa he hona chahiye.. apne Dil us lrki k liye naram maat krlena"
Hamdan peeche mur kr dekhta hai.
"Hamdan ka dil kbhi kesi k liye naram nhe prha..."
Wo mur kr wahn se Chala jata hai..
Jb bahir ata hai toh uski bhn sofey pe behti Hoti hai samne albums khuli Hoti Hein wo aik aik krke tasveerein dekhri Hoti hai hamdan uske qareeb ata hai.
YOU ARE READING
Dil e Haiwan
Mistero / Thriller"He had killed that girl's brother, and now he's been sent to kill that girl too, but instead, he falls in love with her" "This is my first novel, so if there are any mistakes, I apologize." The story explores themes of love , loyalty , betrayal , c...