Din ab sham mein dhal rha tha , aik chota sa makan tha Jo andhere mein dhooba hua tha usy dekh kr Dil mein aik ajeeb sa khof Ata tha.
Noura ko behoshi ki halat mein wahan laya jara tha or noura is Baad se bekhabar thi k wo Kahan hai , wo behosh thi usy nhe pta tha k wo kesi or shehar mein hai.
Usy do bhari haton ne uthaya hua tha or laa kr us chote se andherey makan k kamre mein band krdia wo Zameen mein leti hui thi ankhen band thi.
⚫⚫⚫
Dusri taraf harmeen noura ko har jagah doondne k Baad gari mein behti hui thi ankhon Se musalsal ansu ary thy wo Ghar nhe jaari thi Ghar jaygi toh kia kahegi hamdan ko k noura Kahan hai? Ab sham se Raat hori thi or harmeen k Dil mein har trha ka khof tha.
2 ghnte se wo aik he jagah gari khari krke behti hui thi wo Ghar nhe Jaana chahti Thi mgr phir wo gari start krti hai or ghar Jane lagti hai kia kr skti thi Ghar toh Jana tha chahe idr beth kr puri Raat he Kyu na guzar de kesi na kesi time toh usne hamdan ka samna krna tha.
Or kia pta noura Ghar Mai he ho? Aisa hoskta hai k wo wapis Ghar Chali gayi ho? Mgr wo mere bagair Ghar Kyu jaygi usy toh Rasta bhi nhe pta , mgr aik akhri umeed yehi hai k noura mje Ghar pe mil jaye...
⚫⚫⚫
Noura halki halki ankhein kholti hai idr udar dekhti hai , wo Kahan hai? Kamre mein har trf andhera tha kahin bhi khirki nhe thi Roshni kahin se nhe Ari thi noura ussi waqht zor zor Se cheekne lagti hai kyuke wo andhere se bht darti thi , wo foran Zameen se uthti hai darwazey ki taraf jaati hai Zor zor se darwazey pe haath Marti hai."Koi....koi hai? Mje Yahan se nikalo.....koi mje nikalo Yahan se please koi Meri madad kro"
Wo cheekh cheekh kr kehti thi ansu ruk he nhe rhy thy kamre mein itna andhera tha k usy Kuch bhi Nazar nhe Ara tha usy khof Ara tha wo chelari thi cheekh rhi thi koi nhe tha udar Jo uski sunta , wo kis shehar mein thi ye bhi nhe jnti thi phir wo dekhti hai k usne Jo cross bag pehna tha wo ab nhe pehna hua.
Mera phone?
Usky andher uska phone tha or wo bag or phone ab usky pass nhe tha.
Wo ghante tak aise he darwaza bajati rehti hai roti rehti hai mgr koi nhe ata."Meri koi toh madad kro mje Yahan se nikalo mje Kahan le aye ho mje nikalo Yahan se please mje Yahan se Jane do please mje nikalo"
Wo rote hue kehti rehti hai.
"Saiyam.....saiyam"
Ab wo hamdan ka Naam Lene lagti hai mgr wo nhe janti thi k hamdan ko toh pta bhi nhe hai k wo Kahan hai?
Phir aikdam noura k dhmg mein hamdan ki baten gunjne lagti Hain.
Bahir maat nikalna khatra hai..Us waqht noura ko Laga tha k usne zindagi mein sbse bari ghlti krdi hai hamdan ki Baat na man k..
Mene.....mene Kyu nhe Mani saiyam ki Baat? Usne....usne mje....mje mana kia tha k tm bahir maat nikalna phir mein.....mene itni zid Kyu ki?
Wo....wo ajaye ga mje.....mje bachane , saiyam....saiyam ajayega mje bachane.
Phir wo zor zor Se darwaza bajane lagti hai.
"Saiyam"
Bs wo issi k Naam ko bar bar pukar rhi thi aik he Naam usky mun se bar bar Nikal rha tha.
Kabhi wo harmeen ka Naam pukarti toh kbhi saiyam.Phir wo rotey rotey aise he Zameen pe beth jati hai.
"Ammi"
Wo zor zor Se ro rhi thi or ab lab pe sirf apni maa ka Naam Aya tha , aik maa he toh Hoti hai jiska bacha agr ghum ho jaye toh wo Zameen asmaan aik krke apne Bache ko talash krne ati hai mgr uska toh koi nhe tha maa bhi nhe , is waqht koi noura ko bachane nhe aaskta tha wo bht buri trha phass gayi thi Kahan? Wo nhe jnti thi.Phir uthti hai or phir darwaza kholne ki koshish krti hai or bar bar "saiyam" ka Naam apne mun se Nikal rhi thi or phir aikdam aik jhatke se darwaza khula toh noura peeche ho kr giri.
"Saiyam....ye....ye tm ho? Tm agaye?"
Usy andhere mein Kuch Nazar nhe Ara tha or usy Laga k shyd ye hamdan hai kyuke usky Dil mein umeed thi k wo usy bachane ajayga.
![](https://img.wattpad.com/cover/369915297-288-k718019.jpg)
YOU ARE READING
Dil e Haiwan
Mystery / Thriller"He had killed that girl's brother, and now he's been sent to kill that girl too, but instead, he falls in love with her" "This is my first novel, so if there are any mistakes, I apologize." The story explores themes of love , loyalty , betrayal , c...